Page 1 of 1

:: kabhi ik chiraaGh jalaa diyaa, kabhi ik chiraaGh bujhaa d

Posted: Sun Sep 02, 2007 9:15 pm
by Star Mind
Yaaran-e-anjuman, aadaab !

23 August ki baarishoN ke baa'd Internet ka nizaam bhi darham barham hogayaa thaa
jis ki binaa par Haazir na hosakaa !aur yeh zehmat to ab har rehmat ke saath mayassar aatii hai. Allah hii Khair kare. aaj jab Net baHaal hovaa to socha kyooN na Urdu Anjuman ke maahana KhoobSoorat miSra'-e-taraH par ik Ghazal keh kar aap ki Khidmat meiN paish karooN aur aap ki rah-numaa'ii se mustafeez ho jaao'N ! so Ghazal paish-e-Khidmat hai ummeed hai k merii na-Khwaastah Ghair Haazirii ko nazar-andaaz kar k apnii qeemati raaye se navaazeN ge ! shukriya


:: Urdu Version ::
Image
:: Roman Version ::

1.

tujhe maiN ne soNpe the jaan-o-dil !, mujhe kaise tuu ne bhulaa diyaa ?
yehi a'aashiqii ka Silaa hai kyaa? k banaa ke Khaak uRaa diyaa?

2.

rag-e-jaaN meiN thaa jo lahoo ravaaN, tire dar pe aaj bahaa diyaa
zahe jazba-e-dil-e-naa-tavaaN k Hisaab-e-i'shq chukaa diyaa !

3.

na voh aarzoo ki hai chaaNdnii, na voh justjoo ki hai raushnii
miri dhaRkanoN ka suraaGh thaa, jo chiraaGh tuu ne bujhaa diyaa !

4.

maiN to aaj tak na samajh sakaa, jo mizaaj hai tire Husn kaa
kabhi saaz ban ke sulaa diyaa, kabhi soz ban ke jagaa diyaa !

5.

na Khushii hai kuchh na malaal hai, miri zindagii ka yeh Haal hai
voh jo aagahii ki mtaaa' thii, use be-Khudii meiN luTaa diyaa !

6.

gahe raushnii gahe tergii, hai yehi tabee'at-e-zindagii
" kabhi ik chiraaGh jalaa diyaa, kabhi ik chiraaGh bujhaa diyaa !

7.

zara yeh bataa mujhe dil-rubaa ! yeh sitam hai yaa k karam tiraa?
kabhi apne paas biThaa liyaa, kabhi Ghair keh ke uThaa diyaa !

8.

mire dosto ! miri haar kaa, baRa dard-naak hai maajaraa
maiN k maut se tha dil-aazmaa, mujhe zindagii ne miTaa diyaa !

9.

tujhe kyaa bataao'N maiN ham-navaa, k Khamosh kyooN hai :Zia: tiraa
voh jo dam-ba-dam tha Ghazal-saraa, use kab ka tuu ne gaNvaa diyaa !

................................................

Zia Baloch

Posted: Mon Sep 03, 2007 5:41 am
by muhammad_19k
Zia Balaoch SaHeb

aik achhi ghazal kehnay aor pesh karne par daad o mubaarakbaad qubool kijiaye.

regards,
Muhammad K Siddiqui.

Posted: Mon Sep 03, 2007 8:02 pm
by Star Mind
sara_j wrote:Zia salaam,

w/salaam Saara behnaa jee :) w/salaam

barson baad ( :-) ) aate hain ghazal ke saath aate hain aur humara ghussa bhagaa dete hain

aise bhi bhai houte hain [-(

vuhii to ! aek to aate haiN barsooN baa'd aur opar se Ghazal bhii laate haiN GhuSSaa bhagaane vaalii , aise bhaa'ii hote to haiN ! magar aise bhaa'ii "SHAAI'R" kehlaate haiN behnaa ! :wink:
misra-e-tarhaa tou waqai khobsurat hai lekin ye soz ye dard aapki

ghazal mein.......humein tou shoukh aur chanchal zia ki ghazlein pasand hain :-)

voh bechaara to pata naheeN dunyaa ke jhamele meiN kahaaN khoo gayaa hai ! talaash jaarii hai , jaise hi mileNge , paish kardooN gaa ! vaise bhii hameN us se bahut saare Hisaab kitaab karne haiN ! :grin:

waise ye bhi bohat khoob hai daad qubool keejiye!!

jee voh to hameN pata hai ! :lol: mazaaq bar-taraf nehaayat manoon hooN ! aap kaa Husn-e-nazar hai ! :-)
ab aate rahye kuch waqt yehan bhi nikaaliye.

sara

jee jee , zaroor ! ab to yeh aanaa jaanaa saaNs ki taraH lagaa rahe gaa ! :-)

Zia Baloch

Posted: Fri Sep 07, 2007 6:15 pm
by Star Mind
muhammad_19k wrote:Zia Balaoch SaHeb

aik achhi ghazal kehnay aor pesh karne par daad o mubaarakbaad qubool kijiaye.

regards,
Muhammad K Siddiqui.
Khavar SaaHib, aadaab !

aap ke Haseen alfaaz ke liye aap kaa tah-e-dil se mamnoon hooN ! shukriya

Zia Baloch