Page 1 of 1

Meraaj.ul Nabi* per mera toHfa.........

Posted: Sat Aug 11, 2007 7:34 pm
by jawaid badauni
Dosto!
aadaab

Meraaj.ul Nabi* ke mauqey per dili mubarakbaad pesh
karta hooN aur apni ek taza "N'aat" bataur toHfa pesh
karta hooN. Ummid hai mera toHfa aap ko pasaNd aayega.

Khair andesh
Jawaid Badauni

:Naat Shareef:

jab bayaaN kisee ne ki dilkashee Madeene ki
dil meN aur bhee Hasrat baRh gaii Madeene ki

bazm meN zara hum ne baat ki Madeene ki
aur fazaaoN meN Khushboo bus gaii Madene ki

ab tou dil meN ley dey ke bus yehee tamanna hai
"kaash humko mil jaaye zindagee Madeene ki"

kufr ki siyah shub meN raushnee hai eemaaN se
uspe Thandee Thandee yeh chaaNdnee Madeene ki

us zameeN ka sarmaya Khaak.e paa.e "PaiGhamber"*
farsh bhi moAzzam hai Khaak bhi Madeene ki

yuun tou Khuld meN teri kya nahiN tha ai Khaaliq !
rah gaii hai jannat meN bus kamee Madeene ki

kab Nabee* bulaayeNge muntazir raha :Jawaid:
dil meN aarzoo GhuTkar rah gaii Madeene ki
-----------------------------------------------------------

* SAWW

Posted: Sat Aug 11, 2007 8:11 pm
by sbashwar
Mohtaram Jawaid Sahib
:salaam:
Bohat hi umda naat apne kahi hai. Har sheir qabil-e-daad hai. Sirf mundarja zail misre sani ki wzahat karein, shayed meri kam ilmi ki wajeh wazeh nahin:

yuun tou Khuld meN teri kya nahiN tha ai Khaaliq !
rah gaii hai jannat meN bus kamee Madeene ki
Jannati ke liye jannat mein kami kaisey?

kab Nabee* bulaayeNge muntazir raha :Jawaid:
dil meN aarzoo GhuTkar rah gaii Madeene ki
Allah, aapko medine ki zyarat naseeb kare, Ameen.

Dili mubarakbaad aur daad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar

Posted: Sun Aug 12, 2007 5:34 am
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtaram Jawaid Sahib
:salaam:
Bohat hi umda naat apne kahi hai. Har sheir qabil-e-daad hai. Sirf mundarja zail misre sani ki wzahat karein, shayed meri kam ilmi ki wajeh wazeh nahin:

yuun tou Khuld meN teri kya nahiN tha ai Khaaliq !
rah gaii hai jannat meN bus kamee Madeene ki
Jannati ke liye jannat mein kami kaisey?

kab Nabee* bulaayeNge muntazir raha :Jawaid:
dil meN aarzoo GhuTkar rah gaii Madeene ki
Allah, aapko medine ki zyarat naseeb kare, Ameen.

Dili mubarakbaad aur daad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar

Azeezi Salem SaaHab
aadaab qubool kijiye

N'aat shareef ki pazeeraayee ke liye maiN aap ka mamnoon hooN.

Jis she'r per aap ne e'traaz kiya hai mujhe pahle se kuch andaza tha keh shayad kuch qalam uTheNge iske Khilaaf. Yeh shairee ka andaaz hai warna beshak jannat meN kya kamee ho saktee hai. Aap ne woh mash'hoor.e zamana sher tou suna hi hoga jise Pakistan ke dou qawwal BhaiyoN ne baRee khubSuratee se gaya tha:

jannat bhi gawarah hai magar mere liye
ai kaatib.e taqdeer Madeena likh dey

YahaN bhi Madeene ko jannat per tarjeeh dee ja rahee hai. Yeh baat kahne ka shairaana andaaz hai isko itni sanjeedgee se nah lijiyega. Aur yeh bhi tou us Khaliq.e Haqeeqi ke iKhteyaar meN hai woh Madeene ko bhi jannat meN shamil kar sakta hai.

Ummid hai aap mutmaaiin hoNge. Bohat din se aap se rabt nah ho saka. Baraye karam Nazir SaaHab ki seHat ke bare meN batate rahiyega.

MUKhliS
Jawaid

Posted: Sun Aug 12, 2007 11:49 am
by sbashwar
:salaam: Jawaid sahib,
Shukria aapne apna qeemti waqt nikal kar jawab se nawaza.
Nazir sahib se mulaqat hoti rehti hai. Alhamdlillah behtar hai. Zaire ilaaj jo hai uske baad hi aankh ke ilaj par tawajeh dene ka iraada hai. Abhi waqt lagega. dua kijiye.
Shukria

Posted: Sun Aug 12, 2007 2:37 pm
by Mahtab Qadr
Jawaid Sahib
Salaam e masnoon
mashallah naat e shareef ne behad mutassir kia kya jazbaat haiN aapke , Allah har eimaan wale ko madeene ki ziarat naseeb kare balke wahaN ki aap o hawa uski sansoN ko muesser ho jaaye. aap saare sher pasand aaye. aur hazb e zail sheroN ne dil ko tarhpa dia,

jab bayaaN kisee ne ki dilkashee Madeene ki
dil meN aur bhee Hasrat baRh gaii Madeene ki

ab tou dil meN ley dey ke bus yehee tamanna hai
"kaash humko mil jaaye zindagee Madeene ki"

kufr ki siyah shub meN raushnee hai eemaaN se
uspe Thandee Thandee yeh chaaNdnee Madeene ki

us zameeN ka sarmaya Khaak.e paa.e "PaiGhamber"*
farsh bhi moAzzam hai Khaak bhi Madeene
ki

beshak aik aik sher dil ko choo lene wala hai, jis sher ki janib Salem bhai ne tawajjuh dilai hai , shayed unka muddua ye ho ke jab Jannat mai Nabi e Kareem SallaAllaho Alaihi wasallam ka deedar hi naseeb hoga to phir jis madeene ko unki nisbat se ye muqam mila uskki khatirkhaw zaroorat na hogi balke ye zameen o asmaan to yoNbi lapait diye jaiNge.
maqte mai aapki khawhish ka izhaar bahut achcha laga , koshish bhi karte rahiye Visa apply farmakar, Allah aapki aarzoo poori kare. aameen.
Mahtab

Posted: Sun Aug 12, 2007 4:33 pm
by jawaid badauni
Mahtab Qadr wrote:Jawaid Sahib

MoHibbee Mahtab Qadr SaaHab,
aadaab

"Muddat ke bAAd aap ko dekha Khushee huuwee."

Yeh meri ek taraHeee naat thee jo Badaun ke ek taraHee naatiya Mushaire ke liye kahee thee. MaiN waise bhi bohat saadgee se kahta hooN aur TaraHee kalam per tou akSar nazar.e Saanee ka waqt bhi nahiN mil pata. Mujhe Khooshee hai Naat aap ko pasaNd aaii.

Yaad aawree ke liye aur N'aat Shareef ki pazeeraayee ke liye bohat bohat shukriya.

MuKhliS
Jawaid

Posted: Mon Aug 13, 2007 5:29 am
by muhammad_19k
Jawaid bhai,

aap ne madinaa ki baat ki Allah t'aalaa aap ki kaavish qubool farmaa-aye aor is naiki ke Sadqay aap par apne reHm o karam ki baarish karay. mujhe bhi khaahish hai ke na'aat shareef kahaa karooN. aor ye jo shaairi ki practice hai Sirf iss leeaye kartaa hooN. wagarnaa ghazal meN kyaa rakhaa hai.

Na'aat goi aik mushkil kaam hai. ghazal likhte huway ham aazaad hote heN, jo bhi khyaal aayaa likh diyaa. laikin na'aat goi meN aisaa mumkin naheeN hai. iss leeaye ghazal go shoraa ne naateN kam likhi heN aor naat go shoraa ko alaihdaa hi maqaam hai. ho har baat ka khyaal rakhne meN kaamyaab ho jaateN heN.

bohat zydaa Had e adab meN rehtay huway 'arz karooN ga ke is koshish meN bhi ghazal ka raNg numaayaaN rahaa. ho saktaa hai ye Sirf mairaa hi gumaan ho. aa-aye daikhe heN.

jab bayaaN kisee ne ki dilkashee Madeene ki
dil meN aur bhee Hasrat baRh gaii Madeene ki

bohat khoob

bazm meN zara hum ne baat ki Madeene ki
aur fazaaoN meN Khushboo bus gaii Madene ki.

aap ki iss se ittefaaq karnaa zaroori naheeN. laikind darj baalaa sher se ye pataa chalaan mushkil hai ke ye apni t'aareef ki gayee hai ke madeenaa ki. kaheeN aisaa to naheeN ke kehne walaa kehna chaah rahaa ke us ki baat meN aisaa acar thaa ke mazkoor ki khushboo phail gayee?

ab tou dil meN ley dey ke bus yehee tamanna hai
"kaash humko mil jaaye zindagee Madeene ki"

bohat khoob.

kufr ki siyah shub meN raushnee hai eemaaN se
uspe Thandee Thandee yeh chaaNdnee Madeene ki

donoN miSroN ka rabT?

us zameeN ka sarmaya Khaak.e paa.e "PaiGhamber"*
farsh bhi moAzzam hai Khaak bhi Madeene ki

achchaa khyaal hai. laikin aap donoN miSroN me khaak hi ko laa raheN heN.

yuun tou Khuld meN teri kya nahiN tha ai Khaaliq !
rah gaii hai jannat meN bus kamee Madeene ki

ye sher bohat zydaa qaabil ghor hai.

1. aap ne jannat ko namukkamal kahaa. ( kami reh gayee hai)

aap ne Saleem SaHeb ko likhaa hai ke ye shaairaanaa andaaz hai. laikin n'aat goi meN shaairaana andaaz se zydaa ahmiat mazmoon ki hai.

2. aashiqaan madeenaa ko Jannat se zydaa qaraar daite heN. aap is ke leeaye khud bhi aik sher quote kar chuke heN . aor zydaa tar n'aat go shuroaa ne aisaa hi kahaa hai. woh madeena meN janaat daikhte. laikin aap ke sher se is khaahish ka izhaar hotaa hai ke jannat meN bohat si doori naimtoN ke saath aap madeena ke bhi khaahishmand heN.

kab Nabee* bulaayeNge muntazir raha :Jawaid:
dil meN aarzoo GhuTkar rah gaii Madeene ki

muntazir rahaa jawaid rahaa par ghor kijiaye. kyaa ab muntazir naheeN hai? aor doosre miSre meN aarzoo ghut kar rehgayee hai. HaalaaNke us koochay ke aashiqoN ki khaahish e safar kissi bhi Haal meN khatam naheeN hoti.

aor is se pehlay aap ye bhi likh chuke heN ke

agar aap aik hi ghazal meN do mutzaad khyaalaat paise karte heN to kuch achaNbhay ki baat naheeN. laikin na'aatia shaairi meN ye zaroor 'ajeeb lagtaa hai.

Jawaid bhai, maire ye raa-aye naik neeyati aor ikhlaaS par mabni hai. phir bhi agar aap ko mairi koi baat buri lagi to meN muaafi chaahtaa hooN.

niazmand,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Mon Aug 13, 2007 8:09 pm
by jawaid badauni
sara_j wrote:salaam jawaid bhai,

Miraj-un-Nabi per pesh kiya khoobsurat tohfa bohat bohat pasand aya

aapke qalam ki jitni bhi tareef kii jaaye kam hai, meri janib

se is anmol tohfe per dili shukriya qubool keejiye.

aaj kal ael aise kaam mein phansi hui hoon jiski wajah se waqt

bohat kam milta hai isliye kuch likh nahi paa rahi hoon.

sara
Bahan Sara SaHibah

Aapka behud mamnoon hooN.

Khoosh raheN!

Jawaid

Posted: Mon Aug 13, 2007 8:11 pm
by jawaid badauni
muhammad_19k wrote:Jawaid bhai,

aap ne madinaa ki baat ki Allah t'aalaa aap ki kaavish qubool farmaa-aye aor is naiki ke Sadqay aap par apne reHm o karam ki baarish karay. mujhe bhi khaahish hai ke na'aat shareef kahaa karooN. aor ye jo shaairi ki practice hai Sirf iss leeaye kartaa hooN. wagarnaa ghazal meN kyaa rakhaa hai.

Na'aat goi aik mushkil kaam hai. ghazal likhte huway ham aazaad hote heN, jo bhi khyaal aayaa likh diyaa. laikin na'aat goi meN aisaa mumkin naheeN hai. iss leeaye ghazal go shoraa ne naateN kam likhi heN aor naat go shoraa ko alaihdaa hi maqaam hai. ho har baat ka khyaal rakhne meN kaamyaab ho jaateN heN.

bohat zydaa Had e adab meN rehtay huway 'arz karooN ga ke is koshish meN bhi ghazal ka raNg numaayaaN rahaa. ho saktaa hai ye Sirf mairaa hi gumaan ho. aa-aye daikhe heN.

jab bayaaN kisee ne ki dilkashee Madeene ki
dil meN aur bhee Hasrat baRh gaii Madeene ki

bohat khoob

bazm meN zara hum ne baat ki Madeene ki
aur fazaaoN meN Khushboo bus gaii Madene ki.

aap ki iss se ittefaaq karnaa zaroori naheeN. laikind darj baalaa sher se ye pataa chalaan mushkil hai ke ye apni t'aareef ki gayee hai ke madeenaa ki. kaheeN aisaa to naheeN ke kehne walaa kehna chaah rahaa ke us ki baat meN aisaa acar thaa ke mazkoor ki khushboo phail gayee?

ab tou dil meN ley dey ke bus yehee tamanna hai
"kaash humko mil jaaye zindagee Madeene ki"

bohat khoob.

kufr ki siyah shub meN raushnee hai eemaaN se
uspe Thandee Thandee yeh chaaNdnee Madeene ki

donoN miSroN ka rabT?

us zameeN ka sarmaya Khaak.e paa.e "PaiGhamber"*
farsh bhi moAzzam hai Khaak bhi Madeene ki

achchaa khyaal hai. laikin aap donoN miSroN me khaak hi ko laa raheN heN.

yuun tou Khuld meN teri kya nahiN tha ai Khaaliq !
rah gaii hai jannat meN bus kamee Madeene ki

ye sher bohat zydaa qaabil ghor hai.

1. aap ne jannat ko namukkamal kahaa. ( kami reh gayee hai)

aap ne Saleem SaHeb ko likhaa hai ke ye shaairaanaa andaaz hai. laikin n'aat goi meN shaairaana andaaz se zydaa ahmiat mazmoon ki hai.

2. aashiqaan madeenaa ko Jannat se zydaa qaraar daite heN. aap is ke leeaye khud bhi aik sher quote kar chuke heN . aor zydaa tar n'aat go shuroaa ne aisaa hi kahaa hai. woh madeena meN janaat daikhte. laikin aap ke sher se is khaahish ka izhaar hotaa hai ke jannat meN bohat si doori naimtoN ke saath aap madeena ke bhi khaahishmand heN.

kab Nabee* bulaayeNge muntazir raha :Jawaid:
dil meN aarzoo GhuTkar rah gaii Madeene ki

muntazir rahaa jawaid rahaa par ghor kijiaye. kyaa ab muntazir naheeN hai? aor doosre miSre meN aarzoo ghut kar rehgayee hai. HaalaaNke us koochay ke aashiqoN ki khaahish e safar kissi bhi Haal meN khatam naheeN hoti.

aor is se pehlay aap ye bhi likh chuke heN ke

ab tou dil meN ley dey ke bus yehee tamanna hai
"kaash humko mil jaaye zindagee Madeene ki"

agar aap aik hi ghazal meN do mutzaad khyaalaat paise karte heN to kuch achaNbhay ki baat naheeN. laikin na'aatia shaairi meN ye zaroor 'ajeeb lagtaa hai.

Jawaid bhai, maire ye raa-aye naik neeyati aor ikhlaaS par mabni hai. phir bhi agar aap ko mairi koi baat buri lagi to meN muaafi chaahtaa hooN.

niazmand,
Muhammad K. Siddiqui.

Azeezi Khawar Saahab

Aap ke tafSeeli tabsarey ke liye aap ka mamnoon hooN. Dekhiye kuch furSat mil jaye tou aap ko aap ke nikaat ke Hawaley se likhoNga.

MuKhliS
Jawaid

Re: Meraaj.ul Nabi* per mera toHfa.........

Posted: Fri Aug 24, 2007 3:14 pm
by haamidbaaqri
jawaid badauni wrote:Dosto!
aadaab

Meraaj.ul Nabi* ke mauqey per dili mubarakbaad pesh
karta hooN aur apni ek taza "N'aat" bataur toHfa pesh
karta hooN. Ummid hai mera toHfa aap ko pasaNd aayega.

Khair andesh
Jawaid Badauni

:Naat Shareef:

jab bayaaN kisee ne ki dilkashee Madeene ki
dil meN aur bhee Hasrat baRh gaii Madeene ki

bazm meN zara hum ne baat ki Madeene ki
aur fazaaoN meN Khushboo bus gaii Madene ki

ab tou dil meN ley dey ke bus yehee tamanna hai
"kaash humko mil jaaye zindagee Madeene ki"

kufr ki siyah shub meN raushnee hai eemaaN se
uspe Thandee Thandee yeh chaaNdnee Madeene ki

us zameeN ka sarmaya Khaak.e paa.e "PaiGhamber"*
farsh bhi moAzzam hai Khaak bhi Madeene ki

yuun tou Khuld meN teri kya nahiN tha ai Khaaliq !
rah gaii hai jannat meN bus kamee Madeene ki

kab Nabee* bulaayeNge muntazir raha :Jawaid:
dil meN aarzoo GhuTkar rah gaii Madeene ki
-----------------------------------------------------------

* SAWW
:salaam2:
jawaid bhai saahib

bahut acchee naat(sawaw) kahi hai aapne

hamaari dilee dad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose :rose :rose

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqari