Page 1 of 1

Ye aankhain hum kissi ko kaya bataain aaj purnum hain

Posted: Thu Aug 23, 2007 1:24 pm
by faypal
Image

Posted: Thu Aug 23, 2007 6:57 pm
by muhammad_19k
Salam Afzal SaHeb,

meN apni tamam bazm ki jaanib se aap yahaaN par khushAamdeed kehtaa hooN. kahiaye kaise mizaaj heN?

bohat mushkil zameen chuni hai bhayee aap ne. maire to paRh kar hi paseene chhoT gay heN :). bhai aisi zameen nibhaane par mairi Taraf se to dhairoN daad qubool kijiaye. agar ashaar ko fardan fardan daikhaa jaa-aye to.

1. matlaa ka mafhoom kuch khaaS Saaf naheeN nikal rahaa.
2. zabardast!
3. waah waah. bohat khoob.
4. hmmm. iss par kuch mazeed ghor karnaa paRay gaa ke donon miSroN ka kyaa rabT hai.
5. ohhh ohhh. sach kehtaa hooN jo mujhe is sher se nazar aayaa hai us ke b'aad to Sirf cheekh nikalti hai.
6. ye bhi sher ooper walay sher ki hi aik kaRi hai.
7. bohat khoob.

Afzal SaHeb, mujhe to aap ki ghazal bohat shaandaar lagi. umeed kartaa hooN ke aap apni shaairy share karte rahay geN.

dua go,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Fri Aug 24, 2007 5:53 pm
by faypal
muhammad_19k wrote:Salam Afzal SaHeb,

Esteemed brother.........I am really thankful to you and to all the members along with you for this cordial welcome.May God aggrandize you all with His special pleasures and treasures.......your comments are an asset to me and I shall be ever proud of following them .

Posted: Fri Aug 24, 2007 8:07 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram AfZ^al SaaHib aadaab!

Awwal-ul-Zikr aap kee meHfil meN aamad par tamaam shurka'-e-meHfil kee jaanib se dilee khush aamdeed.

BeHer-e-hiZaj mucammin saalim meN kahee gaee aap kee yeh Ghazal dekhee. aor lut^f aayaa. asha'aar meN be saakhtah pan aor barjastagee qaabil-e-daad hai. nae maZ^ameen aor mushkil radeef meN aek kaamyaab koshish par meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

mujhe baRee khushee ho gee keh agar aap isee t^arH meHfil meN tashreef laate raheeN. aor hamaree himmat baRhaeeN. aap kee tashreef aawaree haoSlah afzaa hai.

ijazut deejiye!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Thu Sep 06, 2007 12:37 pm
by faypal
Mohtram sadiqui sahib..........1 .aankain istrah purnum hain keh kissi ko batane ki zaroorut hi nahin hai aur jis ki wajah se ye aankhain yun purnum hain usse bhi batane ki zaroorut nahin hai balke dard ki ye halat wo aankhain daikh ker khud hi jaan jaay ga.

4.Mehboob ke aangun main jo rehmut ka badal barsa hai wo mayri purnum duaoun ka nateeja hai yehni duaain ro ro ker mangi gai hain.