Page 1 of 1
Rukhta tha jin ke khauf se main khirkiyan bhi bund
Posted: Tue Aug 28, 2007 12:10 pm
by faypal
Posted: Wed Aug 29, 2007 6:02 am
by muhammad_19k
Salam Afazal SaHeb,
kahiaye kaise mizaaj heN?
1. bohat khoob.
2. ye khyaal kuch samajh naheeN aayaa.
3. bohat khoob.
4. raqS e gul se paroN ko kiyaa nisbat? patiaN ho to baat khoob hai. is ke allaawa lafz chhiRne shayed chhaiRne ka typo hai.
5. makaaN ka band honaa qaabil e ghor hai.
6. bohat khoob.
7. khyaal bohat shaandaar hai. laikin kachay ghaRay meN chanaaN ka band honaa se kyaa muraad hai?
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
5.
Posted: Thu Sep 06, 2007 11:53 am
by faypal
W/salam mohtaram sadiqui sahib.........tamaam ashaar main allusion ka istamaal howa hai ager lafaz ke secondary meanings leay jaain to mafhoom bilkul wazeh hai........maslan kache gharre main chanan ka bund hona uski talatum khaiz moujoun ko bilkul ehmiyut na dene ke mutraduf hai jo mohabbat main baikhoufi ki intaha hai aur yehi shehr ka husn hai......... lafz charne mistyped hai isse darust ker loun ga.Thanks for your relectable review