Page 1 of 1

TARAHI GHAZAL....GUZ.#2

Posted: Sat Feb 12, 2005 8:01 pm
by Anis Hasan
Diyay gayay misra-e-tarah par main nay bhi apni si koshish ki hai jo haazir hai. Apni qeemti aara zaroor dijiyay ga.

DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN
DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN

AB DAIKHNA HAI HOTI HAI KAB MEHR'BAN WOH AANKH
REHNA HAI AUR KITNAY DINON TAK ITAAB MEIN

DARTAY HAIN NEEND AAYAY TU KHO JAYAY NA KAHEEN
PAAYA HAI JIS KO JAAGTI AANKHON KAY KHAWAB MEIN

YEH ISHQ KI HAI AAG JALA DAY GI JISM-O-JAAN
"DIL KIS SHUMAR MEIN HAI JIGAR KIS HISAAB MEIN

LOGON KAY DIL KA HAAL KHULAY KIS TARAH YAHAN
CHEHRAY CHUPA RAKHAY HAIN SABHI NAY NIQAB MEIN

IS MEIN HAMARAY KHOON KA PARTU BHI HAI ANIS
DIKHTI HAI JO NAYEE SI YEH SURKHI GULAAB MEIN

ANIS HASAN

Posted: Sat Feb 12, 2005 10:23 pm
by najma
bohat khoob anis hasan sahiob
3rd sher to bohat hii pasand aya.
khoobsoorat kalam par daad hazir hay
:)

Bahut khoob Waah waah

Posted: Sun Feb 13, 2005 3:37 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
ANIS HASAN Saahib


Aapki TaraHi ghazal baasirah navaaz houi aur bahut pasand aayi.

1) DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN
DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN


1) MaTlA bahut achcha hei.

2) AB DAIKHNA HAI HOTI HAI KAB MEHR'BAN WOH AANKH
REHNA HAI AUR KITNAY DINON TAK ATAAB MEIN


2) Yeh sheAr bhi bahut achcha hei. Lafz "itaab" ko "Ataab" likhne ke javaaz kaa mujhe ilm nahiN. Yeh bhii housaktaa hei ke typo hou.

3) DARTAY HAIN NEEND AAYAY TU KHO JAYAY NA KAHEEN
PAAYA HAI JIS KO JAAGTI AANKHON KAY KHAWAB MEIN


3)SheAr achcha hei. Pahle misreA meiN "nah" kii lambi aawaaz per ba'z asaatizah ko iAtiraaz houtaa hei lekin meri nazar meiN saHeeH hei.

4) YEH ISHQ KI HAI AAG JALA DAY GI JISM-O-JAAN
"DIL KIS SHUMAR MEIN HAI JIGAR KIS HISAAB MEIN


4) Bahut achchi girah lagaayi hei aap ne.

5) LOGON KAY DIL KA HAAL KHULAY KIS TARAH YAHAN
CHEHRAY CHUPA RAKHAY HAIN SABHI NAY NAQAB MEIN


5) SheAr achcha hei lafz "niqaab" ko "naqaab" kehna boul chaal kii ghalaTi hei.

6) IS MEIN HAMARAY KHOON KA PARTU BHI HAI ANIS
DIKHTI HAI JO NAYEE SI YEH SURKHI GULAAB
MEIN


6) MaqtaA bhi achcha hei lekin doosre misreA meiN ba'z alfaaz "Hashwo" ke heiN jaise "nayi si yeh". Is misreA ko yooN kiyaa jaasaktaa hei:
(aati hei jou nazar hamaiN surkhi gulaab meiN) yaa jaise bhii aap munaasib samjhaiN.

Is tabsireh ke ba'd maiN yeh bataadenaa zaroori samajhtaa hooN ke aapka meri aaraa se muttafiq hounaa zaroori nahiN.

Aapki is dilkash ghazal per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]

Re: TARAHI GHAZAL....GUZ.#2

Posted: Sun Feb 13, 2005 10:53 am
by Shummu
DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN
DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN
--Wahhhhhhhh behad umda MATLA!!! :shock:
YEH ISHQ KI HAI AAG JALA DAY GI JISM-O-JAAN
"DIL KIS SHUMAR MEIN HAI JIGAR KIS HISAAB MEIN
--giraah bhi khoob hai!

LOGON KAY DIL KA HAAL KHULAY KIS TARAH YAHAN
CHEHRAY CHUPA RAKHAY HAIN SABHI NAY NAQAB MEIN
--wah wah bahut sahii farmaaya..!
IS MEIN HAMARAY KHOON KA PARTU BHI HAI ANIS
DIKHTI HAI JO NAYEE SI YEH SURKHI GULAAB MEIN
--wah maqta bhi achcha hai aur Nazir sahab ki tajveez bahut achchi aur munaasib lagi :)

Janaab Anis Hasan sahab..bahut achchi ghazal kahi hai saade alfaaz mein..sabhi sher achche hain..khaaskar quoted ash'aar..daad haazir hai :D

Shumaila

Posted: Sun Feb 13, 2005 7:30 pm
by Anis Hasan
najma wrote:bohat khoob anis hasan sahiob
3rd sher to bohat hii pasand aya.
khoobsoorat kalam par daad hazir hay
:)
Buhat Shukriya Mohtarma "Najma" Sahiba.

Posted: Sun Feb 13, 2005 7:31 pm
by Anis Hasan
najma wrote:bohat khoob anis hasan sahiob
3rd sher to bohat hii pasand aya.
khoobsoorat kalam par daad hazir hay
:)
Buhat Shukriya Mohtarma "Najma" Sahiba.

Re: Bahut khoob Waah waah

Posted: Sun Feb 13, 2005 8:19 pm
by Anis Hasan
Abdullah Nazir wrote:
MuHtarami
ANIS HASAN Saahib


Aapki TaraHi ghazal baasirah navaaz houi aur bahut pasand aayi.

1) DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN
DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN


1) MaTlA bahut achcha hei.

2) AB DAIKHNA HAI HOTI HAI KAB MEHR'BAN WOH AANKH
REHNA HAI AUR KITNAY DINON TAK ATAAB MEIN


2) Yeh sheAr bhi bahut achcha hei. Lafz "itaab" ko "Ataab" likhne ke javaaz kaa mujhe ilm nahiN. Yeh bhii housaktaa hei ke typo hou.

3) DARTAY HAIN NEEND AAYAY TU KHO JAYAY NA KAHEEN
PAAYA HAI JIS KO JAAGTI AANKHON KAY KHAWAB MEIN


3)SheAr achcha hei. Pahle misreA meiN "nah" kii lambi aawaaz per ba'z asaatizah ko iAtiraaz houtaa hei lekin meri nazar meiN saHeeH hei.

4) YEH ISHQ KI HAI AAG JALA DAY GI JISM-O-JAAN
"DIL KIS SHUMAR MEIN HAI JIGAR KIS HISAAB MEIN


4) Bahut achchi girah lagaayi hei aap ne.

5) LOGON KAY DIL KA HAAL KHULAY KIS TARAH YAHAN
CHEHRAY CHUPA RAKHAY HAIN SABHI NAY NAQAB MEIN


5) SheAr achcha hei lafz "niqaab" ko "naqaab" kehna boul chaal kii ghalaTi hei.

6) IS MEIN HAMARAY KHOON KA PARTU BHI HAI ANIS
DIKHTI HAI JO NAYEE SI YEH SURKHI GULAAB
MEIN


6) MaqtaA bhi achcha hei lekin doosre misreA meiN ba'z alfaaz "Hashwo" ke heiN jaise "nayi si yeh". Is misreA ko yooN kiyaa jaasaktaa hei:
(aati hei jou nazar hamaiN surkhi gulaab meiN) yaa jaise bhii aap munaasib samjhaiN.

Is tabsireh ke ba'd maiN yeh bataadenaa zaroori samajhtaa hooN ke aapka meri aaraa se muttafiq hounaa zaroori nahiN.

Aapki is dilkash ghazal per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]
Mohtaram "NAZIR" Saheb aap ka buhat shukriya keh aap nay itni muhabat aur tawajah say meri ghazal ko parha aur itna bharpoor tabsira bhi kiya. Zaban ki jin ghaltion ki taraf aap nay tawajah dilai hai unhain durust kar raha houn. Maqtay ka jahan tak taaluq hai tu jo tabdeeli aap nay tajweez ki hai pehlay meray zehan mein bhi yehi misra tha laikin mujhay aisa mehsoos hua keh is tarah meray zehan mein jo khayal hai woh sahi say tarseel naheen ho raha kiyoun kay yahan bunyadi khayal nayee surkhi ka tha. Umeed hai keh aap aaindah bhi isi tarah rehnumai kartay rahain gay.

Re: TARAHI GHAZAL....GUZ.#2

Posted: Sun Feb 13, 2005 8:55 pm
by Anis Hasan
Shummu wrote:
DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN
DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN
--Wahhhhhhhh behad umda MATLA!!! :shock:
YEH ISHQ KI HAI AAG JALA DAY GI JISM-O-JAAN
"DIL KIS SHUMAR MEIN HAI JIGAR KIS HISAAB MEIN
--giraah bhi khoob hai!

LOGON KAY DIL KA HAAL KHULAY KIS TARAH YAHAN
CHEHRAY CHUPA RAKHAY HAIN SABHI NAY NAQAB MEIN
--wah wah bahut sahii farmaaya..!
IS MEIN HAMARAY KHOON KA PARTU BHI HAI ANIS
DIKHTI HAI JO NAYEE SI YEH SURKHI GULAAB MEIN
--wah maqta bhi achcha hai aur Nazir sahab ki tajveez bahut achchi aur munaasib lagi :)

Janaab Anis Hasan sahab..bahut achchi ghazal kahi hai saade alfaaz mein..sabhi sher achche hain..khaaskar quoted ash'aar..daad haazir hai :D

Shumaila
Ghazal ki pasandeedgi ka buhat shukriya Mohtarma "SHUMAILA".

Re: TARAHI GHAZAL....GUZ.#2

Posted: Thu Feb 24, 2005 8:11 pm
by Anis Hasan
sara_j wrote:
Anis Hasan wrote:

DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN
DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN

AB DAIKHNA HAI HOTI HAI KAB MEHR'BAN WOH AANKH
REHNA HAI AUR KITNAY DINON TAK ITAAB MEIN

DARTAY HAIN NEEND AAYAY TU KHO JAYAY NA KAHEEN
PAAYA HAI JIS KO JAAGTI AANKHON KAY KHAWAB MEIN

YEH ISHQ KI HAI AAG JALA DAY GI JISM-O-JAAN
"DIL KIS SHUMAR MEIN HAI JIGAR KIS HISAAB MEIN

LOGON KAY DIL KA HAAL KHULAY KIS TARAH YAHAN
CHEHRAY CHUPA RAKHAY HAIN SABHI NAY NIQAB MEIN

IS MEIN HAMARAY KHOON KA PARTU BHI HAI ANIS
DIKHTI HAI JO NAYEE SI YEH SURKHI GULAAB MEIN

ANIS HASAN
wah wah Anis Hasan saahib, tarahee misre per bohat alaa ashaar likhe hain aap. poori ghazal pasand aayi, shiar # 1, 3, aur 5 tou lajawaab hain.

dhair saari daad qubool keejiye.

sara
Mohtarma "Sara" aap ki tareef aur daad-o-tehseen ka buhat shukriya.