Page 1 of 1

:: Zia se jab voh nazar ham-kalaam hotii hai ! ::

Posted: Wed Jul 25, 2007 8:34 pm
by Star Mind
Yaaraan-e-anjuman, aadaab !

aaj aap ki Khidmat meiN apnii aek taaza-tareen Ghazal paish karne jaa rahaa hooN
ummeed hai k apnii giraaN-qadr tanqeedii raaye se navaazeN ge !

:: Urdu Version ::
Image
:: Roman Version ::

1.

kabhii jab un se nazar ham-kalaam hotii hai
ye kaai'naat saraapaa payaam hotii hai !

2.

kalii kalii ki zabaaN par fasaana kis kaa hai ?
naseem, naGhmah-saraa kis ke naam hotii hai ?

3.

jigar ke Khoon se qaai'm hai aabroo-e-chaman !
bahaar isii se mai-e-laala-faam hotii hai !

4.

tumhaare shehr ka mausam a'jeeb mausam hai !
yahaaN to SubH nikalte hi shaam hotii hai !

5.

na poochh mai-kadah-e-i'shq kaa maqaam aye shaiKh !
yaheeN naSeeb Hayaat-e-davaam hotii hai !

6.

na poochh raah-e-maHabbat ka Khaar-zaar na poochh !
tamaam u'mr isii meiN tamaam hotii hai !

7.

tumhaari bazm meiN kehlaaye jo sharaab-e-tahoor
hamaari bazm meiN kyooN-kar Haraam hotii hai ?

8.

aseer-e-gardish-e-dauraaN naheeN junooN vaale !
na SubH hoti hai in kii na shaam hotii hai !

9.

koii bataaye yeh ulfat meiN kyaa maqaam aayaa ?
yahaaN to shaam-o-saHar gaam gaam hotii hai !

10.

jahaan-e-raaz se har pardah uThta jaataa hai !
Zia se jab voh nazar ham-kalaam hotii hai !!

.....................................................

shukriya

Zia Baloch

Posted: Thu Jul 26, 2007 1:27 am
by rukhsar
zia baluch sahib
aadab
abhi aapki ghazal ka muta,ala kia wah sahib bhut khoob waaaaaaaaaaaaaaaah kia khoob sher nikalay hain , sabhi sher qabil-e ta,areef hain mujhay khaaskar yeh sher bhut pasand aaya

tumhaare shehr ka mausam a'jeeb mausam hai !
yahaaN to SubH nikalte hi shaam hotii hai !
waaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
daad qubool kejey
rukhsar

Posted: Thu Jul 26, 2007 6:59 am
by muhammad_19k
Salam Zia SaHeb.

Hasb e m'amoool aap ki ye ghazal bhi bohat achhchhi hai. daad qubool kijiaye. sirf sher no. 2 kuch khaas achhchhaa naheeN lagaa. laikin aisaa to hotaa hai. ye zarooori naheeN ke har qaari ko har sher hi achhchhaa lagay.

sadaa khush rahiaye,

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.