Page 1 of 1

"humnay har lamha aashiqui kee hai"taza tarhi ghaz

Posted: Sat Jul 21, 2007 10:25 am
by haamidbaaqri
Asslaam o alaikum
dosto

aik aur tarhi ghazal peshay khidmat hai.


gar qubool uftad zahay.....

arz kiya hai......

kaun kehta hai dillagi kee hai
humnay sanjeedah shaairi kee hai

behray insaaniyat uthaa kay qalam
humnay har lamha bandagee kee hai

raahay baatil kau chaur kar humnay
haqparstoN kee pairawee kee hai

ik musaafir kau raah dikhlaakar
humnay baylaus rahbari kee hai

urdu duniya hai pyaar kee duniya
isliye is say dosti kee hai

hum tau haiN aashiqaanay aalay rasool(sawaw)
"har qadam humnay aashiqui kee hai"

woh baday khushnaseeb hautay haiN
jin say haamid nay dosti kee hai

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah


shukriya

Posted: Mon Jul 23, 2007 7:34 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:wah! hamid bhai bohat khoob!

bahut bahut shukriya sara saahebah

shukr khuda ka ke hum bhi un khushnaseeboN mein shareek hain

jinse aapne dosti ki hai :-) .

:grin: jee.........hum bhi khud ko khushnaseeb samajhtay haiN aap jaise behan paakar.

is khoobsurat ghazal per dili daad qubool keejiye.

aapki dilee daad ko qubool kartay huay us paak parwardigaar say dua kartay haiN keh aapko huzoor(sawaw)aur unki aal(as)kay sadqay meiN duniya aur aakhirat kee tamaam khushiyaaN ata karay.aameen

sara
aapka bhai
haamidbaaqari

Posted: Mon Jul 23, 2007 10:22 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Haamid bhaee Assalam Alikum!

choTee beHer meN aap kee shae'ree SalaHiyateeN Zeyadah khul kar saamne aaeeN haiN. aap kee shaae'ranah khuSuSiyaat kaa aek zamanah moa'tarif hai. yeh hamaree khush bakhtee hai. keh aap ke kalam par iz^haar-e-raaeY kaene ke muwaaqe'eY musassir haiN. kalaam meN taSawwuf kaa rang Ghaayat darajah maojood hai. jis se kalam meN abadee lut^f aor daae'mee qaraar jagah paa geyaa hai.

kaun kehta hai dillagi kee hai
humnay sanjeedah shaairi kee hai

behray insaaniyat uthaa kay qalam
humnay har lamha bandagee kee hai

raahay baatil kau chaur kar humnay
haqparstoN kee pairawee kee hai

ik musaafir kau raah dikhlaakar
humnay baylaus rahbari kee hai

urdu duniya hai pyaar kee duniya
isliye is say dosti kee hai

hum tau haiN aashiqaanay aalay rasool(sawaw)
"har qadam humnay aashiqui kee hai"

woh baday khushnaseeb hautay haiN
jin say haamid nay dosti kee hai

puraa kalam ustaadanah ran meN rang meN rangaa huwaa hai. aor paRhne walooN kee t^abea'at aor azhaan par gehraa acar chooRtaa hai. meree janib se dilee dua'aa aor mubarak baad qubool keejiye!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Tue Jul 24, 2007 5:08 am
by muhammad_19k
janab Haamid baaqri SaHeb,

aik aor shaandaar ghazal par daad o mubarakbaad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Wed Jul 25, 2007 10:53 am
by Ibn-e-siddique
moHtaram Haamid saHib

salaam arz hai

aap ne bahot umdah ghazal kahee hai. aur sab se aham baat ye hai ke zameen koi bhi ho aap us per apni aqeedat ke phool khilaa hi dete haiN. ye kalaam-e-mid'Hat qaabil-e-teHseen-o-sitaaish hai.

bahot umdah likha hai, dheiRon daad qubool keejiye

amjad

Posted: Mon Aug 06, 2007 12:54 am
by rukhsar
mohtaram hamid sahib
aadab
bhut khoob sahib . achchi ghazal hay matlaa bhut khoob hay ek ek sher qaabil-e daad hay khaskar yeh sher mujhay bhut he achchay lagy .......

raahay baatil kau chaur kar humnay
haqparstoN kee pairawee kee hai


hum tau haiN aashiqaanay aalay rasool(sawaw)
"har qadam humnay aashiqui kee hai"
...............
wah waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah daad qubool kejey
rukhsar

Posted: Mon Aug 06, 2007 5:48 am
by Shummu
raahay baatil kau chaur kar humnay
haqparstoN kee pairawee kee hai


wah bahut khoob...!!!yun to poori ghazal khoob hai magar ye sher bahut pasand aaya..daad pesh hai haamid jee...

shukriya

Posted: Tue Aug 07, 2007 8:31 am
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote: janab Haamid baaqri SaHeb,



aik aor shaandaar ghazal par daad o mubarakbaad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.


mohtaram mohammed khawar saahib
Assalaam o alaikum

kaisay haiN aap?

aapki mukhlisaanah daad aur mubaarabaad ka hum tahay dil say shukriya ada kartay haiN.

jazakallah

mukhlis
haamidbaaqari

shukriya

Posted: Tue Aug 07, 2007 8:35 am
by haamidbaaqri
Ibn-e-siddique wrote:moHtaram Haamid saHib

salaam arz hai

WAalaikumusslaam
amjad bhai saahib


kaisay haiN aap?

aap ne bahot umdah ghazal kahee hai.

bahut bahut shukriya aapka.


aur sab se aham baat ye hai ke zameen koi bhi ho aap us per apni aqeedat ke phool khilaa hi dete haiN.

al hamdulillah.shukriya.


ye kalaam-e-mid'Hat qaabil-e-teHseen-o-sitaaish hai.
bahot umdah likha hai, dheiRon daad qubool keejiye

aapki purkhuloos daad kay liye hum aapkay behad mamnoono mashkoor haiN.

jazakallah

mukhlis
haamidbaaqari


amjad

shukriya

Posted: Tue Aug 07, 2007 8:37 am
by haamidbaaqri
rukhsar wrote:mohtaram hamid sahib
aadab

Assalaam o alaikum
rukhsar sahib


bhut khoob sahib . achchi ghazal hay matlaa bhut khoob hay ek ek sher qaabil-e daad hay khaskar yeh sher mujhay bhut he achchay lagy .......

bahut bahut shukriya aapka janaab.

raahay baatil kau chaur kar humnay
haqparstoN kee pairawee kee hai


hum tau haiN aashiqaanay aalay rasool(sawaw)
"har qadam humnay aashiqui kee hai"
...............
wah waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah daad qubool kejey
rukhsar
aapki mukhlisaanah daad kay liye hum aapkay behad shukrguzaar haiN.

salaamat rahiye
mukhlis
haamidbaaqari

shukriya

Posted: Tue Aug 07, 2007 8:40 am
by haamidbaaqri
Shummu wrote:raahay baatil kau chaur kar humnay
haqparstoN kee pairawee kee hai


wah bahut khoob...!!!yun to poori ghazal khoob hai magar ye sher bahut pasand aaya..daad pesh hai haamid jee...
:rose Asalaam o alaikum
mohtaramah shumaila saahebah :rose

kaisee haiN aap?

aapka khat dekh kar hameN bahut khushee huee.

aap tau hamesha khul kar daad deteee haiN.

bahut bahut shukriya aapki purkhuloos daad ka.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqari