Page 1 of 1

Mana k main nishana-e-khauf-o-hirras houn

Posted: Sat Aug 25, 2007 9:33 am
by faypal
Image

Posted: Sun Aug 26, 2007 3:05 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Faypal SaaHib aadaab!

yeh baat dilchaspee aor khushee kaa baaei'c hai. keh hamare urdu maHafil meN SaaHibaan-e-fikr-o-fan qit^aar andar qit^aar tashreef laa rahe haiN. aor apne apne fan kee garmee se shua'lah-e-sukhan ko garma rahe haiN. aor himmat afzaa baat yeh bhee hai keh aek neyaa jazbah aor umang Saaf meHfoos kee jaa saktee hai. jo in naojawanooN ke kalam meN miltee hai. mujhe yeh baat baRee fakhr se kehna chahiye keh "Urdubandhan" un kaamyaab "sites" kee Saf-e-awwal meN shumaar ho rahee hai. jo urdu ke liye kisee bhee rang meN kaam kar rahee haiN. is kaa aek cuboot aap aese naojawaan qalam qarooN kee aamad aor sargarmee hai. Allah yeh silsilah barqaraar rakhe!

Aap kee Ghazal moHtaaj-e-taoSeef-o-sataai'sh naheeN...........har she'er jazbah kee shiddat aor umang kee Hiddat se az khud waarid huwaa hai.........kalam meN be saakhtah pan hai. jo aap ke fit^ree shaa'ier kone par daal hai. mat^a' se hee aap kee jaolaanee t^aba' aor sarfarooshee-e-mizaaj kaa takhmeenah lagayaa jaa saktaa hai......Zindagee meN baar baar Thookar khana aor har baar sambhal jaanaa himmat aazmaa marHalah hotaa hai......lekin yeh shikast-o-rekht-e-musalsal dilshikan aor jaaN Gusal bhee caabat hotee haiN.....aese alamnaak Haalaat meN ayyaam-e-Zeest basar karnaa A'ashiq ke rag-o-reshah meN aatish bhar dete haiN. aor yahee aatish aah-e-neem seHar bankar mareeZ^-e-i'shq ko khun ke AaaNsu rulatee hai. kalam meN khuN aashaam siyasee Halaat aor apnee teerah bakhtee kaa naoHah royaa geyaa hai.

Is koshish ke peeshe yaqeena" aap ka samaajee shao'oor aor daakhlee i'shqiyah waardaat kee tabah kaariyooN kee naa khatam honee walee roodaad shaamil hai. agarcheh aap ke haaN meHboob kee sarapaa nigaaree naheeN milee lekin mujhe ummeed hai. aap aglee koshishooN meN in Ghazalee taqaZ^ooN ko bhee khaat^ir nishaan rakheeN ge. aor Ghazal ke Qaalib meN taGhazzul kee miThaas bhee bhar deeN ge.

Zeyaadah Hadd-e-adab!

is kaamyaab koshish par meree dilee dad aor mubarak baad qubool keejiye!

aap kaa mukhliS
Muzaffar

Posted: Mon Aug 27, 2007 8:12 am
by muhammad_19k
Salam Afzal,


maufi chaahtaa hooN ke kuch jaldi meN hooN

1. bohat khoob.
2. ab aao maire paas to naadan aandheeyo ye miSra kuch jachaa naheeN aor doosra miSra bhi kuch khaaS wazeH naheeN.
3. pakoN ki god meN koi aaNsoo chupaa gyaa ye miSra kayee taraH se behtar chaahtaa hai. palkoN ki god kaise ho sakti hai. pakeN to ooper hoti heN aor good neechay ki Taraf oar alfaaz ki tarateeb ka bhi maslaa hai.
4. bohat khoob
5. is sher ki samajh naheeN aai ke kon keh rahaa hai oar kyooN keh rahaa hai [/b]
6. waah ji waah bohat khoob.

mujhe ahl e bait se 'aqeedat aap ki 'aqeedat bohat mutacir karti hai. Allah t'aala ham sab ko ye taufeeq day.

Regards,
Muhammad K. Siddiqui

Posted: Thu Sep 06, 2007 12:13 pm
by faypal
mohtaram sadiqui sahib...thanks for your esteemed comments

2.Aandhiyun se muraad mushkil halaat hain aur wo kante jo kabhi mari rah main haael the ub wo hi mayre mohafiz hain goya mayri manzil khud mayri hafazat ker rahi hai
3.palkain eyelid per ooper aur neeche bhi hoti hain laihaza palkoun ki gohd aik khoobsoorut kinaya hai
5.Naam se zahir hai keh jauj-e-ashqiya se Harazat-e-Abbas{A.S} mokhatib hain jo keh shehr main bilkul wazeh hai

God bless you