Page 1 of 1
"akad kar nah chaleN tau phir maza kya"tarhi kalaa
Posted: Tue Aug 07, 2007 8:44 am
by haamidbaaqri
dosto :rose
aik tarhi kalaam peshay khidmat hai
gar qubool uftad zahay.........
arz kiya hai.....
woh kehtay haiN keh humnay hai kiya kya
zara see chaut pahunchaayee hua kya
hai apnay paas daulat aur shohrat
akad kar nah chaleN tau phir maza kya
samajhnay kee nahiN humko zaroorat
khudaayee kya hai aur hota khuda kya
chalo aisoN kay baaray meiN yeh dekheN
mohammed mustafa(sawaw)nay hai kaha kya
yeh zaalim jaankanee meiN jaanlenge
ajal kehtay haiN kisko hai khuda kya
'amal inka kahegaa khud inheeN say
sata kar doosroN ko hai mila kya
saza aisee milegee aaj tumko
kahenge sab hai aisee bhi saza kya
zabaaN qaaboo meiN rakh aye mere haamid
"nah ho marna tau jeenay ka maza kya"
narteejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah
Posted: Tue Aug 07, 2007 6:42 pm
by muhammad_19k
Mohtaram Janab Haamid Baaqri SaHeb
Salam o Aadaab qubool kijiaye. aap ki ghazal paRhna shroo ki to poori shroo karne se pehlay hi jawaab likhnaa shoor ho gayaa hooN. matlaa jo aisaa shaandaar kaha hai aap ne.
woh kehtay haiN keh humnay hai kiya kya
zara see chaut pahunchaayee hua kya
waah waah bohat khoob janab . zaraa si chaut puhanchaai huwaa kyaa ne bohat mazaa diyaa. dilli daad qubool kijiaye.
hai apnay paas daulat aur shohrat
akad kar nah chaleN tau phir maza kya
waah khoob tanz farmaayaa hai aap ne.
samajhnay kee nahiN humko zaroorat
khudaayee kya hai aur hota khuda kya
hmMMMMmmm. is sher ka doosra miSra! shayed is taraH kuch behtar ho, khudaayee kya hai, hotaa hai khudaa kyaa
chalo aisoN kay baaray meiN yeh dekheN
mohammed mustafa(sawaw)nay hai kaha kya
ohh is sher ko to pehlay walay sher ke saath paRna chahiaye thaa mujhe.
yeh zaalim jaankanee meiN jaanlenge
ajal kehtay haiN kisko hai khuda kya
ye bhi achaa khyaal hai. pehlay miSra ne bohat mazaa diyaa.
'amal inka kahegaa khud inheeN say
sata kar doosroN ko hai mila kya
bohat khoob.
saza aisee milegee aaj tumko
kahenge sab hai aisee bhi saza kya
waah ji waah.
zabaaN qaaboo meiN rakh aye mere haamid
"nah ho marna tau jeenay ka maza kya"
maqtaa aor giraa ko ikathaa karne ki aik achchi koshish hai.
majmoo' Tor par aise behtareen ghazal kehne par daad o mubaarakbaad qubool kijiaye.
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
shukriya
Posted: Wed Aug 15, 2007 4:47 am
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:Mohtaram Janab Haamid Baaqri SaHeb
Salam o Aadaab qubool kijiaye.
[color=red]WA ALAIKUMUSSLAAM........jeete rahiye.[/color]
aap ki ghazal paRhna shroo ki to poori shroo karne se pehlay hi jawaab likhnaa shoor ho gayaa hooN.
zahay naseeb..........
matlaa jo aisaa shaandaar kaha hai aap ne.
bahut bahut shukriya....
woh kehtay haiN keh humnay hai kiya kya
zara see chaut pahunchaayee hua kya
waah waah bohat khoob janab . zaraa si chaut puhanchaai huwaa kyaa ne bohat mazaa diyaa. dilli daad qubool kijiaye.
bahut bahut shulkriya aapka.
hai apnay paas daulat aur shohrat
akad kar nah chaleN tau phir maza kya
waah khoob tanz farmaayaa hai aap ne.
shukriya.
samajhnay kee nahiN humko zaroorat
khudaayee kya hai aur hota khuda kya
hmMMMMmmm. is sher ka doosra miSra! shayed is taraH kuch behtar ho, khudaayee kya hai, hotaa hai khudaa kyaa
sahi farmaa rahay haiN aap.EDIT kardiya hai dekhleN.
chalo aisoN kay baaray meiN yeh dekheN
mohammed mustafa(sawaw)nay hai kaha kya
ohh is sher ko to pehlay walay sher ke saath paRna chahiaye thaa mujhe.
yeh zaalim jaankanee meiN jaanlenge
ajal kehtay haiN kisko hai khuda kya
ye bhi achaa khyaal hai. pehlay miSra ne bohat mazaa diyaa.
shukriya
'amal inka kahegaa khud inheeN say
sata kar doosroN ko hai mila kya
bohat khoob.
shukriya
saza aisee milegee aaj tumko
kahenge sab hai aisee bhi saza kya
waah ji waah.
shukriya.
zabaaN qaaboo meiN rakh aye mere haamid
"nah ho marna tau jeenay ka maza kya"
maqtaa aor giraa ko ikathaa karne ki aik achchi koshish hai.
majmoo' Tor par aise behtareen ghazal kehne par daad o mubaarakbaad qubool kijiaye.
aap baday khuloos say daad detay haiN. jazakallah.
der say jawaab denay keliye hum aapsay muaazirat chaahtAy haiN.
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
MUKHLIS
HAAMID BAAQARI