Page 1 of 2

Guzarish-32 : Doosri Ghazal Pesh-e-Khidmat Hai.....!!

Posted: Mon Sep 03, 2007 3:13 pm
by munir-armaan-nasimi
Qabil-e-sad Ehteram Ustaad Shoraa Hazraat
aur Mere Azeez Saathiyo,

Salaam-o-Rehmat !! Kal main ne Guzaarish-32 ke liye Ek Ghazal post kii aur sachchi baat batadi ke main ye Ghazal chand saal pahle kaha tha. To mere ek mohsin, karam-farma Dost ne doosra hukm saadir farmaya ke.... Jaldi se apni taaza ghazal pesh karo.... jara hum bhi to dekhein ke itne saalon main tum ne kitni taraqqi kii hai.

Liziye, pesh-e-khidmat hai doosri Ghazal, ummeed hi nahin mujhe yaqeen hai ke ustaad shoraa hazraat isko islah se nawazeinge.

aap ka apna,

Munir Armaan Nasimi

Posted: Tue Sep 04, 2007 9:38 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Armaan SaaHib aadaab!

aap kaa yeh karam dekh kar dil baRaa masroor huwaa keh aap ne do shaandaar GhazlooN se mushae'rah ko raonaq bakhshee. maiN is i'nayat ke liye teh-e-dil se aap kaa mamnoon hooN. aap kaa be had shukriyah!

Guzashtah kee t^arH aap kee yeh Ghazal bhee aap ke haseeN kheyaalaat aor nafees fikr kee tarjumaan hai. sabhee she'er khubSurat haiN. aor laai'q-e-Sad taoSeef haiN. so bandah kee janib se dilee daad aor mubarak qubool keejiye.

do aek bateeN saamne aaeeN haiN. so kahe detaa hooN.

she'er#4 kaa miSra'-e-awwal beHer meN naheeN aasakaa. aor maseeHaa kaa ta'luq gunah se naheeN. balkeh beemaree waGhaerah se hai. is aa'tebaar se miSre be rabt^ ho kar reh gae haiN. is liye she'er kee yeh Surat bhee ho saktee hai. jese

mire Haal par reHm kar aeY meseeHaa
hooN beemaar-e-ulfar shifaa chahataa hooN.

is khubSurat koshish par meree dilee daad qubool keejiye!
Wassalam
Muzaffar

Posted: Wed Sep 05, 2007 12:23 pm
by muhammad_19k
Muneer bhai

aap mujhe ye bataa-iaye ke aap log ( jawaid bhai, muzaffar bhai, aap waghairaa) kyaa khaate heN jo chashm e bad door is raftaar se ghazleN keh laite heN. aor phir har ghazal ka mai'yaar bhi wohi rehtaa hai?

ashaar achhchhay heN. aap jaanteN heN ke chooNke meN seekhne ke marHalay meN hooN. is leeaye har sher ke lafz lafz par ghor kartaa hooN. yaqeenan mairaaa aor aap ka maiyaar mukhtalif hai. laikin meN aap se is leeaye discuss karooN ga taa ke muje pataa chal jaa-aye ke alfaaz ki tabdeeli kyaa raNg laati hai.

agar jawaid bhai aor muzaffar SaHeb bhi is par raa-aye day to kyaa hi baat hai.

1. miraa HoSla daik kyaa chahtaa hooN
meN qatra hooN daryaa huwaa chaahtaa hooN ( meN qatre se daryaa huwaa chahtaa hooN)

2. GhareeboN ke dil ki dua chaahtaa hooN ( ghareeboN ke dukh ki dawaa chaahtaa hooN)
aor un ke dukhoN ki dawaa' chaahtaa hooN. ( aor un ke diloN ki duaa chaahtaa hooN)

4. muzaffar SaHeb ka is sher ke baare meN tajziyaa behtareen hai. laikin mujhe chooNke is men pehlaa miSra zydaa pasand aa rahaa hai aor mairaa khyaal hai ke sher bhi issi ke leeaye kahaa gyaa hai is leeaye men us ko barqar rakhte huwaay nayaa sher is taraH tajveez kartaa hooN.

meN ashkoN se apne gunahoN ko dhokar.
tira dar pe Haazir huwaa chaahtaa hooN.

muzaffar bhai, aap ka sher,

mire Haal par reHm kar aey maseeHaa
hooN beemaar e ulfaat shifaa chaahtaa hooN.

laikin mujhe lagaa ke armaan bhai rooH ki bimaari se shifaa chahte heN. iss leeaye pehlay miSra ko barqaarar rakhaa. bohat zydaada Had e adab . aap se zydaa mujhe kon jaantaa hai yaahaaN. yahaaN akcariat aise beHc o mubaHicay ko badtameezi ke zimray men lay aati hai. laikin aap ki moHabbat mujhe HoSlaa daite hai ke aap se dil ki baat baghair kissi hichkachaaHat ke keh daitaa hooN.

Ta'aSub se ho paak har shakHs armaaN
miri saadgi daikh kyaa chaahtaa hooN.

sher bilkul theek aor zabardast hai. laikin meN hotaa to banawaT kehtaa. mairaa khyaal hai banawaT se taghazzul baRh jaataa hai.

aap ki raa-aye ka muntazir,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Wed Sep 05, 2007 3:23 pm
by munir-armaan-nasimi
YA ALLA'H AB MAIN KYA KAROON???
DONO HI MERE BHAI HAIN....
KIS KO HAAN KAHOON AUR
KIS KO NAA????

MOHTARAM JAWAID BHAI SAAHEB..... AL-MADAD...!!

armaan

Posted: Thu Sep 06, 2007 6:00 am
by muhammad_19k
munir-armaan-nasimi wrote:YA ALLA'H AB MAIN KYA KAROON???
DONO HI MERE BHAI HAIN....
KIS KO HAAN KAHOON AUR
KIS KO NAA????

MOHTARAM JAWAID BHAI SAAHEB..... AL-MADAD...!!

armaan
Mohtarami Muneer SaHeb

aisaa kuch naheeN huwaa ke aap almadad maNgeN. muzaffar SaHeb ne apni tajveez di hai aor meN ne apni. aor chooNke meN muzaffar SaHeb ki bohat izzat kartaa hooN. is leeaye un ka zikr bhi kar diyaa. laikin ye koi achaNbhay ye gaRbaR ki baaat naheeN.aik hi sher par mukhtalif aaraa ka hontaa aik fiTri 'amal hai. aor umeed rakhiaye ke jawaid SaHeb ki tajveez in donoN shakloN se bhi mukhtalif ho sakti hai.

aap itminaan rakhiaye aor woh keejiaye jo aap ke dil meN hai. :).

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Thu Sep 06, 2007 6:39 am
by munir-armaan-nasimi
muhammad_19k wrote:
munir-armaan-nasimi wrote:YA ALLA'H AB MAIN KYA KAROON???
DONO HI MERE BHAI HAIN....
KIS KO HAAN KAHOON AUR
KIS KO NAA????

MOHTARAM JAWAID BHAI SAAHEB..... AL-MADAD...!!

armaan
Mohtarami Muneer SaHeb

aisaa kuch naheeN huwaa ke aap almadad maNgeN. muzaffar SaHeb ne apni tajveez di hai aor meN ne apni. aor chooNke meN muzaffar SaHeb ki bohat izzat kartaa hooN. is leeaye un ka zikr bhi kar diyaa. laikin ye koi achaNbhay ye gaRbaR ki baaat naheeN.aik hi sher par mukhtalif aaraa ka hontaa aik fiTri 'amal hai. aor umeed rakhiaye ke jawaid SaHeb ki tajveez in donoN shakloN se bhi mukhtalif ho sakti hai.

aap itminaan rakhiaye aor woh keejiaye jo aap ke dil meN hai. :).

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Khawar Mere Bhai... wahi to mushkil hai yaar.. main wahi karoon jo mera dil kahe to.... ??? Mera dil chaahta hai ke main aap dono ke sher ko apni Ghazal ke chehre par bindya ki tarah sazaa loon. Ek hi baat ko aap dono ne apne apne andaaz main jis tarah pesh kiya hai wo dono hi andaaz mujhe itne achche lage hain ke.... main dono ko ghazal main shaamil karna chaahta haoon, magar sawaal ye uthhta hai ke... ek hi khayaal ko do alag alag tareeqe se ek hi ghazal main pesh karna........??? aap samajh rahe hain na meri baat???

Khawar Bhai, aap nahin jaante ke mujhe kitni khushi hoti hai jab aap, muzaffar bhai, sara ji.... aur Jawaid Saaheb, Sarwar Saaheb wagerah meri ghazal pe islah dete hain. Main khud ko khush-naseeb samajhta hoon ke 'urdubandhan' jaise website se munsalik hoon.

Alla'h kare ye 'Bandhan' kabhi na toote. Aameen!

masha allah

Posted: Thu Sep 06, 2007 4:46 pm
by haamidbaaqri
ASALAAM O ALAIKUM
MOHTARAM MUNEER SAAHIB


aapki donoN ghazleN majmooyee taur per hameN pasand aayeeN.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN.

allah(sbhnwt)kare zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqari

Posted: Fri Sep 07, 2007 6:43 am
by zmufti
Munir saheb
shayad yahaN mushaire ki fiza hi aisi hai keh aik ke baad aik aur ghazal ho jaati hai
daad qabool kijye
khawar saheb ke mashware pasand aaye
regards
zmufti

Posted: Sat Sep 08, 2007 12:29 pm
by Mayank

janaab armaan munir saaheb,

aadaab arz hai!

bohat khuub aap Ghazal kah rahe hai.n aur musalsaal Ghazal kah rahe hai.n aur is kee wazah aihbaab-e-sukhan ke saath saath ham bhee jaan.na chaahate hai.n kii"aap kaun se chakki kaa aaTaa khaate hai.n' jo itne khuubsuurat Ghazal ataa kiye jaa rahe hai.n???

is Ghazal ke khayaal itne paak hai.n kii is kee koii saanii nahii.n dee jaa saktee.. duusro.n ke dukho.n ko apanaane kii chaah, aaj ke duniye me.n bohat kam dekhane ko miltee hai.. verna log...... 'muTThii bhar namak' le kar ghuum rahe hai.n aaj-kal. aur yeh aap se behtar kaun jaan saktaa hai?

mujhe sabhii ashaar behtariin lage hai.n aur mujh jaise naehlaa aap ke Ghazal par daad ke sivaa kuchh de bhee nahii.n saktaa.. bakkhiyaa.n parakhne kaa kaam ustaado.n ka hai, aur yeh kaam to wohee kare.nge... mujhe to puuri Ghazal hii pasand aayee hai..

aap kii yeh Ghazal hame behad pasand aayee, is ke sab se pahle aap ko dilee daad de raha huu.n. qubool farmaaiyegaa....

mayank


Posted: Sat Sep 08, 2007 7:59 pm
by Shummu
wah bahut khoob ..hamari taraf se bhi daad qubool karein munir sahab:)

Bahut Der kii meherbaan.....

Posted: Sun Sep 09, 2007 4:02 pm
by munir-armaan-nasimi
Shummu wrote:wah bahut khoob ..hamari taraf se bhi daad qubool karein munir sahab:)

Bahut Der kii Meherbaan Aate Aate......
Pata hai Shumaila ji aap barson baad meri kisi takhleeq pe
Apni giraan-qadr rai dene ki zahmat kar rahi hain.

Aisa kyon? Kya aaj kal bahut buzy rahti hain??

Anyway, Tonz of Thankz for appreciating my ordinary ghazal. Ab to ye ghazal bhi mujhe pasand aane lagi hai.

Armaan

shukriya mayank ji

Posted: Sun Sep 09, 2007 4:18 pm
by munir-armaan-nasimi
Mayank wrote:
janaab armaan munir saaheb,

aadaab arz hai!

bohat khuub aap Ghazal kah rahe hai.n aur musalsaal Ghazal kah rahe hai.n aur is kee wazah aihbaab-e-sukhan ke saath saath ham bhee jaan.na chaahate hai.n kii"aap kaun se chakki kaa aaTaa khaate hai.n' jo itne khuubsuurat Ghazal ataa kiye jaa rahe hai.n???


AISA LAGTA HAI...AB MUJHE BATA HI DENA CHAAHIYE KE MAIN "BHAGAWATI RICE MILL" SE CHAAWAL LETA HOON "KHAA-DAAR AATA CHAKKI" SE AATAA BANATA HOON AUR..... USPE "SARA SPICES PVT. LTD." SE GARAM MASALA DAAL KE..... "MUZAF TANDOOR" SE SEENK KAR KHATA HOON.

TAB PAIDA HOTI HAI GHAZAL...... !!



is Ghazal ke khayaal itne paak hai.n kii is kee koii saanii nahii.n dee jaa saktee.. duusro.n ke dukho.n ko apanaane kii chaah, aaj ke duniye me.n bohat kam dekhane ko miltee hai.. verna log...... 'muTThii bhar namak' le kar ghuum rahe hai.n aaj-kal. aur yeh aap se behtar kaun jaan saktaa hai?

mujhe sabhii ashaar behtariin lage hai.n aur mujh jaise naehlaa aap ke Ghazal par daad ke sivaa kuchh de bhee nahii.n saktaa.. bakkhiyaa.n parakhne kaa kaam ustaado.n ka hai, aur yeh kaam to wohee kare.nge... mujhe to puuri Ghazal hii pasand aayee hai..

aap kii yeh Ghazal hame behad pasand aayee, is ke sab se pahle aap ko dilee daad de raha huu.n. qubool farmaaiyegaa....

mayank
MAYANK JI.... BAHUT BAHUT DHANYABAAD KE AAP KO HAMARI GHAZALA BABY PASAND AAYEIN. BHAGWAAN KARE MERI DOOSRI BETIYAAN (TAKHLEEQ) BHI AAP KO PASAND AAYEIN. DAAD KE LIYE SHUKRIYA..... BAHUT BAHUT SHUKRIYA..... !!

Armaan

Darr ke Ghazal ho gayi.....

Posted: Sun Sep 09, 2007 4:31 pm
by munir-armaan-nasimi
zmufti wrote:Munir saheb
shayad yahaN mushaire ki fiza hi aisi hai keh aik ke baad aik aur ghazal ho jaati hai
daad qabool kijye
khawar saheb ke mashware pasand aaye
regards
zmufti
Aisi koyi baat nahin hai Zarqa ji, main "Moshaira" section main Darr ke kabhi aata nahin tha becuz I know my limitations..... mujhe sher o shairi ke baare main kuchh bhi nahin maalum. Ye to Sara ji aur Muzaffar Bhai Saaheb ne mujhe itni mohabbat se Guzaarish-32 ka "Chief Guest" bana diya ke kya bataaoon........ DARR KE MAARE "JUDWA GHAZAL" HO GAYI.... aur sab se hairat ki baat ye hoyi ke wohh dono aap sab ko pasand bhi aa gayein.

Khawar Bhai, Muzaffar Bhai aur Mohtarmee Jawaid Saaheb ke mashware pe harf harf amal karoonga tabhi meri ghazal ka husn nikhrega.

Daad ke liye shukriya.....!!

Armaan

Re: masha allah

Posted: Sun Sep 09, 2007 4:46 pm
by munir-armaan-nasimi
haamidbaaqri wrote:ASALAAM O ALAIKUM
MOHTARAM MUNEER SAAHIB


aapki donoN ghazleN majmooyee taur per hameN pasand aayeeN.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN.

allah(sbhnwt)kare zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqari
Mohtarmee Haamid Baaqri Saaheb,

Zahe-naseeb ke aap ne do barson main pahli baar meri kisi takhleeq pe apne tassurat qalamband/ post kiye. Aap Bangalore se hain aur main Orissa se.... Main aapki takhleequat padhta rehta hoon aur aapke kaarname (aap bahut achche singer bhi hain) sunta rehta hoon. Abhi peechle maah 5-august ko "Salaar" Weekly,Bangalore ke adbi goushe main naa-cheez ke chand takhleequat shaaya hoye hain, aap ki nazron se guzre honge.

Ghazal aap ko pasand aayi, dil baag baag ho gaya. Ummeed hai ke aaindah bhi hausla afzaai farmate rahenge.

Aap ka apan,.

Munir Armaan

Posted: Mon Sep 10, 2007 3:42 pm
by munir-armaan-nasimi
BERADARAM MUZAFFAR SAAHEB AUR MOHD. KHAWAR SAAHEB,

AAP LOGON KE SUGGESTIONS KO MAIN NE.... MERI GHAZAL KE HONTON PE LIPSTICK KI TARAH... LAGA DIYA HAI... AB BAHUT SUNDER LAG RAHI HAI.... MASHA'ALLAH...!!

Ummeed hai aap log bhi uske es naye roop se santoosht honge...

aap ka apna,

M.A.N