Pakistan k liye
Posted: Sun Aug 12, 2007 12:01 pm
tamaam hamwatnoN ki khidamt maiN payaar bheraa slaam
watn-e-Aziz per socahne baiThee tau yeh TooTe phooTe alfaaz aur muntashiir khayaalat hi ikaTThaa ker pa'ee
pehle aisaa nahiN thaa............
baat kerni mujhe mushkil kabhi aisee tau nah thi
jaisee ab hai teri meHfil kabhi aisee tau nah thi
le gayaa cheen k kon aaj teraa Sabr-o-qaraa
be qaraari..........................aisee tau nah thi
ummeed hai keh mere dil kee Haalat aap sab bah khoobu samajh gaey hoNge
aik teraf watan se aqeedat ki Hadd tak payaar aur dooseri teraf wehaaN per mojuud tahffuZaat
jaan, maal, izzat, aabruu,eemaan kuch bhi tau meHfooz nahiN, gharoN ki chaardweeari bhi nahiN
maaN ki aaghauSh bhi nahiN
Hatta keh Khudaa k gher bhi meHfooZ nahiN????????????
Al'amaan al Hafeez
ikk qayaamat hai
ooper se ArZee aur samaavi aafaat??? zalzale aandhiyaaN toofaan,toofani baarsheiN, haihaata haihaata haihaat!!!
kis kis baat kaa zikr karoN
maiN amann kaa gehwaara apne bachpan waala Pakistan kehaaN dhundoN????
hamne na'ee nasloN ko yeh kis qism kaa Pakistan diyaa hai??
Pakistan? Pakistan tau Arsa-e deraaz se Ighwaa ho chukaa, dehshat gerdi k haathoN
Islaam k naam nehaad Thaik-e-daaroN k haathoN
apne "khair khwaahoN" k haathoN
bas inhee khayaalaat kaa majmuaa hai meri yeh muntashir si nazm
----------------------------------------------------------
nazm
Tuu janam bhoomi meri Tu hi dherti maaN hai miree
duaa nah doN tujhe kioNker keh tuu hi jaan hai miree
maiN teri gaud maiN bachoN ki sii humakkti thi
maiN tairee seene peh paaoN paaoN chalti thi
maire watan teri khushbuu se payaar hai mujh ko
salaamti se teri hi qaraar hai mujh ko
teri zameen terae aasmaaN se payaar mujhe
maidaan taire payaare haiN kohsaar mujhe
teri hawaaoN ki khushbu teri zameeN ki mehak
abhi bhi rooH maiN aati hai inkee mujh ko lapak
kuch aise logo ne ghairaa hai tujh ko payaare watan
gharaZ ko apnee diaa hai ujaaR teraa chaman
koee tau aaey jo zulfeiN sanwaar de teri
koee tau ho jo keh mushkil usaar de teri
Khudaa tumehiN woh qayaadat de jo keh teri ho
kabhi panapne nah paaey jo teraa bairee ho
Haseen chehraa teraa zakhm zakhm dikhtaa hai
tau meraa qalb-e-HazzeiN dam bah dam dukhtaa hai
Tuu zadd maiN aagayaa aafaat aur maSaaib k
maiN kis terah tumheiN loN ba-taur-e-khaaib k?
nah bulbaloN k haiN naghme nah taa'eroN ki chehak
Fazaa maiN phailaa hai baarood aur bamoN ki dhamak
nahiN hadaf thaa teraa yeh aur nah yeh manzil thi
teraa naSeeb tau makhakmal ki aik meHmil thi
maiN kaise haath pakaR ker nikaal loN tujh ko
kabhi sanbhaala mujhe thaa sanbhal loN tujh ko
keh rehnaa tujh maiN banaaya gayaa hai naa mumkin
badal k rakh diye Zaalim ne taire raat aur din
kabhi nah sochaa tha maiN tujh se duur jaaoN gee
tumhaaree yaad maiN aansu maiN yuN behaaoN gee