Kahin aisa bhi ho jaay k wo mehman ho jaay
Posted: Fri Aug 24, 2007 1:58 pm
Esteemed brother............aap ki tamaam suggestions na sirf pasand aayin balke main in per fakhar mehsoos kerta houn.Aap ka aik aik lafz mayre leay upni poetry se kahin zayaza hasin laga hai.Main pehli hi fursat mein ye changes jo k aap ne farmaai hain ker loun ga..........Aap se guzarish hai k aap mayre her lafz ko tunqeedi nazer se daikhain taake koi pehloo bhi tishngi ka shikar na reh sake........mujhe na sirf khushi ho go balke aapki suggestions mayre leay aik roshni ka minar houn gi.Aik do din main farigh ho ker aap se baqaida mustafeez hota rahoun ga..........Aap ko green signal mil chukka hai........jub jub rehnamai farmain ge duaain daita rahoun ga.Thanks.muhammad_19k wrote:Salam Afzal SaHeb,
leejiaye janab aap ki doosri ghazal paRhne ki s'aadat bhi HaSil ho gayee. aor ye khyaal dil par cabt hogyaa hai ke aap bohat achche shaair heN.
1. maTla' bohat khoob aor m'aini aafreeN ahi. daad! kaheeN ko kabhi kar ke bhi daikh leejiaye.
2. khyaal achchaa hai laikin pehlay miSra meN alfaaz ki tarteeb yaqeenun behtari chaahti hai. faqat ye soch kar meN ne diyaa hai taiz jhooNke ko shayed nisbatan behtar ho.
3. waah. bohat khoob. kyaa ghazab ka sher hai. mairaa to dil kartaa hai issay aap ke naam ke saath maqTa honaa chaahiaye, jaise,
moHabbat karne se pehlay ye maaNgi thi dua! afzal
ussi ka jim ho jaa-aye ussi ki jaan ho jaa-aye.
4. waah waah.
5. ye sher kuch khaaS samajh naheeN aayaa. apni kam samjhi ke leeaye ma'zirat chahtaa hooN.
6. [/b]bohat khoob janab! bohat khoob[/b] laikin pehlaa miSra meN kuch alfaaz ka hair phair lag rahaa hai. aap ki sher paRhaa to maire zehn meN ye miSra aayaa. ye bilkul na samjhiaye ga ke meN aap ki miSra ko tabdeel kar rahaa hooN. balkee meN apni aamad bataa rahaa hooN :). paristish kab bhalaa muHtaaj hai masjid ya mandar ki.
7.maqTaa' bhi khuch khaaS samajh naheen ayaa. kyaa ghar ki weerani ki dua maaNgi jaa rahi hai? aor phir bijli girne se ghar veeran naheeN hotaa balke jaltaa hai. aap ka kyaa khyaal hai.
meN shaairy meN bilkul nayaa hooN. is leeaye dostoN se shairy par discuss kartaa hooN. agar aap ko mairaa ye andaaz buraa lagaa ho Saaf Saaf farmaa dijiaye gaa. meN moHTaaT ho jaaooN ga aor haaN agar aap ne aik baar green signal day diyaa to phir meN rukne waalaa naheeN ;).
Allah aap ko khush rakhay,
niazmand,
Muhammad K. Siddiqui.