Page 1 of 1

aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar! dekh kar...naii Ghazal

Posted: Mon Feb 14, 2005 2:00 pm
by Aslam Sai'hbaa
aHbaab-e-meHfil ko mera salaam pahoNche,

aapkii bazm meN maiN nayaa huuN magar aap meN se kaafii Khawaateen o Hazraat ka maiN shinaasaaN huuN. aap meN se jinheN maiN pahle se nahiiN jaantaa unheN insha Allah jald jaan jaauuga, inshaa Allah.

aaj aapkii maHfil meN apnii ek naii adnaa sii Ghazal pesh karne kii jasaarat kar rahaa huN aur ummeed-e-qawii rakhta huN ki aapkii tab'a-e-naazuk par baar-e-giraaN na guzregii. aapkii aaraa ka shiddat se intezaar rahegaa. shukria.

to, Ghazal mulaaHizah farmaaiye:


1.
koii raah-e-raast paaye Allah kaa ghar dekh kar
lauT aataa hai koii Ka'be meN pattar dekh kar

2.
kaun se muNh se karuuN inkaar US ke fazl kaa
US kii rai'Hmat ko mirii 'asyaaN se baRh kar, dekh kar!

3.
kiuN na dil be_taab ho qadmoN meN girne ke liye
aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar

4.
kiuN na Hikmat DhoonDhne kii aur bhii Kh(ow)aahish karuuN
gardish-e-aflaak aur dunyaa ka chakkar dekh kar

5.
josh par aayii mire Khaaliq kii rai'Hmat Hashr meN
jhuk gayaa jab miraa, 'asyaaN ka daftar dekh kar

6.
is taraf baRhtii hai unkii yaad, lekin us taraf
unkii Ghaflat baRh rahii hai mujhko musztar dekh kar

7.
vaar karne meN tumheN kia der hai, dekhnaa!
Khud ba_Khud sar Kham huaa jaataa hai Khanjar dekh kar

8.
"AAJ" ke israar par vo haNs ke :KAL" kahne lage
jhaaNk kar aaNkhoN meN apnaa 'aks andar dekh kar

9.
gir ke pachhtaaii hai chilman yaar ke ruKhsaar se
unko HairaaN dekh kar, maHfil ko shushdar dekh kar

10.
phir fidaa hone ko dil be_saaKhta lalchaaye hai
tujhko, ai jaan-e-jahaaN, aape se baahar dekh kar

11.
aaNdhiyaaN bhii ab to aatii haiN mujhii ko DhoonDhne
bijliyaaN, kam_baKht!, girtii haiN mira ghar dekh kar

12.
qai'hr hai dunyaa meN jinke zohd_o_taqwaa kaa Ghuroor
bujh gayaa dilkiina-e-zaahid ko aksar dekh kar

13.
dai'hr meN hai ik vohii insaaN adab kaa mustaHiq
Khush jo hotaa hai kisii ko Khud se behtar dekh kar

14.
surKhii-e-ruKhsaar ne kuchh Husn afzooN kar diyaa
chai'hre bujh jaate haiN, "Sai'hbaa!", aapkaa shar dekh kar

Re: aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar! dekh kar...naii Gh

Posted: Tue Feb 15, 2005 10:06 am
by Raji
moHtaram Janab-e-Aslam Sai'hbaa SaaHeb:

Aadaab-o-tasleemat,

Aap ka iss bazm meN istiqbaal kartee hooN. ham aap ke naam se shanasaa naa sahee lekin aap ke kalaam ne aap se shanasa kar diya hai:).
bohat khoobsoorat kalam le kar aaye heN.
Iss do rangee kalaam ke taqreebaan tamaam hee ashaar ache heN. so daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Umeed kartee hooN ke aap iss bazm meN aate raheNge aur apne kalaam aur apnee aaraa se raunaq bakshte rehenge .

Wassalam

Zahida Raees :Raji: