Page 1 of 1

andheri shab , diyaa , jugnu , qamar , naiN

Posted: Thu Jul 26, 2007 1:16 am
by rukhsar
Bazm urdu bandhan kay sub ahbaab ko aadab ek ghazal kay saath bazm main haazir ho raha
hoN . aap say iltlmaas hay ghazal par apni aara ka izhaar farmayN .

GHAZAL PESH-E KHIDMAT HAY
...........................................

andheri shab , diyaa , jugnu , qamar , naiN
safar main ab koi bhi hamsafar naiN

hum aisay band kamroN kay makeeN haiN
jahan taaza hawaaoN ka guzar naiN

jo ghurbat kay andheroN main palay haiN
nai tahzeeb ka onpar asar nain

khushaamad , chaaploosi , jhoot , gheebat
hamaray paas to koi hunar naiN

ajab mausam milaa hay zindgi ko
nai rut hay darakhtoN par samar naiN

guzarnay ka odhar say lutf he kia
jidhar, maujaiN, talaatum,aur bahanwar naiN

yeh kis jaanib safar tum kar rahay ho
ab aaNkhoN main umedoN ka nagar naiN

sabab apni hazeemat kay kai thay
bas ek tanhaa , bhadur shh zafar , naiN

musalsal dhoop hay pooray safar maiN
hamaari raah maiN koi shajar naiN

koi ek raat maiN he khatm kar lay
maiN qissa is qadar bhi mukhtasar naiN

os aanay waalay kal ka kia bharosa
jab aglay chand lamhoN ki khabar naiN

jo dil kay zakhm ko mahsoos kar lay
kisi kay paas bhi aisi nazar naiN

jisay rukhsar ab hum seh rahay hain
musalsal ek azeeyat hay safar naiN
...............................................................
aap hazraat ki aara ka intizaar rahayga
rukhsar nazimabadi

Posted: Thu Jul 26, 2007 11:36 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Rukhsar SaaHib aadaab!

bazm-e-urdubandhan meN tashreef aawaree par ham sab mimbaraan-e-urdubandhan kee janib se dilee mubarak baad aor khush aamdeed!

khudaa kare keh aap kee aamad ham sab ke liye mubarak caabet ho. inshAllah aap kee aamad se hameeN Zaroor kuch seekhne kaa maoqa' mile gaa.

Aap kee Ghazal dekhee achchee koshish hai. aap ne siyaasee, mua'asharatee, aor Zindagee ke kae'ee masaai'l ko apne kalam meN ujaagar karne kee kaamyaab koshish kee hai. mujhe ummeed hai keh aap aae'indah bhee apnee negaarishaat se ham sab ko mustafeed hone kaa maoqa' faraham karte raheeN ge. aap kee deegar takhleeqaat kaa intez^aar rahe gaa.

andheri shab , diyaa , jugnu , qamar , naiN
safar main ab koi bhi hamsafar naiN

hum aisay band kamroN kay makeeN haiN
jahan taaza hawaaoN ka guzar naiN

jo ghurbat kay andheroN main palay haiN
nai tahzeeb ka onpar asar nain

khushaamad , chaaploosi , jhoot , gheebat
hamaray paas to koi hunar naiN

ajab mausam milaa hay zindgi ko
nai rut hay darakhtoN par samar naiN

guzarnay ka odhar say lutf he kia
jidhar, maujaiN, talaatum,aur bahanwar naiN

yeh kis jaanib safar tum kar rahay ho
ab aaNkhoN main umedoN ka nagar naiN

sabab apni hazeemat kay kai thay
bas ek tanhaa , bhadur shh zafar , naiN

musalsal dhoop hay pooray safar maiN
hamaari raah maiN koi shajar naiN

koi ek raat maiN he khatm kar lay
maiN qissa is qadar bhi mukhtasar naiN

os aanay waalay kal ka kia bharosa
jab aglay chand lamhoN ki khabar naiN

jo dil kay zakhm ko mahsoos kar lay
kisi kay paas bhi aisi nazar naiN

jisay rukhsar ab hum seh rahay hain
musalsal ek azeeyat hay safar naiN

DhaerooN dua'aeeN aor daad qubool keejiye!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Fri Jul 27, 2007 12:05 am
by rukhsar
mohtaram janab muzaffar sahib
aadab
housla afzaai aur bazm main haazir honay par izzat afzaai kay liay aapka behad mashkoor hon parwardigaar aapka waqaar aur buland karay allah aapko khush rakhay .
bazm main inshah allah mulaqaat rahaygi apni janib say poori koshish karonga keh baqaidgi say haazir rahon . daad kay liay bhut nawaazish . shukriyaa
rukhsar

radeef ,, naiN ,, hay

Posted: Wed Aug 01, 2007 1:51 am
by rukhsar
saara sahiba
aadab
houslaa afzaai ka bhut shukriyaa
ghazal ki radeef naiN paRhi jaygi
rukhsar

Posted: Mon Sep 03, 2007 8:45 pm
by Star Mind
muHtaram janaab RuKhsaar Saahib, aadaab !

kaise mizaaj haiN ? jaisaa k aap jaante haiN k aap kii yeh Ghazal bahut pehle nazar se guzrii thii , magar ba-wujooh daad na de sakaa ! , sochaa aaj voh qrz chukaa dooN ! magar kahaaN SaaHib ! aap kii Ghazal is qadar u'mdah aur nafees hai k maiN laakh daad dooN ! qarz chuktaa naheeN hone vaalaa ! so jo aap ko pasand hooN voh alfaaz meri jaanib se apnii is Ghazal keliye muntaKhab kejiyegaa !! ;)

shukriya

Zia Baloch

Posted: Thu Apr 03, 2008 12:15 am
by rukhsar
zia sahib
aadab
mijaz-e giraami
kaafi arsay baad bazm main haazri mumkin ho saki hay
aapki daad aur huoslaa ka bhut bhut shukriyaa bhut ziyaada takheer say shukriyaa adaa kar raha hon
moa,azrat chahta hon
..................
rukhsar