Page 1 of 1
PHOOL, KHUSHBOO, CHAAND, JUGNE AUR........
Posted: Wed Aug 15, 2007 7:28 am
by munir-armaan-nasimi
DOSTO AUR SAATHIYO,
KYA BAAT HAI.... AAP LOGON KI TARAF SE MERE PEECHLE GHAZAL PE KOYI 'RESPONSE' ACHCHA YA BURA..... NAHIN MILA... AB MAIN KYA JAANON KE GHAZAL KAISI HAI???
BAHAR-HAAL, EK AUR GHAZAL LE KAR AAP KI KHIDMAT MAIN HAAZIR HOON. UMMEED HAI KE ABKI BAAR AAP LOG APNI GIRAAN-QADR AARA SE JAROOR NAWAZEINGE.
AAP KA APNA,
MUNIR ARMAAN NASIMI
Posted: Wed Aug 15, 2007 8:47 am
by muhammad_19k
Muneer bhai
aap jab shikwaa karte heN to bohat payaaray lagte heN. issi se to pataa chaltaa hai ke aap hameN apnaa samajhte heN. shayed dost eHbaab issi leeaye aap ko shikwaa karne ka moqaa daite heN.
aap ki ye ghazal pehly bhi kaheeN daikh chukaa hooN. bohat shaandaar hai. siwaa-aye sher no. 4 ke. is meN koi shak naheeN ke is meN Haqeeqat bhi hai .aor aap tanziayaa andaaz khoobsoorat bhi. laikin sochtaa hooN ke kyaa modern ghazal itni hi modern ho gayee hai?
aor sher no. 2 meN kuch typo lag rahaa hai woh bhi daikh leejiaye.
regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Posted: Wed Aug 15, 2007 6:45 pm
by munir-armaan-nasimi
Bhai Muhammad Khawar Saaheb,
Yaqeen karein.... jab bhi ghazal post karta hoon to dil-main-ek-armaan kasmasati hai ke... sab se pahla 'response' aap se hi milega aur uske baad Ustaad-e-mohtaram se.... magar... pahle wali ghazal.... "Jhatak Diya" ko padh kar aap sab logon ne mujhe "jhatak nahin diya" balke "Patak Diya". Main ne wohh Ghazal bahut pyar se likhi thi magar.......... kabhi kabhi jawaan aur behad khubsoorat beti ko bhi rishta nahin milta aur............
Bahar-haal, Sher No.4 pe.... aap mera yaqeen karein.... mujhe Mohtaram Rahat Indori Saaheb aur Ibrahim Ashk saaheb se kaafi Daad mili hai jab main ne All India Mushaira main isko padha tha... Rahat Saaheb ne kaha... muneer saaheb Saatwein nahin Paanchwein boliye... aaj-kal bachche jaldi jawaan ho rahe hain.
Sher No. 2 main kya kami hai ye to aap ne nahin bataya.... typing mistake nahin hai... aap batayein meherbaani hogi.
Aap ke hausla afzaayi hi meri ghazlon ko nikharte hain. Ye tonic bandd na kar dena.
Aap ka bhai,
Munir Armaan
Posted: Thu Aug 16, 2007 12:21 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Arman Naseemi SaaHib aadaab!
Bohot khubSurat Ghazal kahee hai. Kiyaa kehne mujhe aap kaa andaaz-e-bayaaN bohot achchaa lagaa. Ghazal kaa #4 she'er achchaa hai. maiN bhee yahee kahooN gaa keh agar ise saataweeN ke bajaee "panchaweeN" kar deeN to Zeyadah qareen-e-Haqeeqat ho jae gaa. deegar asha'aar bhee kaamaal ke haiN.
meree janib se is khubSurat khoshish par daad aor mubarak baad qubool keejiye!!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Thu Aug 16, 2007 5:06 am
by muhammad_19k
Ji Muneer bhai
sher Nol 2.
aap ne chaahaa umeedoN kinaaray aa gay. kuch samajh naheeN aayaa. ye daikh leN aap ne chaaha kabhi to ham kindaaray aa-gay mujhe yaqeen naheeN hai ke mairaa miSra kuch aisaa achhchaa hai. laikin aap ke waalay miSra ki mujhe samajh naheeN aa rahii.
sher no. 4.
saataveeN meN un ko bhi se kyaa muraad hai. bhi par ghor kiji-aye. aisaa lagtaa hai ke kuch aor log jo baaligh ishaaroN ka jaanteN heN un ka zikr bhi aa gayaa ho.jis ki koi zaroorat naheeN. mujhe is maqam par hi, bhi se zydaa mazboot lag rahaa hai. aap aisaa bhi soch sakte heN.
saataveeN meN hi inheN baaligh ishaaray aa ga-aye
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
AAP SAHI KEH RAHE HAIN....
Posted: Fri Aug 17, 2007 5:10 pm
by munir-armaan-nasimi
muhammad_19k wrote: Ji Muneer bhai
sher Nol 2.
aap ne chaahaa umeedoN kinaaray aa gay. kuch samajh naheeN aayaa. ye daikh leN aap ne chaaha kabhi to ham kindaaray aa-gay mujhe yaqeen naheeN hai ke mairaa miSra kuch aisaa achhchaa hai. laikin aap ke waalay miSra ki mujhe samajh naheeN aa rahii.
sher no. 4.
saataveeN meN un ko bhi se kyaa muraad hai. bhi par ghor kiji-aye. aisaa lagtaa hai ke kuch aor log jo baaligh ishaaroN ka jaanteN heN un ka zikr bhi aa gayaa ho.jis ki koi zaroorat naheeN. mujhe is maqam par hi, bhi se zydaa mazboot lag rahaa hai. aap aisaa bhi soch sakte heN.
saataveeN meN hi inheN baaligh ishaaray aa ga-aye
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Bhai Muhammad Khawar Saaheb,
Aap bilkul sahi keh rahe hain
saataveeN meN hi inheN baaligh ishaaray aa ga-aye yahi hona chahiye tha par na jaane kaise mujhe se ye bhool ho gayi.... anyway, aap hai na... meri bhool ko sudhaarne ke liye. Behad shukriya.... !!
aap ka apna
Armaan
Posted: Sat Aug 18, 2007 11:10 am
by Sohail Malik
Munir bhai salam!
aap ki yeh ghazal aur is ka qudreti aaheng yeni taSenu say heT ker zindegi ki haqeeqetoN ka bayan aur aik khubsuret andaaz say mujhay acha laga
daad qabul kijiay
saatweeN panchweeN ka kia kehna, maiN to kehuN keh ager teesri bhi ker daiN to kuch khaaS mubaligha nah ho ga
ab dekhiay koi saathi pehli kay haq maiN haath uThata hay ya nahiN.
khush rehihay
sohail malik
Posted: Sat Aug 18, 2007 4:46 pm
by munir-armaan-nasimi
Sohail Malik wrote:Munir bhai salam!
aap ki yeh ghazal aur is ka qudreti aaheng yeni taSenu say heT ker zindegi ki haqeeqetoN ka bayan aur aik khubsuret andaaz say mujhay acha laga
daad qabul kijiay
saatweeN panchweeN ka kia kehna, maiN to kehuN keh ager teesri bhi ker daiN to kuch khaaS mubaligha nah ho ga
ab dekhiay koi saathi pehli kay haq maiN haath uThata hay ya nahiN.
khush rehihay
sohail malik
SOHAIL BHAI... AAP KI DUAYEIN HI MUJHE CHAAHIYE... SHUKRIYA KE AAP KO MERA GHAZAL KEHNE KA ANDAAZ PASAND HAI WARNA..... KUCHH DOSTON KO MERI GHAZAL "RUKHI PHEEKI" SI LAGTI HAI KYON KI MAIN 'ROMANTIC' SHER BAHUT KAM LIKHTA HOON. PATA NAHIN KYON... SHAYAD YE MERE "PROFESSION" KA ASAR HAI..... MAIN EK SOCIAL DEVELOPMENT ORGANISATION SE ASSOCIATE HOON.... THAT'S WHY.... MERE ASHAAR MAIN 'SOCIAL ISSUES/ PROBLEMS" ZABARDASTI GHUSS AATE HAIN..... MAIN KYA KAROON??????
Dekhte hain.... Pahle Saathween, phir paanchween ab aap ne Teesri kaha hai... khuda na kare ke koi dost pahli hi keh dein........
Duaon main yaad rakhkhein.
aap ka bhai,
Muneer Armaan