Page 1 of 1

ek ghazal......''saeed'' aKhtar sahab ki

Posted: Fri Aug 10, 2007 3:09 pm
by balvinder
aks tere haiN, chaman teraa hai, baNsii terii
too meraa chaaNd hai, maiN chhoTii-si naddii terii

din to duniya ke ghamoN se nahiiN faarigh hotaa
raat har roz sunaatii hai kahaanii terii

un gunaahoN ki sazaa to mujhe ai dost na de
maiN ne jab tere liye baat na maanii terii

rah gayaa apne liye ek mu'amma ban kar
boojhne aaya thaa ik shakhs pahelii terii

too jo kartii thii sadaa kachche ghaRhe ki baateN
Dar gayii chhoTii-si-ik mauj se kashtii terii

aashiyaaN chhoTa-sa ik maiN bhii banaata lekin
mere hisse meN na aayii koii Tahanii terii

ek maiN hooN ki lahoo bhii tere aage royaa
ek too hai ki kabhi aaNkh na bhiigii terii

jal bujhaa kab ka jise prem-nagar kahte the
fir bhii moorat koii maNdir meN na pighalii terii

tujhko jaana hai merii jaaN to muhabbat-haafiz
merii marzii to zamaane se hai, marzii terii

''sa'eed'' ahmad aKhtar

Posted: Wed Aug 22, 2007 3:38 pm
by muhammad_19k
Balvindar ji

aap ki ye pesh kardaa ghazal sa'eed ahmed akhtar SaHeb se mairaa tu'ruf ka waseelaa hoee. aor ye ghazal bataati hai ke moSoof yaqeenun aik achchay shaair heN.

agar ho sake to un ka kuch aor kalaam bhi share kijiaye ga.

agar buraa na manaa-eN to meN pooch saktaa hooN? naam se to aap waahe guru ke maan-ne walay lagte heN. kyaa aisaa hi hai?

aap ka shukrguzaar,
Muhammad K. Siddiqui.