Page 1 of 1

"tiree baargaa'h meiN aye khudaa"aik hamd peshay k

Posted: Fri Aug 24, 2007 2:57 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto :rose :rose :rose

aap ahbaab kee khidmat meiN hum "hamd" pesh kar rahay haiN

gar qubool uftad zahay.........

arz kiya hai.........

tiree baargaa'h meiN aye khuda, jyunhi sar ko maiN nay jhuka diyaa
usee waqt teri khudaayee nay, mujhe pastiyoN say uthaa diya

maiN zaleel tha maiN haqeer tha, tere dar ka aik faqeer tha
tu nay aik sajde kay badlay meiN, mujhay kya say kya hai banaa diyaa

ragay jaaN say bhi tu qareeb hai, tu hi likhta sabka naseeb hai
jisay chaaha pal meiN utha diya, jisay chaaha pal meiN giraa diyaa

nah samajh sakaa maiN yeh aaj tak, teri hikmatoN kau mire khudaa
"kabhie ik chiraagh jalaa diyaa, kabhie ik chiraagh bujhaa diyaa"

yeh duaa hai haamiday baaqari, milay uski fikr kau aagahi
keh qalam say usnay tere liye, ik silsilaa hai chalaa diyaa

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah

Re: "tiree baargaa'h meiN aye khudaa"aik hamd pesh

Posted: Thu Aug 30, 2007 3:18 pm
by haamidbaaqri
sara_j wrote:
haamidbaaqri wrote: tiree baargaa'h meiN aye khuda, jyunhi sar ko maiN nay jhuka diyaa
usee waqt teri khudaayee nay, mujhe pastiyoN say uthaa diya

maiN zaleel tha maiN haqeer tha, tere dar ka aik faqeer tha
tu nay aik sajde kay badlay meiN, mujhay kya say kya hai banaa diyaa

ragay jaaN say bhi tu qareeb hai, tu hi likhta sabka naseeb hai
jisay chaaha pal meiN utha diya, jisay chaaha pal meiN giraa diyaa___________daad!

nah samajh sakaa maiN yeh aaj tak, teri hikmatoN kau mire khudaa
"kabhie ik chiraagh jalaa diyaa, kabhie ik chiraagh bujhaa diyaa"

yeh duaa hai haamiday baaqari, milay uski fikr kau aagahi
keh qalam say usnay tere liye, ik silsilaa hai chalaa diyaa

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah
masha Allah hamid bhai bohat umda!
bahut bahut shukriya

sara behan.........

sada khush rahiye

haamidbaaqari

Posted: Fri Aug 31, 2007 7:31 am
by muhammad_19k
Salam Mohtaram Haamid Baaqri SaHeb

aik baar phir aik shaandaar ghazal par daad o mubaarakbaad qubool kijiaye. girah oar maqta' khuSusan bohat pasand aa-aye.

khosha cheeN
Muhammad K. Siddiqui.

shukriya

Posted: Fri Aug 31, 2007 2:44 pm
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote: Salam Mohtaram Haamid Baaqri SaHeb

:walikum:
bradaram mohammed khawar sahib

kaisay haiN aap?


aik baar phir aik shaandaar ghazal par daad o mubaarakbaad qubool kijiaye. girah oar maqta' khuSusan bohat pasand aa-aye.

bahut bahut shukriya aapki purkhuloos daad aur mubaarakbaad ka.

jazakallah khair


khosha cheeN
Muhammad K. Siddiqui.
aapka apna
haamidbaaqari