Page 1 of 1
guzarish # 31
Posted: Wed Aug 15, 2007 5:42 am
by haamidbaaqri
dosto :rose
mahay rawaaN kay micray per sadre mushaira mohtaram abdullah nazir saahib aur mehmaanay khusoosee mohtaram sarwar A raz sarwar saahib kee ejaazat say hum apni adna kaavish pesh kar rahay haiN.
gar qubool uftad zahay.............
arz kiya hai......
hum zindagi kau apni musalmaaN nah ka sakay
mazboot apna hum kabhie emaaN nah kar sakay
qurbaani maangta raha islaam umr bhar
hum khwaahishaate nafs kau qurbaaN nah kar sakay
tauba ki raah sabko dikhaatay rahay magar
apnay gunah peh khud ko pashemaaN nah kar sakay
raateN guzaareeN humnay kayee baar jaag kar
un raatoN meiN ebaadate yazdaaN nah kar sakay
maayoosi kufr hai tau bhala kaisay hum kaheN
"hum zindagi meiN phir koyee armaaN nah kar sakay"
haamid bataao kisliye daure hayaat meiN
tum aakhirat ka koyee bhi saamaaN nah kar sakay
nateejaye fikr
haamidbaqari
al hamdulillah
Posted: Wed Aug 15, 2007 7:35 am
by muhammad_19k
qurbaani maangta raha islaam umr bhar
hum khwaahishaate nafs kau qurbaaN nah kar sakay
waah waah. bohat khoob. bohat hi khoob.
Re: guzarish # 31
Posted: Wed Aug 15, 2007 11:57 am
by muhammad_19k
..
Posted: Fri Aug 17, 2007 1:49 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
mohtaram Biradaram Haamid Baaqri SaaHib aadaab!
Aap kaa nateejah-e-fikr-o-fan dekhne kee taofeeq milee. mashAllah Qudrat ne aap ko jahaaN deegar salaHiyatooN se sarfaraaz kar rakhkhaa hai. wahaaN she'er gaoee aor qalabee waardaat ko man-o-a'an SafaHah-e-qirt^aas par muntaqil karnaa kaa hunar bhee Wadiyat-e-eezadee kaa hee jaohar hai. jo kisee kisee SaaHib-e-Ciqah kaa t^urrah-e-imteyaaZ bantaa hai.
Zaor-e-kalam-o-sheereenee-e-Zubaan ne mil kar maHool ko SaaHiranah kar diyaa hai. jis meN ruHaanee aor abadee jazbooN aor lat^afatooN kee dheemee dheemee mehek arwaaH ko muatt^ir karne kee ehtemaan gar hai!!!
hum zindagi kau apni musalmaaN nah ka sakay
mazboot apna hum kabhie emaaN nah kar sakay
mashAllah!!
qurbaani maangta raha islaam umr bhar
hum khwaahishaate nafs kau qurbaaN nah kar sakay
subHaanAllah! subHanAllah!! lajawab hai!!
tauba ki raah sabko dikhaatay rahay magar
apnay gunah peh khud ko pashemaaN nah kar sakay
mashAllah mashAllah!! lajawab hai!!
raateN guzaareeN humnay kayee baar jaag kar
un raatoN meiN ebaadate yazdaaN nah kar sakay
Kiyaa Kihne MashAllah!!
maayoosi kufr hai tau bhala kaisay hum kaheN
"hum zindagi meiN phir koyee armaaN nah kar sakay"
SubhanAllah!!
haamid bataao kisliye daure hayaat meiN
tum aakhirat ka koyee bhi saamaaN nah kar sakay
SubHanAllah!! bohot khubSurat maqt^a' hai!!
meree janib se dilee daad aor mubarak baad qubool farmaeeN.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
shukriya
Posted: Sat Aug 18, 2007 6:48 am
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:qurbaani maangta raha islaam umr bhar
hum khwaahishaate nafs kau qurbaaN nah kar sakay
waah waah. bohat khoob. bohat hi khoob.
biradaram mohammed khawar saahib
Assalaam o alaikum
bahut bahut shukriya aapki khoobsoorat daad ka
salaamat raheN
mukhlis
haamidbaaqari
shukriya
Posted: Tue Aug 21, 2007 8:10 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:mohtaram Biradaram Haamid Baaqri SaaHib aadaab!
muzaffar bhai saahib
Aap kaa nateejah-e-fikr-o-fan dekhne kee taofeeq milee.
zahay naseeb........jazakallah.
mashAllah Qudrat ne aap ko jahaaN deegar salaHiyatooN se sarfaraaz kar rakhkhaa hai. wahaaN she'er gaoee aor qalabee waardaat ko man-o-a'an SafaHah-e-qirt^aas par muntaqil karnaa kaa hunar bhee Wadiyat-e-eezadee kaa hee jaohar hai. jo kisee kisee SaaHib-e-Ciqah kaa t^urrah-e-imteyaaZ bantaa hai.
al hamdulillah
Zaor-e-kalam-o-sheereenee-e-Zubaan ne mil kar maHool ko SaaHiranah kar diyaa hai. jis meN ruHaanee aor abadee jazbooN aor lat^afatooN kee dheemee dheemee mehek arwaaH ko muatt^ir karne kee ehtemaan gar hai!!!
bhai saahib..............lafzoN ko khoobsoorat ladiyoN meiN pirona, use apne munfarid andaaz meiN pesh karna koyee aap se seekhe.
is munfarid fan kee daad dete haiN hum aapko.
hum zindagi kau apni musalmaaN nah ka sakay
mazboot apna hum kabhie emaaN nah kar sakay
mashAllah!!
shukriya.
qurbaani maangta raha islaam umr bhar
hum khwaahishaate nafs kau qurbaaN nah kar sakay
subHaanAllah! subHanAllah!! lajawab hai!!
bahut bahut shukriya...jaakallah jazakallah
tauba ki raah sabko dikhaatay rahay magar
apnay gunah peh khud ko pashemaaN nah kar sakay
mashAllah mashAllah!! lajawab hai!!
bahut bahut shukriya jazakallah jazakallah
raateN guzaareeN humnay kayee baar jaag kar
un raatoN meiN ebaadate yazdaaN nah kar sakay
Kiyaa Kihne MashAllah!!
shukriya...jazakallah
maayoosi kufr hai tau bhala kaisay hum kaheN
"hum zindagi meiN phir koyee armaaN nah kar sakay"
SubhanAllah!!
shukriya...jazakallah
haamid bataao kisliye daure hayaat meiN
tum aakhirat ka koyee bhi saamaaN nah kar sakay
SubHanAllah!! bohot khubSurat maqt^a' hai!!
bahut bahut shukriya............jazakallah
meree janib se dilee daad aor mubarak baad qubool farmaeeN.
aapki dilee daad aur mubaarakbaad hamaaray liye bahut anmol hai.bahut bahut shukriya
khush raheeN
aap bhi khush raheN.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
AAP KA APNA
HAAMIDBAAQARI
AAP
Re: guzarish # 31
Posted: Tue Aug 21, 2007 8:16 am
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:..
MOHAMMED KHAWAR BHAI SAAHIB
ye image insaan ko jhinjhodne kay liye kaafi hai.
iski jaza to allah(sbhnwt) hi dega aapko.
hamaari us paak parwardigaar se dilee dua hai keh woh aap per apni rehmatoN ki baarish kare.aaameen [-o<
aapka bhai
haamidbaaqari
shukriya
Posted: Thu Aug 23, 2007 7:30 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:Hamid bhai
Assalaam o alaikum
azeezah saara saahebah
aapki ghazal se bohat mutassir hui
hameN badee khushee huee.
aur
souch rahi thi ke main bhi aapki tarah likhne ki koshish karun
ezzat afzaayee ka bahut bahut shukriya.
ke
Khawar ki post kerda image per nazar paRi aur hairaan rehgayi...
is meiN koyee shak nahiN hai.khaawar bhai kee post kardah image hi aisee hai keh koyee bhi baashaoor insaan hairaan ho jaaye.
.ghazal
per daad ke saath khawar sahib ke haazir zehni ko bhi daad deti hoon.
"hum zindagi kau apni musalmaaN nah ka sakay
mazboot apna hum kabhie emaaN nah kar sakay
qurbaani maangta raha islaam umr bhar
hum khwaahishaate nafs kau qurbaaN nah kar sakay
tauba ki raah sabko dikhaatay rahay magar
apnay gunah peh khud ko pashemaaN nah kar sakay
raateN guzaareeN humnay kayee baar jaag kar
un raatoN meiN ebaadate yazdaaN nah kar sakay
maayoosi kufr hai tau bhala kaisay hum kaheN
"hum zindagi meiN phir koyee armaaN nah kar sakay"
haamid bataao kisliye daure hayaat meiN
tum aakhirat ka koyee bhi saamaaN nah kar sakay "
bohat bohat khoob!
sara
bahut bahut shukriya aapki purkhuloos daad ka.
jazakallah
aapka bhai
haamidbaaqari