Page 1 of 1

Guzarish 31- Muhammad K. Siddiqui

Posted: Fri Aug 10, 2007 8:28 am
by muhammad_19k
Salam dosto,

leejiaye bohat meHnat ke b'aad meN ne bhi kuch alfaaz joR kar aik ghazal jaisi koi shay kehne ki koshish ki hai aor aap ki khidmat meN paish hai.

Zaahir hai aap ke bharpoor tabSira jaat ke baghair to is ka koi mazaa hi naheeN.

paishgi shukriyaa kesaath,
Muhammad K . Siddiqui.

Posted: Fri Aug 10, 2007 8:47 am
by muhammad_19k
Roman

1. ham dil meN aaj tak unheN mehmaaN na kar sakay
SeHraa-e-dil ko yaani gulistaaN na kar sakay.

2. woh lutf kyaa uthaa-eN ge lamHaat e vaSl ka
dil meN jo paidaa sozish e hijraaN na kar sakay

3. maalom hai Haqeeqat e dard e jigar mujhe
hairat naheeN jo koi bhi darmaaN na kar sakay

4. seenay pe daag e dil to sajaayaa hai fakhr se
laikin ham ashk zavar e miZgaaN na kar sakay

5. maqsood un ko milay apni Hayaat kaa
jo zindigi se laRne ka saamaaN na kar sakay

6. lotay wo Khaali haath hi baazaar ishq se
jo aql se wahaaN bhi gurezaaN na kar sakay

7. un ke baqol ishq khalal hai damaagh ka
jo aashiqi meN kaar e numaayaaN na kar sakay

8. :Khawar: ye apnaa ishq to SeHra ka nakl hai
jis ko koi khazaaN bhi pareshaaN na kar sakay.

Posted: Mon Aug 13, 2007 1:00 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Khawar SaaHib aadaab!

Aap kaa she'eree Zaoq-o-shaoq qaabil-e-daad hai. aap kee adab aor urdu dostee dekh kar jee baRaa khush ho taa hai. aeY kaash ham sabhee afraad jin kaa kisee bhee t^arH urdu se rishtah hai. un ke dilooN meN bhee yooN hee Zubaan-e-urdu ke liye muHabbat aor iradat paedah ho jae. tab yaqeen se kahaa jaa saktaa hai, keh yeh Zubaan jo aaj baqaol-e-A'llamah Iqbal abhee "minnat pazeer-e-shaanah hai" kee taraqee aor tarweej kee raheeN hamwaar ho saktee haiN.

aap kee Ghazal aek achchee koshish hai. aap kee haaN jazbah kee farawani aor kheyaal-o-fikr kee buland parwaazee qaabil-e-ta'teef hai. aor yeh do a'naSir Ghazal ke paekar ko gaoyaa dilkash lebaas muhaiyaa karte haiN. mujhe ummeed hai keh agar aap isee mustaqil miZaaji se asha'aar kehte rahe to zood yaa bader aap aek achche shaae'ir kee Haeciyat se duniyaa-e-Ghazal meN apnee pehchaan panaane meN kaamyaab ho jaeeN ge. jazbah kee yahee shiddat aor umang kee Hiddat raah kee sabhee mukhilaat ko az khud door kar de gee.

Allah kare Zaor-e-qalam aor zeyadah!


1. ham dil meN aaj tak unheN mehmaaN na kar sakay
SeHraa-e-dil ko yaani gulistaaN na kar sakay.

2. woh lutf kyaa uthaa-eN ge lamHaat e vaSl ka
dil meN jo paidaa sozish e hijraaN na kar sakay

3. maalom hai Haqeeqat e dard e jigar mujhe
hairat naheeN jo koi bhi darmaaN na kar sakay

4. seenay pe daag e dil to sajaayaa hai fakhr se
laikin ham ashk zavar e miZgaaN na kar sakay

5. maqsood un ko milay apni Hayaat kaa
jo zindigi se laRne ka saamaaN na kar sakay

6. lotay wo Khaali haath hi baazaar ishq se
jo aql se wahaaN bhi gurezaaN na kar sakay

7. un ke baqol ishq khalal hai damaagh ka
jo aashiqi meN kaar e numaayaaN na kar sakay

8. :Khawar: ye apnaa ishq to SeHra ka nakl hai
jis ko koi khazaaN bhi pareshaaN na kar sakay.

meree janib se is koshish par daad aor mubarak baad qubool keejiye!


wassalam
Muzaffar A Muzaffar

bahut khoob

Posted: Wed Aug 15, 2007 5:18 am
by haamidbaaqri
:salaam2:
mohtaram mohammed khawar sahib

bahut acchee ghazal kahi hai aapnay.

muzaffar bhai saahib nay jau kuch aapkay baaray meiN kaha hai woh aik belaus urdu ki khidmat karnay waala hai keh sakta hai.

hamaari taraf say bhi aapki is khoobsoorat ghazal per dilee daad aur mubaarkbaad pesh hai qubool farmaayeN :rose :clap01: .

allah(sbhnwt)karay zory qalam aur ziyaadah.

mukhlis
haamidbaaqari

Posted: Tue Sep 04, 2007 6:15 am
by munir-armaan-nasimi
muhammad_19k wrote:Roman

1. ham dil meN aaj tak unheN mehmaaN na kar sakay
SeHraa-e-dil ko yaani gulistaaN na kar sakay.

2. woh lutf kyaa uthaa-eN ge lamHaat e vaSl ka
dil meN jo paidaa sozish e hijraaN na kar sakay

3. maalom hai Haqeeqat e dard e jigar mujhe
hairat naheeN jo koi bhi darmaaN na kar sakay

4. seenay pe daag e dil to sajaayaa hai fakhr se
laikin ham ashk zavar e miZgaaN na kar sakay

5. maqsood un ko milay apni Hayaat kaa
jo zindigi se laRne ka saamaaN na kar sakay

6. lotay wo Khaali haath hi baazaar ishq se
jo aql se wahaaN bhi gurezaaN na kar sakay

7. un ke baqol ishq khalal hai damaagh ka
jo aashiqi meN kaar e numaayaaN na kar sakay

8. :Khawar: ye apnaa ishq to SeHra ka nakl hai
jis ko koi khazaaN bhi pareshaaN na kar sakay.

Pyare Khawar Bhai,

JAB AAP KUCH KAREINGE HI NAHIN.... AANE JAANE WALON KA RAASTA ROKE HOYE..... POOL PE BAITHE RAHENGE TO YAHI HOGA..... DIL MAIN UNKO MEHMAAN KARNA HAI TO.... UNKE GHAR JAAYIYE... UNHEIN INVITE KIZIYE......

woh lutf kyaa uthaa-eN ge lamHaat e vaSl ka
dil meN jo paidaa sozish e hijraaN na kar sakay

TO AAP.... AKELE AKELE "BRIDGE" KE UPAR LURF UTHAA RAHE HAIN????

Mujhe aap ka Maqta aur mandarza bala sher behad pasand aaya.... DAAD qobool kiziye.

aap ka bhai

Munir Armaan