Page 1 of 1

Jo her su shakel teri dekhta huN

Posted: Sun Aug 26, 2007 11:50 am
by Sohail Malik
azeezan e bazm aik ghazal pesh e khidmet hay. apni raey say aagah kijiay ga.

wassalam

sohail malik

Posted: Mon Aug 27, 2007 7:01 am
by muhammad_19k
Sohail bhai

bohat jaldi meN hooN [:)]

1. pehlay misra meN shakl daikhna ka istemaal mujhe kuch behtar naheeN lagaa. zydaa taraH ham ye muHawaaraa doosre ko neechaa dikhaane ke leeaye istemaal kartay hen. yaqeenun aap ke sher meN se ye matlab naheeN nikaltaa oar ye sher bilkul Saaf hai. laikin phir bhi agar kissi taraH Soorat ya chehra ka istemaal kiyaa jaa-aye to baat shayed zydaa khoobSoorat ho ja-aye.

2. bohat khoob
3. waah
4. ]b] ahaah haa. bohat khoob [/b] waise ye bataa-iaye ke ghanari lafz par koi aitraaz to naheeN huwaa ab tak?
5. tiri aahat na mairi daikhtaa hooN aik to aahat ko daaikhnaa, phir tiri aor miri ka gad mad honaa. ye miSra mujhe to kuch jachaa naheeN.
6. ji theek
7. jahaaN aNbaar thaa tab khaaihishoN ka kyaa buraa hai k issay agar kuch behar kar leeyaa jaa-aye?
8. kayee yaadoN kuch aisi tarkeeb naheeN. haaN kayee dareechay khoob baat thi. beHr ki majboori zaahir ho rahi hai.


aap ka mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Mon Aug 27, 2007 4:44 pm
by Sohail Malik
Khawer bhai assalam o alaekum

aap kay dilcasp aur maalumaati tabSiroN ka hamaisha intezaar rehta hay. aur yahaN bhi aap nay mayus nahiN kia. shukria


1. pehlay misra meN shakl daikhna ka istemaal mujhe kuch behtar naheeN lagaa. zydaa taraH ham ye muHawaaraa doosre ko neechaa dikhaane ke leeaye istemaal kartay hen. yaqeenun aap ke sher meN se ye matlab naheeN nikaltaa oar ye sher bilkul Saaf hai. laikin phir bhi agar kissi taraH Soorat ya chehra ka istemaal kiyaa jaa-aye to baat shayed zydaa khoobSoorat ho ja-aye.


aap ki is raey say mujhay ittefaq nahiN hay (ager aap mujhay ikhtilaaf e raey ka haq deiN to)

suret ko yuN shamil kia ja sakta hay

'maiN suret her su teri dekhta huN'

laikin is per mera dil mutmaen nahiN hay


2. bohat khoob

shukria
3. waah

shukria

4. ]b] ahaah haa. bohat khoob [/b] waise ye bataa-iaye ke ghanari lafz par koi aitraaz to naheeN huwaa ab tak?

shukria ------- issi sher kay peechay to yeh puri ghazal ayi hay ab kissi aeteraaz per is sher say dast derdaar honay say to reha. waisay abhi chand aur qafiay maClan 'agairi' 'pichairi' waghaira baaqi haiN. :grin:

5. tiri aahat na mairi daikhtaa hooN aik to aahat ko daaikhnaa, phir tiri aor miri ka gad mad honaa. ye miSra mujhe to kuch jachaa naheeN.

'dekhta huN' do maani maiN istemaal hua hay

1. I see
2. let me check it
ab aap ashaar kay mazmun say andaza lagaiN keh kis jagah kis maani maiN istemaal hua hay.



6. ji theek

shukria

7. jahaaN aNbaar thaa tab khaaihishoN ka kyaa buraa hai k issay agar kuch behar kar leeyaa jaa-aye?

'jahaN anbaar thay kal khwahishoN kay'

is say behter ager koi suret aap ki nazer maiN ho to zarur bata dijiay ga. mujhay to is mafhum ko ada kernay ki yehi suret nazer ayi hay.


8. kayee yaadoN kuch aisi tarkeeb naheeN. haaN kayee dareechay khoob baat thi. beHr ki majboori zaahir ho rahi hai.

yahaN bhi kayee yadoN koi terkeeb nahiN, kai dareechay hi hay. aap taqeed e lafzi ka ilzaam zarur laga saktay haiN laikin mujhay woh bhi yahaN qabil e qabul lag raha hay.



khush rehihay

faqet

sohail malik

Posted: Wed Aug 29, 2007 2:49 pm
by muhammad_19k
Sohail bhai

"jahaN anbaar thay kal khwahishoN kay "


ye behtareen tabdeeli hai.
5. tiri aahat na mairi daikhtaa hooN aik to aahat ko daaikhnaa, phir tiri aor miri ka gad mad honaa. ye miSra mujhe to kuch jachaa naheeN.

'dekhta huN' do maani maiN istemaal hua hay

1. I see
2. let me check it
ab aap ashaar kay mazmun say andaza lagaiN keh kis jagah kis maani maiN istemaal hua hay.
aor
8. kayee yaadoN kuch aisi tarkeeb naheeN. haaN kayee dareechay khoob baat thi. beHr ki majboori zaahir ho rahi hai.

yahaN bhi kayee yadoN koi terkeeb nahiN, kai dareechay hi hay. aap taqeed e lafzi ka ilzaam zarur laga saktay haiN laikin mujhay woh bhi yahaN qabil e qabul lag raha hay.
agar aap muTamain heN to sab theek hai. maira muTamain honaa kuch ahmiat naheeeN rakhtaa :)

dua goa aor duaoN ka Taalib,
Muhammad K. Siddiqui.