Page 1 of 1

Guzarish 31 (nah kar sakey...............)

Posted: Thu Aug 02, 2007 9:37 pm
by jawaid badauni
Dosto!
Tasleemaat

Iss baar moHtaram Muzaffar SaaHab ne KhaaSee dushwaar zameen tajweez farmaii hai. Phir bhee kuch sada se ashAAr ho gaye haiN jo rasman aap ki nazr haiN. Aapki aara ka muntazir rahoonga.

MuKhliS
Jawaid Badauni

haiN teerabakht noor ka saamaaN nah kar sakey
hum ek din bhee ghar meN charaaGhaN nah kar sakey

choTee see ek mauj ne karke dikha diya
jo kaam kuch samundaree ToofaaN nah kar sakey

gushan ne hum ko rung diye dilkashee bhee dee
hum haiN keh kuch bhi nazr.e gulistaaN nah kar sakey

karte haiN sub se baRhke wohee dawaa.e junooN
ab tak jo chaak apna gareebaaN nah kar sakey

ik baar yuuN kisee ne kiya Khoon.e aarzoo
“hum zindagee meN phir koii armaan nah kar sakey”

nakaamiyoN ka meri uRaate haiN woh mazaaq
ab tak jo koii kaar.e numaayaaN nah kar sakey

:Jawaid: woh charaaGh jalaao tou baat hai
Gul jisko koii waqt ka Toofaan nah kar sakey

Posted: Fri Aug 03, 2007 8:04 am
by muhammad_19k
Jawaid SaHeb,

aik shaandaar ghazal paish karne par mubaarakbaad o daad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Fri Aug 03, 2007 11:13 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

Is baar to aap ne itne garam she'er nikale haiN keh yeh baat baRe yaqeen se kahee jaa saktee hai. keh yeh Ghazal aap kee aek aor numaae'indah Ghazal ban gaee hai.

jaesaa keh aap ne zikr farmayaa hai keh is baar zameen dushwaar hai. aor yeh Haqeeqat bhee hai. lekin agar dekhaa jae to is zameen meN agar koee SaaHib qalam uThaataa hai. to aek to yeh keh is zameen ke liye qawaafee kaa maedaan-e-intekhaab khula aor bohot wasee' hai. lehazah maZameen TakRane kaa sawaal paedah naheeN hotaa. baSurat-e-deegar aasaan zameenooN meN kheyalaat TakRaa jate haiN aor ba'aZ^ aoqaat GumaaN hotaa hai. keh mat^la' par mat^la' yaa miSra' par miSra' ho geyaa hai. is kaefiyat se bachne ke liye is qadre dushwaar zameen ka intekhaab kiyaa geyaa hai.

mujhe baRee khushee hoee hai keh aap ne aek shahkaar Ghazal is zameen meN keh kar Ghazal ke taamaam tar Saotee aor naHwee taqaZ^ooN ko malHooz^-e-khaat^ir rakhaa. aor nateejata" jo takhleeq ma'araZ^-e-wujood meN aaee hai. woh kisee ta'areef-o-taoSeef kee moHtaaj naheeN. balkeh apnee dilkashee aor ra'naaee kheyaal ke ae'tebaar se az^har minal shams hai. so meree janib se dilee daad qubool keejiye!

haiN teerabakht noor ka saamaaN nah kar sakey
hum ek din bhee ghar meN charaaGhaN nah kar sakey

Kiyaa Kehne! Waah Waah! Jawaid bhaee bohot khoob!

choTee see ek mauj ne karke dikha diya
jo kaam kuch samundaree ToofaaN nah kar sakey

Kiyaa kehne Waah Waah!

gulshan ne hum ko rung diye dilkashee bhee dee
hum haiN keh kuch bhi nazr.e gulistaaN nah kar sakey

Bohot khoob Waah Waah! lajawaab she'er hai Waah Waah!

karte haiN sub se baRhke wohee dawaa.e junooN
ab tak jo chaak apna gareebaaN nah kar sakey

Kiyaa kehne! Waah!

ik baar yuuN kisee ne kiya Khoon.e aarzoo
“hum zindagee meN phir koii armaan nah kar sakey”

Bohot Khoob Waah Waah! Jawaib bhaee jawaab naheeN .....!!!

nakaamiyoN ka meri uRaate haiN woh mazaaq
ab tak jo koii kaar.e numaayaaN nah kar sakey

Bohot Khoob Waah Waah! yahee mizaaj-e-zamanah hai keh khud to kuch naheeN kar pate lekin dusrooN kee ae'eb noee karta hai.

:Jawaid: woh charaaGh jalaao tou baat hai
Gul jisko koii waqt ka Toofaan nah kar sakey

Bohot khoob Waah Waah Waah Kiyaa achchaa hai!!!

mushaae'rah meN aap kee shirkat ke liye aap kaa mamnoon-o-eHsaan mand hooN.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Sat Aug 04, 2007 3:32 am
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

Azeezi Muzaffar SaaHab
Aadaab qubool farmaiiye

Aap dil khol ke aur qalam khol ke jo daad dete haiN us se shayar ki himmat afzaaii hotee hai. Ab tak aisa kabhi nahiN huwwa Ghazal kahee ho aur aap ne apni giraaNqadr daad.o.taHseen se nah nawazah ho. Bhaaii, yeh tou ujlat meN kahi gaii ek tarahee Ghazal hai. MiaN saadgee se kahta hoon magar ab wohee saadgee logoN ko pasaNd aane lagee hai. Aap ka bohat bohat shukriya.

JahaN tak zameen ka sawaal hai, qawafee ki bharmaar to hai magar unka "nah kar sake" ke saath nibaah zara teRhee kheer hai. Phir bhee maiN ne koshish ki hai nibhane ki. Mujhe yaqeen hai baqee shoAra bhee achchee GhazaleN bhejeNge. Main kaii achchee Ghazalon ka muntazir hooN.

Ek baar phir aap ka shukriya.

KhulooSkaar,
Jawaid Badauni

Posted: Sat Aug 04, 2007 3:34 am
by jawaid badauni
muhammad_19k wrote:Jawaid SaHeb,

aik shaandaar ghazal paish karne par mubaarakbaad o daad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Bohat bohat shukriya Khawar Saahab.

Aaap tou mujhe "Jawaid Bahii" kahte thEy phie yrh Saahab kyuuN?

Khoosh raheN!

Jawaid

Posted: Sat Aug 04, 2007 4:52 am
by muhammad_19k
ohhhh

Jawaid bhai, meN muaafi chaahtaa hooN. shayed office meN kissi koi daaNt kar baithaa hooN ga :-).

Allah ta'aalaa aap ko bhi khush o khurram rakhay.

mu'addab,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Mon Aug 06, 2007 5:53 am
by Shummu
oh maine reply type kiya tha ..jab post karne lagi to login msg aa gaya aur uske baad poori post gayab ho gayi:( khair salam kaise hain jawaid bhai??bahut arse baad net pe aana hua to nazar aap ki is khoobsurat ghazal pe pari..bahuuuuuuuuuut pasand aayi..ek ek sher umda hai khaaskar girah aur ye ashaar dil ko chuu gaye..dili daad pesh hai..

choTee see ek mauj ne karke dikha diya
jo kaam kuch samundaree ToofaaN nah kar sakey

ik baar yuuN kisee ne kiya Khoon.e aarzoo
“hum zindagee meN phir koii armaan nah kar sakey”

nakaamiyoN ka meri uRaate haiN woh mazaaq
ab tak jo koii kaar.e numaayaaN nah kar sakey

:Jawaid: woh charaaGh jalaao tou baat hai
Gul jisko koii waqt ka Toofaan nah kar sakey

wah wah khoob kaha aapne!!

duaoon mein yaad rakhiyega.
Shumaila

Posted: Tue Aug 07, 2007 3:04 am
by jawaid badauni
Shummu wrote:oh maine reply type kiya tha ..jab post karne lagi to login msg aa gaya aur uske baad poori post gayab ho gayi:( khair salam kaise hain jawaid bhai??bahut arse baad net pe aana hua to nazar aap ki is khoobsurat ghazal pe pari..bahuuuuuuuuuut pasand aayi..ek ek sher umda hai khaaskar girah aur ye ashaar dil ko chuu gaye..dili daad pesh hai..

choTee see ek mauj ne karke dikha diya
jo kaam kuch samundaree ToofaaN nah kar sakey

ik baar yuuN kisee ne kiya Khoon.e aarzoo
“hum zindagee meN phir koii armaan nah kar sakey”

nakaamiyoN ka meri uRaate haiN woh mazaaq
ab tak jo koii kaar.e numaayaaN nah kar sakey

:Jawaid: woh charaaGh jalaao tou baat hai
Gul jisko koii waqt ka Toofaan nah kar sakey

wah wah khoob kaha aapne!!

duaoon mein yaad rakhiyega.
Shumaila

"Muddat ke bAAd aap ko dekha Khushee huuwe".

Ghazal ki pazeeraayee ke liye mamnoon hooN.

Khoosh eaheN!

Jawaid

Re: Guzarish 31 (nah kar sakey...............)

Posted: Tue Aug 07, 2007 8:49 am
by haamidbaaqri
jawaid badauni wrote:Dosto!
Tasleemaat

Iss baar moHtaram Muzaffar SaaHab ne KhaaSee dushwaar zameen tajweez farmaii hai. Phir bhee kuch sada se ashAAr ho gaye haiN jo rasman aap ki nazr haiN. Aapki aara ka muntazir rahoonga.

MuKhliS
Jawaid Badauni

haiN teerabakht noor ka saamaaN nah kar sakey
hum ek din bhee ghar meN charaaGhaN nah kar sakey

choTee see ek mauj ne karke dikha diya
jo kaam kuch samundaree ToofaaN nah kar sakey

gushan ne hum ko rung diye dilkashee bhee dee
hum haiN keh kuch bhi nazr.e gulistaaN nah kar sakey

karte haiN sub se baRhke wohee dawaa.e junooN
ab tak jo chaak apna gareebaaN nah kar sakey

ik baar yuuN kisee ne kiya Khoon.e aarzoo
“hum zindagee meN phir koii armaan nah kar sakey”

nakaamiyoN ka meri uRaate haiN woh mazaaq
ab tak jo koii kaar.e numaayaaN nah kar sakey

:Jawaid: woh charaaGh jalaao tou baat hai
Gul jisko koii waqt ka Toofaan nah kar sakey

:salaam2:
biradaram jawaid saahib

hasbay mamool aapki yeh ustaadanah takhleeq dil meiN ghar kar gayee hai.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose :clap01:

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqari
.

Re: Guzarish 31 (nah kar sakey...............)

Posted: Thu Aug 09, 2007 11:47 am
by jawaid badauni
haamidbaaqri wrote:
jawaid badauni wrote:Dosto!
Tasleemaat

Iss baar moHtaram Muzaffar SaaHab ne KhaaSee dushwaar zameen tajweez farmaii hai. Phir bhee kuch sada se ashAAr ho gaye haiN jo rasman aap ki nazr haiN. Aapki aara ka muntazir rahoonga.

MuKhliS
Jawaid Badauni

haiN teerabakht noor ka saamaaN nah kar sakey
hum ek din bhee ghar meN charaaGhaN nah kar sakey

choTee see ek mauj ne karke dikha diya
jo kaam kuch samundaree ToofaaN nah kar sakey

gushan ne hum ko rung diye dilkashee bhee dee
hum haiN keh kuch bhi nazr.e gulistaaN nah kar sakey

karte haiN sub se baRhke wohee dawaa.e junooN
ab tak jo chaak apna gareebaaN nah kar sakey

ik baar yuuN kisee ne kiya Khoon.e aarzoo
“hum zindagee meN phir koii armaan nah kar sakey”

nakaamiyoN ka meri uRaate haiN woh mazaaq
ab tak jo koii kaar.e numaayaaN nah kar sakey

:Jawaid: woh charaaGh jalaao tou baat hai
Gul jisko koii waqt ka Toofaan nah kar sakey

:salaam2:
biradaram jawaid saahib

hasbay mamool aapki yeh ustaadanah takhleeq dil meiN ghar kar gayee hai.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose :clap01:

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqari
.

MoHibbee Haamid SaaHab
aadaab

Ghazal ki pazeeraayee ke liye shukriya. Aapse iltemaas hai "internet" per aate jaate raha kijiye kabhi kabhi aapki aamad-jaamad meN tawel Arsey ka waqfa ho jata hai.

Ek baar phir shukriya.

MuKhliS
Jawaid

Posted: Wed Aug 15, 2007 5:10 am
by haamidbaaqri
MoHibbee Haamid SaaHab
aadaab

:salaam2:
JAWAID BHAI SAAHIB

Ghazal ki pazeeraayee ke liye shukriya.

nawaazish karam meherbaani.

Aapse iltemaas hai "internet" per aate jaate raha kijiye kabhi kabhi aapki aamad-jaamad meN tawel Arsey ka waqfa ho jata hai.

hameN iska ehsaas hai.per kya kareN.aik taraf hamaari waalidah ki tabiyat naasaaz hai woh kayee dinoN hospital meiN haiN.doosri taraf composing aur shows nay hameN masroof kar rakkha hai.hum bahut kam waqt nikaal paarahay haiN net kay liye aajkal.

aap dua farmaayeN.

Ek baar phir shukriya.

jazakallah

MuKhliS
Jawaid

aapka apna
haamidbaaqari