Page 1 of 1

MuKhtalif andaaz meN meri taza Ghazal

Posted: Sun Aug 19, 2007 11:37 am
by jawaid badauni
Dosto! aadab

Ek Ghazal zara se muKhtalif andaaz meN kahne ki koshish ki hai ummid hai aap pasand farmayeNge.

Aapka Mukhlis
Jawaid

unki nazar meN hum jaisoN ke Khuwaahish.o Hasrat wasrat kya
ishq meN sub sahna paRta hai shikwa.e furqt wurqat kya

Azm agar mohkum hai tumhaara phir kis cheez ka khauf tumheN
tadbeereN hi kaam aati haiN SaaHab qismat wismat kya

aap bulayeN aur nah aayeN hum yeh tou naamumkin hai
sir ke bal aa jayeNge chalke ishq men furSat wurSat kya

meri wafaon ko sikkoN men tolne wale ai naadaan
ishq tou ik anmol see shai hai ishq ki qeemat weemat kya

subse baRee jaageer hai Khoobi sub se baRa sarmaya hunar
chaandi sona cheez hi kya hai aur yeh daulat waulat kya

roz.e azal se Husn hamesha mahv.e sitam hi rahta hai
jaur tou hai mehboob ka shewah jaur pe Hairat wairat kya

log mujhe apna kahte haiN ispe mujhe :Jawaid: hai naaz
warna yeh tou ik Aarze shai hai naam ki shohrat wohrat kya

Posted: Sun Aug 19, 2007 2:03 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
MoHtaram Biradaram Jawaid badauni SaaHib aadaab!

Har daor meN Ghazal aor nazm donooN hee nae'e tajrubaat aor ijtihaadaat ke marHalah se GuzreeN. Hattah keh taa eeN dam nazm aor Ghazal kee yeh murwwijah shakl apne a'Sree taqaZ^ooN aor rooz bah rooz runumaa hone walee juGhrafiyaaee siyaasee aor samaajee taGhaiuor se do chaar hai. aor aae'indah bhee yeh baat baRee wuCooq se kahee jaa saktee hai. keh nazm-o-Ghazal kee yeh shakl bhee Hatmee naheeN balkeh waqt ke bahao meN behtee hoee adabee takhleeqaat apnee haiyat aor t^arz-e-bayaan meN qaabil-e-Haerat tabdeelee laeeN geeN. yeh baat sab jaante haiN keh har daor ke apnee taqaZ^e hote haiN. aor nae tajrube hee un taqaZ^ooN ko puraa kar sakte haiN.

Aap kee yeh Ghazal bhee naeY lab-o-lehjah kee numaae'indah Ghazal hai. yeh baat yaqeen se kahee jaa saktee hai keh aesee koshisheeN hamare a'Sree adab ke taqaZ^ooN ko puraa karne kee SalaHiyat rakhteeN haiN. aor yaqeena" hamare jadeed sarmayah-e-adab meN GiraaN gard aZ^aafah kaa maojab baneeN geeN.

unki nazar meN hum jaisoN ke Khuwaahish.o Hasrat wasrat kya
ishq meN sub sahna paRta hai shikwa.e furqt wurqat kya

Azm agar mohkum hai tumhaara phir kis cheez ka khauf tumheN
tadbeereN hi kaam aati haiN SaaHab qismat wismat kya

aap bulayeN aur nah aayeN hum yeh tou naamumkin hai
sir ke bal aa jayeNge chalke ishq men furSat wurSat kya

meri wafaon ko sikkoN men tolne wale ai naadaan
ishq tou ik anmol see shai hai ishq ki qeemat weemat kya

subse baRee jaageer hai Khoobi sub se baRa sarmaya hunar
chaandi sona cheez hi kya hai aur yeh daulat waulat kya

roz.e azal se Husn hamesha mahv.e sitam hi rahta hai
jaur tou hai mehboob ka shewah jaur pe Hairta wairat kya

log mujhe apna kahte haiN ispe mujhe :Jawaid: hai naaz
warna yeh tou ik Aarze shai hai naam ki shohrat wohrat kya

meree janib se is khubSurat Ghazal par delee daad aor mubarak baad qubool keejiye!!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Sun Aug 19, 2007 5:22 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:MoHtaram Biradaram Jawaid badauni SaaHib aadaab!

Azeezi Muzaffar SaaHab,
aadaab

Aap ka behud mamnoon hooN keh aap ne apni purKhulooS daad se nawazah. Main ne is andaz ka ek qaseedah kahin suina tha tou soch kyuun nah isee Tarz pe ek Ghazal kahee jaaye. Meri koshish aap ko achchee lagee yeh meri liye masarrat ki baat hai.

Ek baar phir shukriya.

Aap ka MuKhliS
Jawaid

Posted: Mon Aug 20, 2007 6:34 am
by muhammad_19k
waah ji waah bohat khoob.