Page 1 of 1

Urdu Anjuman ke liye mere TaraHee Ghazal

Posted: Sun Sep 09, 2007 8:31 pm
by jawaid badauni
Azeezo wa dosto!
aadaab

Bohat din bAAd Urdu Anjuman ke mushaireh meN shirkat ki saAdat HaaSil ki hai. Iss baar Ghazal kuch riwaayatee mazameen se haTkar ho gaii hai. Aadmi ki puraanee aadateN itni aasaani se kahaN jaati haiN. Koii sher pasaNd aaye doa doa se nawaziyega.

Aapka MUKhliS
Jawaid Badauni




koochaa.e yaar hai kya wasl ki raahat kya hai
“aaj mujhpe yeh khoola raaz keh jannat kya hai”


tum bhi ab maaiil.e ulfat ho yeh achcha hai magar
tumheN mAlum hai anjaam.e moHabbat kya hai ?


ek muflis ki qanaa'At ke maHal ke aage
SaaHib.e zar tiree daulat ki Haqeeqat kya hai


doosrey haath ko mAlum nah ho yuuN deeje
jiska maqSad ho numaiish woh saKhawat kya hai


ek daanaa se nah poocho keh junooN cheeez hai kya
yeh to wahshee hi bataa paayeega waihshat kya hai


awwal.e shub se nah muztar ho keh aane waala
aaKhire shub meN bhi aa sakta hai ujlat kya hai


Aa gaya apni Ghazal leke yahaN bhi “Jawaid”
“Anjuman” waloN ko ab us se shikaayat kya hai ?

Posted: Mon Sep 10, 2007 8:37 am
by muhammad_19k
moHataram janab Jawaid SaHeb

aap ki har ghazal 'umooman to achhchi hoti hai laikin khaaS baat ye hai ke us meN koi aik aadhaa sher aisaa bhi hotaa hai jo dil ke tamaam jazboN ke cheertaa huwaa gehra-oN ko sairaab kartaa hai.

ek muflis ki qanaa'At ke maHal ke aage
SaaHib.e zar tiree daulat ki Haqeeqat kya hai


dheroN daad qubool kijiaye.

mukhilS,
Muhamamd K. Siddiqui.

Posted: Mon Sep 10, 2007 9:15 am
by jawaid badauni
muhammad_19k wrote: moHataram janab Jawaid SaHeb

aap ki har ghazal 'umooman to achhchi hoti hai laikin khaaS baat ye hai ke us meN koi aik aadhaa sher aisaa bhi hotaa hai jo dil ke tamaam jazboN ke cheertaa huwaa gehra-oN ko sairaab kartaa hai.

ek muflis ki qanaa'At ke maHal ke aage
SaaHib.e zar tiree daulat ki Haqeeqat kya hai


dheroN daad qubool kijiaye.

mukhilS,
Muhamamd K. Siddiqui.

Azeezi Khawar SaaHab doa

Bhaii agar ek sher bhi aisa ho jaye tou samajhiye keh mehnat woSool huuwii. MaiN bohat saadgee se kahne ka qaaiil hooN isee liye mera paiGham baasaani diloN tak pahooNch jata hai. Aap ka bohat bohat shukriya.

MuKhliS

Jawaid Badauni

Posted: Sat Sep 15, 2007 9:43 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib aadaab! :-)

Aap kee tazah Ghazal dekhne ka maoqa' mila. kiya kehne kalam aap ke makhSooS aor maanoos andaaz meN hai. saadah aor purkaaree kaa haseeN imteyaaz Ghazal ke sabhee asha'aar ko khubSurat bana raha hai. mujhe sabhee she'er pasand aae haiN. is liye keh sab she'er az khud mat^lab khez haiN. aor saal ha saal ke tajrube kaa nichooR haiN.

meree janib se is khubSurat Ghazal par dilee daad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar