Page 1 of 1
guzarish #30 kuch takheer se moazrat ke saath
Posted: Wed Aug 01, 2007 8:00 pm
by Rehana.A
Aziz Dosto!
guzarish #3o kuch takheer say lay kay hazir hoon ,
kuch wajohaat rahien magar bayaan karna atna zarooree
nahien Serf mazrat khawah hoon is ke liay.
to lijiay ghazal paish e khidmat he
[align=center]
[/align]
Posted: Thu Aug 02, 2007 6:36 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah ReHanah AHmad JanaN SaaHibah aadaab-o-tasleemaat!
Ummeed hai kheriyat se hooN gee. GuZarish#30 ke liye aap kee GhazleeN dekheeN. mashAllah aap ko aozaan aor alfaaz^ ke chunao par khaaSee dastaras ho chukee hai. macala" aap kee is Ghazal meN Sirf mat^a' ke dusre miSra' meN wazan kee Gunjaaish naz^ar aaee. kheyaal aor khuSuSa" aap adab ke badalte huwe huwe rujHaanaat ke saath saath apne adabee usloob ko bhee badalne kee koshish kartee rehtee haiN. yahee wajah hai keh aap kee Ghazal waqt ke saath qadam bah qadam chal rahee hai.
Aap kee shaae'iree meN hamah Geeree hai. aor is kee aek wajah yeh bhee hai keh aap kaceer-ul-jihaat khuSuSiyaat kee maalikah haiN. urdu shaae'iree ke i'lawah urdu nacar par bhee aap kaam kartee haiN. is ke i'lawah nazm kaa bhee maedaan aap kaa pasandeedah hai. aor mahiyah bhee khoob kehtee haiN.
yeh Ghazal bhee jumlah aoSaaf liye huwe hai. aap ke haaN ummeed aor ranj donooN mil kar aek nae'ee kaefiyat paedah kar dete haiN. jise alfaaz^ meN ada karnaa aasaan naheeN. aor nah hee aap kee Ghazal kaa Saotiyaatee mut^ala'ah aor asha'aar kee Sarfee-o-naHwee khuSuSiyaat ko aHaat^ah-e-teHreer meN laana sehel hai. baa eeN hamah aap ke haaN josh-e-Hayaat aor ranj-e-Haalaat kee kaefiyateeN miltee haiN. un se yeh taacur ubhartaa hai. keh aap kaa t^aba'ee milaan yaa zehnee jhukaao aap ko dard-o-ranj kee wadee meN dhakel detaa hai. aor jahaaN pohonch kar siwaa aesee HaseeN Ghazal ke kahaa bhee kiyaa jaa saktaa hai.
is kaamyaab koshish par meree janib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Sat Aug 04, 2007 2:51 pm
by Rehana.A
Muzaffar Bhaa,i aap ki zara nawaazi he warnaha
man aanam kah man daanam................teh e dil say
aapki mamnoon hoon aur shukriya adda kartee hoon .