Page 1 of 1

Ghazal - aa hi jaey seher khemoshi say

Posted: Wed Aug 15, 2007 4:43 pm
by Sohail Malik
azeezan e bazm aik ghazal pesh e khidmet hay

apni raey say nawaziay

wassalam sohail malik

آ ہی جائے سحر خموشی سے
ڈھونڈ لے میرا در خموشی سے

کیجیئے ہم پہ کچھ کرم اپنا
کہہ رہی ہے نظر خموشی سے

چند لمحے جو پاس بیٹھے تھے
کر گئے ہیں اثر خموشی سے

رات کی سن رہا ہوں سرگوشی
دیکھتا ہوں قمر خموشی سے

بات ہولے سے چل نکلتی ہے
پھیلتی ہے خبر خموشی سے

دیکھ طوفان سب پرندے ہی
بند کرتے ہیں پر خموشی سے

منتظر ہیں مکیں مکاں دونوں
دل میں جائیں اتر خموشی سے

شور ہم کو عذاب لگتا ہے
زندگی ہو بسر خموشی سے

کچھ تو کہیئے کہ ہم پشیماں ہیں
آنکھ کیجے نہ تر خموشی سے

رہزنوں کو خبر نہیں دینی
کاٹنا ہے سفر خموشی سے

بند پائیں کہیں نہ دروازہ
لوٹیئے اپنے گھر خموشی سے

Posted: Thu Aug 16, 2007 12:06 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtram Biradaram Sohail Malik SaaHib aadaab!

Aap kee Ghazal dekhne kee taofeeq milee. choTee beHer meN yeh aek khubSurat koshish hai. sabhee she'er khubSurat haiN. aor dil meN utarte jate haiN. aap kaa makhSooS rang-e-Ghazal Saaf jhalak rahaa hai. meree dua'aa hai keh Allah aap ke kalam meN mazeed nikhaar at^aa farma de.

is dilawaez koshish par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: Ghazal - aa hi jaey seher khemoshi say

Posted: Sat Aug 18, 2007 7:38 am
by munir-armaan-nasimi
Sohail Malik wrote:azeezan e bazm aik ghazal pesh e khidmet hay

apni raey say nawaziay

wassalam sohail malik

آ ہی جائے سحر خموشی سے
ڈھونڈ لے میرا در خموشی سے

کیجیئے ہم پہ کچھ کرم اپنا
کہہ رہی ہے نظر خموشی سے

چند لمحے جو پاس بیٹھے تھے
کر گئے ہیں اثر خموشی سے

رات کی سن رہا ہوں سرگوشی
دیکھتا ہوں قمر خموشی سے

بات ہولے سے چل نکلتی ہے
پھیلتی ہے خبر خموشی سے

دیکھ طوفان سب پرندے ہی
بند کرتے ہیں پر خموشی سے

منتظر ہیں مکیں مکاں دونوں
دل میں جائیں اتر خموشی سے

شور ہم کو عذاب لگتا ہے
زندگی ہو بسر خموشی سے

کچھ تو کہیئے کہ ہم پشیماں ہیں
آنکھ کیجے نہ تر خموشی سے

رہزنوں کو خبر نہیں دینی
کاٹنا ہے سفر خموشی سے

بند پائیں کہیں نہ دروازہ
لوٹیئے اپنے گھر خموشی سے

SOHAIL BHAI....

AAP KI GHAZAL KAR GAI ACAR KHAMOSHI SE
MAIN NE SOCHA THA KE NIKAL JAAONGA KHAMOSHI SE MAGAR........ ITNI SHAANDAR GHAZAL PADHNE KE BAAD DAAD NA DENA...... ADABI BAD-DIYANATI HO JAAYEGI...... YAQEENAN MUJHE AAP KI GHAZAL BE-HAD PASAND AAYI HAI AUR MAIN INSHA'ALLAH KHIRAAJ-E-AQEEDAT KE TAUR PE... ISI ZAMEEN PE KUCH SHER JAROOR KAHOONGA MAGAR... KHAMOSHI SE.

بند کرتے ہیں پر خموشی سے

sirf yahi ek sher kuch un-real lag raha hai.. kyon ke toofan ke aane ka aahat paa lete hain to parinde.... par padhphadana... cheekhna shuru kar dete hain... jo main ne dekha hai.... (uske baad jab toofan, baarish wagerah aa jaate hain to parinde khud ko apne par main samet lete hain)..... AAP KA KYA KHAYAAL HAI BHAI JAAN???

Aap ka apna,

Munir Armaan

Posted: Sat Aug 18, 2007 10:11 am
by muhammad_19k
Sohail bhai

Teen baar, mukhtalif log ins meN , ghazal paRh chukaa hooN. [;)]. ab is se zydaa kyaa kahooN. aor aik chopal par is par honay walaa tanqeedi tabSiraa bhi. daad qubool kijiaye.

Regards,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Sat Aug 18, 2007 10:32 am
by sbashwar
Mohtaram Sohail Sahib
:salaam:
Aapki ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai. Bohat hi umda ghazal kahi aapne.
Meri dili daad aur mubarakbaad qubool farmaye.
Shukria

Re: Ghazal - aa hi jaey seher khemoshi say

Posted: Sat Aug 18, 2007 10:47 am
by Sohail Malik
munir-armaan-nasimi wrote:
SOHAIL BHAI....

AAP KI GHAZAL KAR GAI ACAR KHAMOSHI SE
MAIN NE SOCHA THA KE NIKAL JAAONGA KHAMOSHI SE MAGAR........ ITNI SHAANDAR GHAZAL PADHNE KE BAAD DAAD NA DENA...... ADABI BAD-DIYANATI HO JAAYEGI...... YAQEENAN MUJHE AAP KI GHAZAL BE-HAD PASAND AAYI HAI AUR MAIN INSHA'ALLAH KHIRAAJ-E-AQEEDAT KE TAUR PE... ISI ZAMEEN PE KUCH SHER JAROOR KAHOONGA MAGAR... KHAMOSHI SE.

بند کرتے ہیں پر خموشی سے

sirf yahi ek sher kuch un-real lag raha hai.. kyon ke toofan ke aane ka aahat paa lete hain to parinde.... par padhphadana... cheekhna shuru kar dete hain... jo main ne dekha hai.... (uske baad jab toofan, baarish wagerah aa jaate hain to parinde khud ko apne par main samet lete hain)..... AAP KA KYA KHAYAAL HAI BHAI JAAN???

Aap ka apna,

Munir Armaan
Munir bhai is dil khol pazerai ka bohat shukria

reh gai baat zer e behC sher ki to aap ka kehna aik zaviay say to baja hay laikin baat ko dusray andaaz say bhi sochiay

parinday uRnay kay iraday say per phailaey baiThay haiN aur aisay maiN un ko toofan ki amed kay aaCar dikhai daitay haiN

aisay maiN woh perwaaz ka iraada terk ker daitay haiN (khemoshi say per band kernay say yehi muraad hay)

aur derhaqeeqat yeh isteaara hay us suret e haal kay liay jab insaan mushkil haalaat dekh ker apnay iraaday terk ker daita hay.

duaoN maiN yaad rekhiay

wassalam

sohail malik

Posted: Sat Aug 18, 2007 10:51 am
by Sohail Malik
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtram Biradaram Sohail Malik SaaHib aadaab!

Aap kee Ghazal dekhne kee taofeeq milee. choTee beHer meN yeh aek khubSurat koshish hai. sabhee she'er khubSurat haiN. aor dil meN utarte jate haiN. aap kaa makhSooS rang-e-Ghazal Saaf jhalak rahaa hai. meree dua'aa hai keh Allah aap ke kalam meN mazeed nikhaar at^aa farma de.

is dilawaez koshish par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Muzaffar bhai kaisay haiN

aaj kal mulaaqat kam hi ho rehi hay, laikin koi baat nahiN dil to dur nahiN haiN

aap nay ghazal ko pasand ker kay meri izzet afzai aur himmet afzai ki jis kay liay maiN aap ka mamnun huN

zindegani kaisi ja rehi hay agercheh maSrufiaat say aaj shaed hi kissi ko mefer ho

duaoN maiN yaad rekhiay

wassalam

sohail malik

Posted: Sat Aug 18, 2007 10:54 am
by Sohail Malik
muhammad_19k wrote: Sohail bhai

Teen baar, mukhtalif log ins meN , ghazal paRh chukaa hooN. [;)]. ab is se zydaa kyaa kahooN. aor aik chopal par is par honay walaa tanqeedi tabSiraa bhi. daad qubool kijiaye.

Regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Khawer bhai kaisay haiN

teen baar yehi ghazal peRh ker bore nahiN huay kia :wink:

pasandeedgi ka shukria

wassalam

sohail malik

Posted: Sat Aug 18, 2007 10:58 am
by Sohail Malik
sbashwar wrote:Mohtaram Sohail Sahib
:salaam:
Aapki ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai. Bohat hi umda ghazal kahi aapne.
Meri dili daad aur mubarakbaad qubool farmaye.
Shukria

Mohtaram sbashwar Sahib aadab!

kaisay haiN aap umeed hay haal achay hoN gay

aap nay ghazal pasand ki, aap ka beyhed mamnun huN


khush rehihay

faqet sohail malik