Page 1 of 1

Nazm --- Juda deeN hay juda duniya

Posted: Wed Sep 12, 2007 12:27 pm
by Sohail Malik
Azeezan e bazm assalam o alaekum

aap ki khidmet maiN aik nazm pesh kerta huN

apni raey say nawaziay ga

faqet sohail malik

Posted: Wed Sep 12, 2007 9:20 pm
by waQaar
moHtaram Sohail Saaheb,

aadaab,

vaah Saaheb! aap barmalaa kehtay gaye aur kamaal ker gaye.

"salaam-e-shoq ko soCha hay ab haaye say badlaiNgay
khuda haafiZ^ puraana ho gaYa Baaye say badlaiNgay"
vaah! bahut khoob!

"adab ka kaam jinsi wehShatoN kii naghmah saazi hay
tawajjuh ka YahaaN markaz faqat 'iShq-e-majaazi hay"
is baat per aapko jitni daad dooN kam hay.

khuda keray aapki baat door door tak puhaNch sakay. Allaah aapko mazeed t^aaqat-e-guftaar 'at^aa keraiN! aameen!

waQaar :)

Posted: Thu Sep 13, 2007 11:35 am
by Sohail Malik
waQaar wrote:moHtaram Sohail Saaheb,

aadaab,

vaah Saaheb! aap barmalaa kehtay gaye aur kamaal ker gaye.

"salaam-e-shoq ko soCha hay ab haaye say badlaiNgay
khuda haafiZ^ puraana ho gaYa Baaye say badlaiNgay"
vaah! bahut khoob!

"adab ka kaam jinsi wehShatoN kii naghmah saazi hay
tawajjuh ka YahaaN markaz faqat 'iShq-e-majaazi hay"
is baat per aapko jitni daad dooN kam hay.

khuda keray aapki baat door door tak puhaNch sakay. Allaah aapko mazeed t^aaqat-e-guftaar 'at^aa keraiN! aameen!

waQaar :)
waqar bhai salam

aap nay is nazem ko achhi nigah say dekha so mamnun huN maiN.

jo jaisay dekha samjha bayan ker dia ho sakta hay kissi ko lagay keh apnay hi dil ki baat hay aur koi kehay keh yeh kia keh raha hay aur koi kehay keh yeh koi shaeri hay jis maiN nah kakulo gaisu haiN nah labo rukhsaar, nah husn o ishq hay nah ishwa o ada.... is ko peRh ker kiuN apna waqt barbaad keraiN.

baharhaal jab qalem uThaya hi hay to ik qarz wajib hay ehl e qalem per jo kcuh ko to chukana hi hay.

behteri ki dua kijiay

sohail malik

Posted: Thu Sep 13, 2007 11:58 am
by muhammad_19k
Doctor SaHeb

aik achchi koshish par mubaarak baad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Thu Sep 13, 2007 12:19 pm
by muhammad_19k
Doctor SaHeb

aik achchi koshish par mubaarak baad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.