Page 1 of 1
aik Qita'aa
Posted: Tue Jul 31, 2007 12:40 pm
by tahira Masood
Hazireen-e-meHfil
salaam-e-khuloos
aik qat'aa aap sabki baSaratoN ki naz'r. aap ki aara kaa intezaar rehay gaa.
wassalam
iss husn-e-meh-e-kaamil peh hairaan hai kioN?
iss se hazaaroN derjah roshan hai aaftab
mumkin nahiN dekhnaa bher k nazar usay
uss k Sannaa'a* k Husn ki ho gee kehaN peh taab
*sann'aa=creator,Khaliq, maker
Posted: Thu Aug 02, 2007 9:31 am
by muhammad_19k
Tahira ji,
aap ne aik bohat khoobSoorat khyaal ko qitaa' meN paish kiyaa hai. daad o mubaarakbaad qubool kijiaye.
MalaHizaat
1. pehlay miSra ka wazn tawajja talab hai.
2. teesre miSra meN bhi vazn barqaar rakhne ke leeaye nazar ko nazr paRhnaa paRha rahaa hai jo kissi bhi TaraH manasib naheeN.
3. canaa baa-ma'nii khaaliq kuch ajnabi sa lagaa.
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Posted: Thu Aug 02, 2007 6:52 pm
by tahira Masood
muhammad_19k wrote:Tahira ji,
aap ne aik bohat khoobSoorat khyaal ko qitaa' meN paish kiyaa hai. daad o mubaarakbaad qubool kijiaye.
MalaHizaat
1. pehlay miSra ka wazn tawajja talab hai.
2. teesre miSra meN bhi vazn barqaar rakhne ke leeaye nazar ko nazr paRhnaa paRha rahaa hai jo kissi bhi TaraH manasib naheeN.
3. canaa baa-ma'nii khaaliq kuch ajnabi sa lagaa.
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
janaab Muhammad_19k saheb
salaam
aap k mulaahIzaat paRhe . raaey kaa shukeriyah.
pehle misr'a hai
Iss Husn-e-mah-e-kaamil peh hHairaan hai tuu?
iss maiN kaya ageR baR hai mujhae tau samjh nahiN aa rehi
teesre misrae ko maine yuN lihaa thaa
nazar bher k dekhna mumkin nahiN usae
tau bhi kehaa gyaa keh iskaa wazan theek nahiN
mujhe khud bhi aHsaas thaa keh es teraH nazar ko naz'r paThnaa paRhe gaa
shaayed aap ne gahur se nahiN paRhaa
lafz hai Sannaa nah keh Canaa
Sanaa Sauaad se jaise maSnuu'aat Sanna'ee waghera
aap Canaa baa m'anee tareef k paRh rehay haiN saheyd
wassalam
Posted: Fri Aug 03, 2007 7:21 am
by muhammad_19k
Tahiraa ji,
Sanaa, ki vazaaHat ka shukriyaa.
Iss Husn-e-mah-e-kaamil peh hHairaan hai tuu?
is qat'a ke baaqi teenoN miSroN ka eHtetaam
faailun ya faailaat ki aawaaz par hotaa hai. jab ke is miSraa ke eHtetaam
faailun ya faailaat par naheeN ho rahaa. is leeaye mairay nazdeek is ka vazn qaabil e ghor hai.
ye Husn e maah e kaamil Heeran kyooN karay,
is se hazaar darja roshan hai aaftaab
mumkin naheeN nazar bhar ke daikhnaa jinheN
un ke Sanaa, ke Husn ki ho gi kahaaN pe taab.
leejiaye meN ne, mafhoom se qata' e nazar, ooper miSroN ka vazn tajveez kar diyaa hai. ab aap jaaneN, mafhoom jaanay aor qat'a jaanay
.
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Re: aik Qita'aa
Posted: Sat Aug 04, 2007 4:59 pm
by tahira Masood
Tahiraa ji,
Sanaa, ki vazaaHat ka shukriyaa.
Iss Husn-e-mah-e-kaamil peh hHairaan hai tuu?
is qat'a ke baaqi teenoN miSroN ka eHtetaam faailun ya faailaat ki aawaaz par hotaa hai. jab ke is miSraa ke eHtetaam faailun ya faailaat par naheeN ho rahaa. is leeaye mairay nazdeek is ka vazn qaabil e ghor hai.
ye Husn e maah e kaamil Heeran kyooN karay,
is se hazaar darja roshan hai aaftaab
mumkin naheeN nazar bhar ke daikhnaa jinheN
un ke Sanaa, ke Husn ki ho gi kahaaN pe taab.
leejiaye meN ne, mafhoom se qata' e nazar, ooper miSroN ka vazn tajveez kar diyaa hai. ab aap jaaneN, mafhoom jaanay aor qat'a jaanay Smile.
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
bohat shukeriyah Siddiqui saheb
aik aurr baat kehnaa chaahoN gee keh maine bohat se mash'hoor aur mustanid sho'araa ko lafz "qataa" kehte sunaa hai iss liye andhaa dhund taqleed maiN Qataa hi likh gaee. laikin lughta dekhne per andaaza huaa hai keh asal lafz Qitaa hi hai.
chunaacheh esae badal rehi hoN
khush rehaiN
aur haaN aik baat bataa doN yeh faailaaun yaa faailatun mairee samjh maiN nahiN aate
maine Urdu meHaZ shauq maiN seekhi hai
maiN baher k muammaalik maiN hi palee barhi aur paRhi hoN
wassalam