Page 1 of 1

nahin chaahtay hain

Posted: Thu Jul 26, 2007 9:49 am
by poetrazi
raah main aik bhi deevar nahin chaahtay hain
log ab ishq main azaar nahin chaahtay hain

chaahnay waalay tera wasl yaqeenan chaahain
haan magar hum say talabgaar nahin chaahtay hain

hum kahaani say kai baar nikalnay waalay
is main ab koi bhi kirdaar nahin chaahtay hain

ab zubaan kaat kay sir bhi mera foran kaatain
aap mujh say agar inkaar nahin chaahtay hain

chaahtay hain keh usay door talak daykh sakain
laykin is baat par israar nahin chaahtay hain


razi-ud-din razi

Re: nahin chaahtay hain

Posted: Thu Jul 26, 2007 12:07 pm
by munir-armaan-nasimi
poetrazi wrote:r
aah main aik bhi deevar nahin chaahtay hain
log ab ishq main azaar nahin chaahtay hain

WAH RAZI BHAI.. KYA KEHNE HAIN... SAHI KAHA AAP NE AAJKAL KE MOBILE AUR SMS KE ZAMANE MAIN LOG AASHIQUI TO KARTE HAIN MAGAR..... KHOLOOS NIYAT KE SAATH NAHIN... TU NAHIN AUR SAHI... AUR NAHIN AUR SAHI........

chaahnay waalay tera wasl yaqeenan chaahain
haan magar hum say talabgaar nahin chaahtay hain

BAHUT KHOOB... AAP KE HAUSLE AUR SABR KI DAAD DENI PADEGI.. APNE MEHBOOB KE WASL KE TALABGAAR NAHIN HAIN... YE JAANTE HOYE BHI KE...... KAYI AUR BHI HAIN LINE MAIN...... AAPKA MEHBOOB TO BADA WOHH HAI BHAI JAAN...!!

hum kahaani say kai baar nikalnay waalay
is main ab koi bhi kirdaar nahin chaahtay hain

INTEHAAYI MAZERAT CHAAHTA HOON KE..... MAIN YE SHER SAMAJH NAHIN PAYA... ISLIYE APNI RAAI MEHFOOZ RAKHTA HOON.

ab zubaan kaat kay sir bhi mera foran kaatain
aap mujh say agar inkaar nahin chaahtay hain

PAHLA MISRA... ZUBAAN KAAT NE KE BAAD... SIR BHI KAATEIN...... YE DOUBLE MEHNAT HOGI..... SEEDHE SEEDHE EK HI WAR MAIN SIR HI KYON NA KAAT DEIN........ KYON BHAI JAAN SAHI KAHA NA...... MISRA MUJHE ULJHA RAHA HAI......

chaahtay hain keh usay door talak daykh sakain
laykin is baat par israar nahin chaahtay hain

YE ACHCHA SHER HAI..... BAHUT HI ACHCHA SHER HAI... DAAD QOBOOL KIZIYE....!!



razi-ud-din razi

Posted: Thu Aug 02, 2007 9:08 am
by muhammad_19k
ab zubaan kaat kay sir bhi mera foran kaatain
aap mujh say agar inkaar nahin chaahtay hain


ahaa ha. bohat khoob. waah janaab waah. kyaa baat kahi hai.

ab zubaan kaat kay sir bhi mera foran kaatain
aap mujh say agar inkaar nahin chaahtay hain



Allah aap ko hameshaa khush o khurram rakhaay.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Re: nahin chaahtay hain

Posted: Sat Aug 04, 2007 9:20 pm
by tahira Masood
poetrazi wrote:aah main aik bhi deevar nahin chaahtay hain
log ab ishq main azaar nahin chaahtay hain



kayaa baat hai janaab

chaahnay waalay tera wasl yaqeenan chaahain
haan magar hum say talabgaar nahin chaahtay hain


ab zubaan kaat kay sir bhi mera foran kaatain
aap mujh say agar inkaar nahin chaahtay hain

waaaaaaaaah achaa hai

moHteram daad qabuul fermaaiN

wassalam[/color]

razi-ud-din razi