Chand Tasweer-e-ButaaN, Chand HaseenoN ke Khut^oot^: qist #2
Posted: Thu Aug 16, 2007 1:35 pm
[align=center]Chand Tasweer-e-ButaaN, Chand HaseenoN ke Khut^oot^: qist #2
yaaraan-e-Bandhan: aadaab-o-tasleemaat!
is silsileh kee qist^ #2 pesh-e-Khidmat hai. yeh meree nau-jawaanee kee un teen GhazloN meN se ek hai jin par waalid-e-marHoom HaZ^rat-e-"Raz" Chandpuri ne daad dee thee. mazeed tafSeel ke liYe behtar ho gaa keh aap is maZ^moon kee qist^ #1 dekh leN. yeh daad mere dil-o-Zehn meN aaj bhee taaZah hai aur taa-dam-e-zeest taaZah hee rahe gee! is Ghazal par 12 July, 1957 taareeKh likhee huyee hai.
aap kee raaYe aur Khayaalaat kaa intiz^aar rahe gaa. jin ash,a'ar par waalid-e-muHtaram ne iSlaaH dee thee un ko surKh raNg se likh diyaa hai yaa un ke neeche note darh jar diyaa hai.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==========================
GHAZAL
uThe ham Khastah-dil, aashuftah-sar, be-iKhtiyaar uTThe
bahaar aayee, qadam phir dasht ko deewaanah-waar uTThe!
kuchh ab ke mausam-e-gul meN naheeN woh baat pehlee see
nigaah-e-naaz se keh do, nah woh yooN sogawaar uTThe!
gunaah-e-aarzoo aisaa gunah to ho naheeN saktaa
phir aaKhir kyaa huwaa? kyoN bazm se ham dil-figaar uTThe?
idhar ham bazm se uTThe, udhar baiThaa dil-e-meHzooN
nah uThnaa thaa, nah uTThe ham, agar-cheh baar baar uTThe!
baRee pur-lut^f meHfil hai, chaleN to HaZ^rat-e-waa,iz^
paRheN ge sau namaazeN ham, agar woh ek baar uTThe!
kahaaN se himmat-e-Sad-intiz^aar-e-jaam-e-mai laaYeN?
Khudaa-raa saaqiyaa! maigooN naz^ar bas ek baar uTThe!
ta,a'juub se nigaah-e-lut^f kaa muNh tak rahaa hai dil
Khudaa-naa-Khwaastah aisaa kisee kaa e'tibaar uTThe!
chaman tak kyoN chaleN? Zauq-e-naz^ar meN zor gar kuchh hai
dil-e-deewaanah se hee jhoom kar faSl-e-bahaar uTThe!
(is she'r ko waalid-e-marHoom ne kaaT diyaa thaa)
nigaah-e-sharmsaar-e-Husn-o-ra'naayee se poochheN ge
qadam kyoN soo-e-SeHraa is t^araH begaanah-waar uTThe?
yahaaN dast-e-t^alab, z^arf-e-junooN se bhee siwaa-tar hai
ta,a'juub kyaa agar dunyaa se dil be-e'tibaar uTThe?
(is she'r ko bhee waalid-e-marHoom ne kaaT diyaa thaa)
abhee Zauq-e-junooN meN tishnagee meHsoos kartaa hooN
usee andaaz se lillaah! chashm-e-maigusaar uTThe!
kahaaN tak ro,iYe "Sarwar" keh ab to waqt-e-aaKhir hai?
ajal ke haath kaise kaise raNgeeN baadah-Khwaar uTThe!
(kahaaN tak ro,iYe "Sarwar" keh ab to waqt-e-aaKhir hai?
bharee meHfil se kaise kaise raNgeeN baadah-Khwaar uTThe!
*********************[/align]