Page 1 of 1
Ghazal
Posted: Thu Sep 06, 2007 10:26 am
by waQaar
aadaab,
is meHfil maiN pehli kaaviSh paiSh-e-khidmat hay. apni garaaN qadar aara' say nawaaziYay gaa. Shukriah!
waQaar :)
========
ph~as gaYaa hooN do jahaanoN maiN kahiiN
laa-makaaN hooN aasmaanoN maiN kahiiN
meN to keH jaa,uuNga qabl-az-mot sab
jee uTh~ooNgaa ph~ir fasaanoN maiN kahiiN
raNg badla hay magar badla nah aNg
hay wat^an zindah javaanoN maiN kahiiN
intaqaal-e-ruuH hay, kYa hay buraa!
meN rahooNgaa jaavidaanoN maiN kahiiN
meNnay paa,ii hay "waQaar" is zeest maiN
jeet pinhaaN imtahaanoN maiN kahiiN
Posted: Thu Sep 06, 2007 5:22 pm
by Star Mind
Waqaar bhaa'ii, aadaab !
maiN is KhoobSoorat MeHfil meiN tah-e-dil se aap kaa isteqbaal kartaa hooN ! aap jaisii suKhanwaroN ki is MeHfil ko saKht zaroorat hai ! aap kii aamad se yaqeena" meHfil ki raunaqoN meiN izaafa hogaa ! Khush-aamadeed !! :)
aap kii Ghazal to SaaHib laa-javaab hai ! aap kaa a'aarifaana andaaz mujhe roz-e-avval hi se bahut pasand hai ! aap kii yeh Ghazal to mujhe maar hii ga'ii ! ;)
tamaam Ghazal hii behtareen hai ! mujhe KhaaS taur par darj zel asha'aar ziyaada pasand aaye !
"ph~as gaYaa hooN do jahaanoN maiN kahiiN
laa-makaaN hooN aasmaanoN maiN kahiiN
meN to keH jaa,uuNga qabl-az-mot sab
jee uTh~ooNgaa ph~ir fasaanoN maiN kahiiN"
daad-o-mubaarakbaad qubool kejiye !
shukriya
Zia Baloch
Posted: Thu Sep 06, 2007 6:12 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Waqaar SaaHib aadaab aor khush aam deed! :rose
mehfil-e-Urdubandhan meN aap kee tashreef aawaree HoaSlah afzaa aor musarrat kaa baae'ic hai. meHfil ko hameshah hee aap aese sanjeedah aor baaSalaHiyat SaaHibaan-e-qalam kee negaarishaat kaa intez^aar rehtaa hai. yahaaN aap ko inshAllah achchaa maHool mile gaa. aor aap meHz^ooz^ hoN ge.
Ghazal achchee hai. aap kaa andaaZ-e-bayaan munfarid aor dilkash hai. tashreef late raheeN.
Wassalam
Muzaffar A Muzafafr
Posted: Sat Sep 08, 2007 12:17 pm
by waQaar
Star Mind wrote:Waqaar bhaa'ii, aadaab !
maiN is KhoobSoorat MeHfil meiN tah-e-dil se aap kaa isteqbaal kartaa hooN ! aap jaisii suKhanwaroN ki is MeHfil ko saKht zaroorat hai ! aap kii aamad se yaqeena" meHfil ki raunaqoN meiN izaafa hogaa ! Khush-aamadeed !! :)
aap kii Ghazal to SaaHib laa-javaab hai ! aap kaa a'aarifaana andaaz mujhe roz-e-avval hi se bahut pasand hai ! aap kii yeh Ghazal to mujhe maar hii ga'ii ! ;)
tamaam Ghazal hii behtareen hai ! mujhe KhaaS taur par darj zel asha'aar ziyaada pasand aaye !
"ph~as gaYaa hooN do jahaanoN maiN kahiiN
laa-makaaN hooN aasmaanoN maiN kahiiN
meN to keH jaa,uuNga qabl-az-mot sab
jee uTh~ooNgaa ph~ir fasaanoN maiN kahiiN"
daad-o-mubaarakbaad qubool kejiye !
shukriya
Zia Baloch
Ziaa bh~aaii,
aadaab,
der say javaab deh honay kay liYay ma'zirat. aap itni ta'reef ker detay haiN keh mujh~ sa kaaviSh nigaar khud ko nah-jaanay kYa kYa samajh~ beTh~ta hay :d. laikin meN jaanta hooN keh Yeh aapka husn-e-ikhlaaq aur husn-e-zoq hay jo sabko is qadar khoobSoorat daad say nawaaztay haiN. aapnay mujh~ay Sukhanwar to keH diYa laikin agar kisii Sukhanwar nay sun liYa to kaafi haNgama ho sakta hay is baat per :D.
aapnay meray andaaz ko saraaha Yeh aapka baRaa pan hay. bahut bahut Shukriah! sadaa khuSh rahYay!
waQaar :)
Posted: Sat Sep 08, 2007 12:20 pm
by waQaar
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Waqaar SaaHib aadaab aor khush aam deed! :rose
mehfil-e-Urdubandhan meN aap kee tashreef aawaree HoaSlah afzaa aor musarrat kaa baae'ic hai. meHfil ko hameshah hee aap aese sanjeedah aor baaSalaHiyat SaaHibaan-e-qalam kee negaarishaat kaa intez^aar rehtaa hai. yahaaN aap ko inshAllah achchaa maHool mile gaa. aor aap meHz^ooz^ hoN ge.
Ghazal achchee hai. aap kaa andaaZ-e-bayaan munfarid aor dilkash hai. tashreef late raheeN.
Wassalam
Muzaffar A Muzafafr
moHtaram MuZ^affar SaaHeb,
aadaab,
aapnay itnay khoobSoorat andaaz maiN khuShaamdeed keH diYa keh ShaaYad ab is meHfil ko Chh~oRna mumkin nah ho gaa. meN dil say likkh~ii ga,ii Shaa'iri ko bahut saraahta hooN chaahay jaisii bh~ii ho. aapnay meray kalaam ko kisii qaabil samjh~aa, meN aapka mamnoon hooN.
bahut Shukriah!
waQaar :)