Page 1 of 1
"hum zamaanay meiN kaamraaN honge"tarhi ghazal aap
Posted: Tue Sep 11, 2007 7:07 am
by haamidbaaqri
Asslaam o alaikum
dosto
bahut dinoN baad apni ik nayee kaacish lekar haazir huay haiN
gar qubool uftad zahay....
arz kiya hai....
yeh nah poocho keh hum kahaaN honge
haq jahaaN hauga hum wahaaN honge
humnay daaman nabi(s)ka thaama hai
hum zamaanay meiN kaamraaN honge
aayegee jab qiyaamate kubraa
jo nishaaN haiN woh benishaaN honge
nafsaa nafsee ka hauga woh 'aalam
rishte naate wahaaN kahaaN honge
khudgharaz log hi yeh kehtay haiN
"aap kis kis pe meherbaaN honge"
tum riyaakaar mat bano haamid
warna 'aamaal raayegaaN honge
nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah
Posted: Thu Sep 13, 2007 9:36 pm
by waQaar
Haamid bh~aaii,
Salaam!
aapki ghazal pasand aa,ii. merii dilii daad qubool kee jiYay!
waQaar :)
shukriya
Posted: Wed Sep 19, 2007 8:55 am
by haamidbaaqri
waQaar wrote:Haamid bh~aaii,
Salaam!
waqaar bhai
aapki ghazal pasand aa,ii. merii dilii daad qubool kee jiYay!
bahut bahut shukriya aapka
jazakallah
waQaar :)
haamidbaaqari
Posted: Wed Sep 19, 2007 11:00 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]moHtaram Biradaram Haamid Baaqri SaaHib Assalam Alikum!
salamat baashad!
munfarid aor eemaanafrooz kalam aaj ke daor meN a'nqaa howaa jataa hai. aaj kee Ghazal bhee mua'asharatee aor samaajee masaai'l ke iz^haar kee bheenT chaRhtee dikhaaee detee hai. naz^m kaa bhee woh pehle saa mea'aar nah rahaa. inshapardazooN ne apnee meelan-e-t^abia'at kaa rukh aazaad-o-nacaree naz^m kee janib maooR diyaa hai. aese meN aap kee rashHaat-e-qalam tabarruk kaa darajah rakhtee haiN. Z^arurat hai keh is Ganj-e-lafz^-o-moa'anee ko qadr kee nigah se dekhaa jae. aor har fard apnaa apnaa tazkiyah-e-nafs karne kaa ehtemaam gar ho jae.
meree tamaam arakeen-e-meHfil-e-Urduduniya se iltemaas hai keh woh aap ko bhar poor andaaz meN in kaawishooN par kheraaj-e-teHseen pesh kar ke aap kaa jaae'ij Haq aap ko deeN.
laug yeh qabr meiN kehtay huay aaye ghar say
apnay ghar hum haiN chalay aaye paraaye ghar say
maashAhha!
hum samajhtay thay keh daulat hai hamaari lekin
uska ik hissah bhi hum laa nahiN paaye ghar say
mashAllah!
badee mehnat say kamaayee thee woh daulat humnay
muft meiN dekay kisee aur kau aaye ghar say
mashallah!
jau kahaa kartay thay hum saath nahiN chaureNge
wohi dafnaanay hameN kaandhoN pe laaye ghar say
mashAllah!
ik mufakkir nay jau daali hai nazar duniya per
"kabhie sehra kabhie darya nazar aaye ghar say"
mashAllah
qaulay ahmed(sawaw) yeh zamaanay kau sunaado haamid
sirf eemaano amal saath meiN jaaye ghar say
mashAllah!
meree janib se is eeman afrooz aor rooHparwar kalam par dil kee gehraiyooN se mubarak baad aor daad qubool keejiye.
Allah aap kee taHareer-o-taqareer meN barakat Daal de aor zamanah ke dilooN se kadurat kaa gard-e-kohnah door farma kar eemaan ka daae'mee noor bhar de. Aameen!
Wassalam
mukhliS
Muzaffar A Muzaffar [/align]