Page 1 of 1
Posted: Fri Sep 07, 2007 6:44 am
by zmufti
buhat khoob
Sara jee aap ki ghazal ke sabhi ashaar pasand aaye
meri jaanib se daad qabool kijye
khush rahiye
zmufti
Posted: Fri Sep 07, 2007 7:25 am
by muhammad_19k
mairi khaahishoN ki koi Had naheeN hai
meN kaise bata-ooN ke kyaa chaahti hooN
Great
Posted: Fri Sep 07, 2007 7:49 am
by munir-armaan-nasimi
mere sher per naaz se "waah" kahna
teri daad mein bhi adaa chaahatee hooN
Sara jee, ye 'Adaa' kaun Hai???
Ghazal beHad Dil-nasheen hai magar kuchh ek jagah mujhe ruk ruk ke sambhalna pada.... sochna pada...... phir jab sher samajh gaya to WAH WAH bolna bhi pada...... aap to kamaal karti hain Sara jee. (ab ye na poochiyega ke Kamaal kaun hai???)
Alla'h kare Takhayyul-e-Parwaaz Aur Ziyaadah !!
ArmAAn.
Re: "Miree saadagee dekh kiyaa Chahataa hooN" # 32
Posted: Sat Sep 08, 2007 8:05 pm
by Shummu
3. guloN ki mahak tou bohat Aarzee hai
woh Khushboo jo mahake Sadaa chaahatee hooN
6. miree KhuwaahishoN ki koii Hud nahiN hai
maiN kaise bataaooN maiN kya chaahatee hooN
wah wah sara jee ye do sher bahut pasand aaye khaaskar ye #6...bahut khoob
Posted: Sun Sep 09, 2007 7:47 am
by Star Mind
Saara behnaa, aadaab !
is Ghazal kaa lutf to ham pehle hii Uthaa chuke haiN ! magar Ghazal aisii hai k har baar paRhne se aek naye lutf kaa iHsaas hotaa hai ! yehi is kii kaamyaabii kii daleel bhii hai ! ;)
yuuN to poorii Ghazal hii Khoob hai albatta sher # 3 to "JAAN-LEVA" hai !! KhuSooSii daad !! shukriya
Zia Baloch
Posted: Mon Sep 10, 2007 3:14 pm
by ummassad
sara ji
salaam. kiya kahney.
gazal aap ne yeh .bahout khoob kahdi.
wah per wah ho, main yahi chati houn.
ummassad.
Re: "Miree saadagee dekh kiyaa Chahataa hooN" # 32
Posted: Tue Sep 11, 2007 6:06 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:"MuHtarameen, arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sukhan,
Tasleemaat,
Guzarish No.32 ke miSreA per apni TaraHi ghazal pesh karne kee saAadat HaaSil
karrahii hooN. Aapki giraaNqadr aaraa kaa intezaar rahegaa."
[align=center]
Ghazal:
1. shab-e-teera mein ek diyaa chaahatee hooN
"Miree saadagee dekh kiyaa Chaahatee hooN"
2. NahiN main wafaaou.n ke dAwey ki qaail
maiN tarz-e-muhabbat juda chaahatee hooN
3. guloN ki mahak tou bohat Aarzee hai
woh Khushboo jo mahake Sadaa chaahatee hooN
4. woh jiski chamak se falak bhi ho raushan
sitaaro.n ki aisee ridaa chaahatee hooN
5. mire hamnasheeN mujh se Ghaafil nah hona
maiN chaahat teri barmalaa chaahatee hooN
6. miree KhuwaahishoN ki koii Hud nahiN hai
maiN kaise bataaooN maiN kya chaahatee hooN
7. mere sher per naaz se "waah" kahna
teri daad mein bhi adaa chaahatee hooN
8. ibaadat samjhkar wafa ki thee :Saara:
agar yeh KhaTa hai sazaa chaahatee hooN [/align]
[align=center]
[/align]
azeezah sara sahebah
behtareen ghazal hai yeh aapki.
is kaamiyaab kaavish per hamaaeri dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose :rose :rose .
allah(sbhnwt)karay zorayq alam aur ziyaadah
aapka bhai
haamidbaaqari
Posted: Tue Sep 11, 2007 5:51 pm
by Sohail Malik
Sara ji aadab
aap ki ghazal dekhi aur bohat pasand ayi khasusen yeh sher
mere sher per naaz se "waah" kahna
teri daad mein bhi adaa chaahatee hooN
meri janib say daad qabi kijiay
faqet
sohail malik