Page 1 of 1

yeh dhoop zindagani ki mana shadeed hai

Posted: Fri Aug 24, 2007 5:35 pm
by Noor-al-sabah
yeh dhoop zindagani ki mana shadeed hai

Posted: Mon Aug 27, 2007 6:16 am
by muhammad_19k
Noor!

dair ke leeaye ma'ziarat ke meh do aik din net par a sakaa. aap ka bohat shukrguzaar hooN ke aap ne is bazm ko apni is khoobSoorat ghazal se sajaayaa. apni is shafqat ke leeaye shukriyaa oar aisi khoobSoorat ghazal ke leeaye daad qubool kijiaye. agar aap ijaazat deN to ashaar par fardan fardan baat ho jaa-aye?

1. maTla' khoob hai. issay paRh kar bay ikhtiaar laboN par muskaraHat aa gayee. iss leeaye ke aap ke dono miSre mukthalif beHroN meN heN. meN bhi jab is beHr meN aik ghazal likh rahaa thaa to mairaa pehalaa miSra ussi beHr meN hotaa jaarahaa thaa jis meN aap ki pehlaa miSra hai. is se bhi mazay ki baat ye hai. sher do mukhtilif beHroN meN hone ke baajwaaod bhi bay wazn naheeN qaraar diyaa jaa saktaa. kyooN ke in donoN beHroN ka ajmaa' jaiz hai.

2. ye sher bhi pasand ayaa.
3. ye sher kuch samajh na aayaa.
4. bohat khoob
5. waah ji waah. bohat khoob.
6. achchaa khyaal hai. shayed doosre miSra meN behtari ki gunjaaish moojood hai. [/b]

majmoo' Tor par aap ki ghazal aik achchaa ta'accur chhoRti hai.

Regards,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Mon Sep 03, 2007 12:54 am
by rukhsar
noor al sabah jee
aadab
achchy ash,aar hain khas kar matlaa bhut pasand aayaa . wah wah waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
bhut khoob bhut khoob
rukhsar

Posted: Thu Sep 27, 2007 3:49 pm
by munir-armaan-nasimi
Mohtarma Noor-Al-Sabah Saahiba,

WAH...WAH... Kya Kehne hain... Puri Ghazal ek Khubsoorat Haseena ki tarah.... Saji, Sanwri magar Saadgi barqarar rakhe hoye hai..... shikwa bhi hai.... shikayat bhi magar.... lehje main jo pyar chhupa hoa hai wohh sirf.... mehsoos ki jaa sakti hai.

Mujhe Matla aur Maqta dono kaafi pasand aaye !!

Shaandaar Ghazal ke liye Shaandaar Daad Qobool Kiziye !!

Armaan

Posted: Sun Sep 30, 2007 5:14 pm
by Shummu
wah bahut khoob...shayad pehli baar aapka koi kalaam nazar se guzra hai..daad pesh hai qubool farmaayein !

Re: yeh dhoop zindagani ki mana shadeed hai

Posted: Sat Oct 06, 2007 9:11 pm
by m.naeem.sameer
Noor-al-sabah wrote:yeh dhoop zindagani ki mana shadeed hai


Tu woh shajar hai, saaye ki jis se umeed hai


bohat khoob Noor SaaHib, miSra khoob hai.


Khaaksaar ki janib se bhi daad HaaZir hai. qabool kijye.


Taalib e duaa

M.Naeem SAMEER

Re: yeh dhoop zindagani ki mana shadeed hai

Posted: Sun Oct 07, 2007 1:23 pm
by tahira Masood
Noor-al-sabah wrote:yeh dhoop zindagani ki mana shadeed hai
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah

Misbah Jee

dil khush aur dimaagh ter-o-taazah ho gaya aaap kaa kalaaam paRh ker

dheroN daad haazir hai :rose :rose :rose
=D> =D> =D>