Page 1 of 1

~mujhay miim miim muGhal kehty haiN~~

Posted: Fri Aug 24, 2007 12:52 pm
by miim_miim_mughal
[align=center]Image
Image
Image
[/align]

Posted: Sat Aug 25, 2007 8:03 am
by sbashwar
Mohtaram Mughal Saheb,
:salaam:
Aapki aamad urdubandhan par hamare liye ba’as mas’sarat hai. Yeh aapki apni mehfil hai. Aapki tehrirein, tabsaroun ka intezar rahega.
Dili khushamdeed.
Shukria
Salem Bashwar

Posted: Sun Aug 26, 2007 12:16 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram janab MuHammad MeHmood MuGhal SaaHib aadaab-o-tasleemaat! :rose

Ummeed hai bakheriyat hooN ge. Aap kaa tafSeelee ta'aruf adabee wabastagee aor qalamee khidmaat bila shubah qaabil-e-ta'reef haiN. aap aese naojawaanooN kee garam joshee aor buland himmatee dekh kar HaoSlah jawaaN ho jataa hai. keh mustaqbil meN Gesu-e-urdu ko sunwaarne wale maojood raheeN ge. aor Gulshan-e-urdu kee aabyaaree kaa saamaan muhaiyaa rahe gaa. aor Z^arurat paRne par yaqeena" hamare naojawaan khun-e-rag-e-jaaN se hee kiyooN nah ho is Chaman-e-urdu ko seeraab karte raheeN ge.

Aap ke asha'aar aap kee pur khulooS shakhSiyat aor irade kee pukhtagee ka yaqeen dilaa rahe haiN. khud par ee'temaad-o-yaqeen Haq ta'aala par kaamil bharosah kaamyabee kee kaleed hotaa hai. mujhe khushee hai keh aap ke paas yeh sabhee rakht-e-safar majood hai. yahee raoshan kheyaalee, teHqeeq-o-tajassus, muHabbat-o-inSaaf kaa jahaaN afrooz shu'alah agar aap ke dil meN raoshan rahaa to baRee wucooq se yeh baat kahee jaa saktee hai keh aap kee kamyaabee kee manzil door naheeN.

Aap ne chand sut^oor khaadim-e-naalai'q ke Haq meN bhee raqam keeN haiN. Haqeeqat yeh hai keh bandah is ta'reef-o-taoSee kaa harGiz mustaHiq naheeN. balkeh moHtaaj-e-dua'aa hai. baa eeN hamah aap kaa mamnoon hooN. Allah aap ko khush rakhe.

ham sab buniyaadee t^aor par usee qafilah ke fard taSawwur kiye jate haiN. jis kaa CharaaGh Hassaan bin Caabet (RATA) ne raoshan kiyaa thaa. aor jis se taraqqee pasan aor Haq parastanah fikr kee kirneeN phooTeeN theeN.

Deedaar-e-seHer baat muqaddar kee hai lekin
ham teeragee-e-shab ko to kam karte raheeN geY!

Aaeiye ehed kareeN keh ham is ChaaraGh ko Gul nah honeeN deeN ge. aor urdu Zubaan se apnaa ta'aluq qaai'm rakheeN ge. aap kaa tamheedee khat^ Sirf aek maktoob hee naheeN balkeh z^ulmat-e-shab meN ummeed kee aek shua'aa'-e-ummeed hai. jo a'aalam-e-urdu ko munawwar karne kaa a'zm liye howe hai. mujhe aap kaa khaer maqdam karte huwe dilee musarrat kaa eHsaas ho rahaa hai.

Zeyaadah hadd-e-adab!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: ~mujhay miim miim muGhal kehty haiN~~

Posted: Sat Mar 08, 2008 1:52 pm
by m.naeem.sameer
miim_miim_mughal wrote:[align=center]Image
Image
Image
[/align]

pyaaray bhaaii Mughal


aapkii aamad bila shubaa mere aur ehbaab kay liye baaiC e musarrat hai


SAMEER

Posted: Wed Mar 12, 2008 7:38 am
by miim_miim_mughal
MuHibbiin-e-anjuman

aadaab -o- slaam-e- masnoon

maiN aapnay aap ko Khush qismat taSavur kartaa hooN ke' aap aysay adab dostoN nay
mujh naachiiz ko itnii garm joshii say Khush aamdiid kahaa.....

insha allah gaa'hay gaa'hay aap sabhii aHbaab say sharaf-e-klaam HaaSil rhay gaa.

niyaaz mand
miim miim mughal