Page 1 of 1
Muzaffar Ahmed Muzaffar apna kalaam paish kartay haien
Posted: Thu Aug 23, 2007 8:16 pm
by Rehana.A
Re: Muzaffar Ahmed Muzaffar apna kalaam paish kartay haien
Posted: Thu Nov 06, 2008 6:33 am
by sonu
janab muzaffar sahab
ap ka kalaam waqai be inteha mutaasir kar de ne waala hai ke ke shair par meir tarf se mubaark baad khubool karen sonu
Re: Muzaffar Ahmed Muzaffar apna kalaam paish kartay haien
Posted: Sat Nov 08, 2008 12:41 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sonu wrote:janab muzaffar sahab
ap ka kalaam waqai be inteha mutaasir kar de ne waala hai ke ke shair par meir tarf se mubaark baad khubool karen sonu
moHtaram Sonu SaaHib aadaab!
himmat afzaaee aor kalam ko pasand farmane ke liye mamnoon hooN. Allah aap ko kheriyat se rakhe.
Wssalam
Muzaffar A Muzaffar
Re: Muzaffar Ahmed Muzaffar apna kalaam paish kartay haien
Posted: Sat Nov 08, 2008 5:14 am
by aabarqi
Ho gaya dil khush mera sunkar Muzaffar ka kalam
Maujzan tha har ghazal mein badah e ishrat ka jaam
Thi ghazal "aahistah aahitsah " nehaayat dilnasheen
Tha neshaat o sarkhushi ka sar basar jismein payam
Daad ki takraar se purshoor thi bazm e sukhan
Mahfil e sher o sukhan ki thi neshat angez shaam
Hai dua Ahmad Ali BARQI meri unke liye
Honge manzoor e nazar unke nuqoosh e badawaam
Ahmad Ali Barqi Azmi
[/color]