Page 1 of 1
~~baar gaah-e-nabavii maiN Aqiidat hay Huroof~~
Posted: Tue Aug 28, 2007 10:13 am
by miim_miim_mughal
Posted: Wed Aug 29, 2007 7:16 am
by muhammad_19k
Bohat khoob mughal SaHeb,
mujhe khud bhi n'aat kehne ka shauq hai aor ussi shauq meN shaairi ke ye papaR bail rahaa hooN. aap ke n'aat masha-allah bohat khoob hai. tamaam ashaar bohat shaandaar heN aor mujhe bohat pasand aa-aye. maire leeaye bhi dua kijiaye ke meN bhi kabhi koi achchaa n'atiaa kalam likh sakooN.
Aap ke leeaye dua go,
Muhamamd K. Siddiqui.
Re: ~~baar gaah-e-nabavii maiN Aqiidat hay Huroof~~
Posted: Wed Aug 29, 2007 10:17 am
by miim_miim_mughal
muhammad_19k wrote:Bohat khoob mughal SaHeb,
mujhe khud bhi n'aat kehne ka shauq hai aor ussi shauq meN shaairi ke ye papaR bail rahaa hooN. aap ke n'aat masha-allah bohat khoob hai. tamaam ashaar bohat shaandaar heN aor mujhe bohat pasand aa-aye. maire leeaye bhi dua kijiaye ke meN bhi kabhi koi achchaa n'atiaa kalam likh sakooN.
Aap ke leeaye dua go,
Muhamamd K. Siddiqui.
MuHtram Muhamamd K. Siddiqui. SaaHib
aadaab-o-slaam-e-masnoon.
aap kaa navaazish naana'h paRhaa. is HauSla'h afzaa'ee par mamnoon hooN.
na'At gau'ee aik mushkil triin mu'Aaamla'h hay. ham aysoN kii kiyaa bisaaT ke'h madH-e-sarvar maiN kcuh'h keh sakaiN.
jab baarii ta'A'aalay nay kehdiyaa. "" vara fa'A'naa Laka-zikrak"" ham tau bas apnii bisaaT kay muTaabiq apny jazbaat kaa iZhaar kart hiaN. kamaa Haq'qahu na'A't kaun ke'h saktaa hay ?.... maiN nay bhii tamhiidii raNg maiN apnii ma'Azoorii raQm kii hay. merii du'A'aa hay allah aapkau bhii na'At kehny kii sa'A'aadat naSiib farmaa'ay (amiin)
niyaaz mashrab
miim miim mughal
Posted: Wed Aug 29, 2007 6:12 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Meem Meem MuGhal SaaHib Assalam Alikum!
Aap kee tashreef aawaree baae'ic raHat-o-iftekhaar aor aap kee ma'rooZ^aat qaabil-e-daad haiN. na'at gaoee mushkil tareen Sinf-e-iz^aar hone ke i'lawah pecheedah aor Hassas a'mal bhee hai. keh kaheeN koee larzish hoee aor khudaa nakhuwaastah guneh gaar There. aor maiN ne meHsoos kiyaa hai keh na'at gaoee ke daoraan mere haath qadre kaanpaa shuru' kar dete haiN. aor aek khaaS kaefiyat se do chaar ho jataa hooN.
Aap kaa hadiyah-e-na'at dekh kar Aap ke liye dil se dua'aa niklee keh Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze Aameen!!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Fri Oct 05, 2007 7:42 am
by miim_miim_mughal
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Meem Meem MuGhal SaaHib Assalam Alikum!
Aap kee tashreef aawaree baae'ic raHat-o-iftekhaar aor aap kee ma'rooZ^aat qaabil-e-daad haiN. na'at gaoee mushkil tareen Sinf-e-iz^aar hone ke i'lawah pecheedah aor Hassas a'mal bhee hai. keh kaheeN koee larzish hoee aor khudaa nakhuwaastah guneh gaar There. aor maiN ne meHsoos kiyaa hai keh na'at gaoee ke daoraan mere haath qadre kaanpaa shuru' kar dete haiN. aor aek khaaS kaefiyat se do chaar ho jataa hooN.
Aap kaa hadiyah-e-na'at dekh kar Aap ke liye dil se dua'aa niklee keh Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze Aameen!!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
allah tabarak-o-t'Aaala ham sab kau sarkaa Alayh-e-Slaat-o-vas'slaam kii madH sraa'ee kaa sharaf aTaa farmaa'ay. (amiin)
muzafar SaaHib kii du'aaiN mery liay zaad-e-raah haiN.
Taalib-e-dast-e-shafqat
miim miim mughal
Posted: Fri Oct 05, 2007 7:43 am
by miim_miim_mughal
sara_j wrote:masha Allah! achi lagi na'at daad qubool keejiye.
jazaak'allah-o-Khayra'