Page 1 of 1

SukhanwaroN ke Huzoor chand ashaar!!!

Posted: Mon Aug 27, 2007 9:24 am
by muhammad_19k
Salam 'azeezan,

Sukhanwaraan e anjuman ke Huzoor chand ahsaar tabSira o rehnamai ke leeaye paish kar rahaa hooN. umeed hai ke shafqat farmaai jaa-aye gi.

paishgi shukriyaa qubool kijiaye.


niazmand,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Tue Aug 28, 2007 4:42 am
by muhammad_19k
Ghazal in Roman

YooNhi chalte chalte kissi ne kal zaraa aainaa jo dikhaa diyaa
mujhe "meN" se "tu" ka HaseeN safar faqat aik pal meN karaa diyaa.

huwaa Husn o ishq ka faiSlaa to ye faiSlaa kiyaa waqt ne.
ke wajood Husn ko khaamshi se hi thaa khaak meN milaa diyaa.

taire intezaar meN raat meN ne umeed o yaas ke darmayaaN
"kabhi ik charagh jalaa diyaa kabhi ik charagh bujhaa diyaa"

mire kaasa e dil e shauq meN tira al tafaat khhanak paRa
tiri ik nazar ne aye mehrabaaN mire dil ka ghuncha khilaa diyaa.

mire mehrabaaN zaraa ho nazar, mire chaaragar zaraa daikhnaa.
mire dil meN phir woh puranaa dard hai aaj kis ne jagaa diyaa

khaRay shia sunni heN Saf ba Saf Aaj aik dooje ke saamanay
taire aik khuTbay ne maulvi kya khoob gul hai khilaa diyaa.


mari pehli pehli ye shairi hai, mire safar ki ye ibtadaa
tu ne lafz lafz ko choom kar issay yaad gar bandaa diya.

meN ne lamHa lamHa faraq kaa hai guzaara taire khyaal meN
meN ne shauq waSl ko hijr par yooNhi rafta raftaa luTaa diyaa


* Muhammad K. Siddiqui. *