Page 1 of 1

Aik Ghazal

Posted: Wed Sep 19, 2007 11:44 am
by m.naeem.sameer
Haazreen e meHfil

aadaab.

aik kaavish aapki khidmat maiN paish kar raha hoN. aaraa se navazye gaa.

safar maiN dhoop nah rastoN maiN saaybaan abhi
toh hum ney Theek se dekha nahi jahaan abhi

nigaah e naaz e takallum maiN koi baat nahiN
ye baat jaan gaya hai ye badgumaan abhi

abhi maiN kya? keh abhi aik Tifle maktab hoN
suKhan ka shoaq hai puKhtah kahaN bayaan abhi

tamaam raat sitaray thay aur nah chaand koi
so meri subha ka suraj hai badgumaan abhi

maiN apne aap se nikla nahiN kabhi baahir
HadeiN Uboor toh karta hai par gumaan abhi

falak ko ChoR diya tha kabhi zameeN keh liye
so mujh ko dekhta rehta hai aasmaan abhi

sitam toh ye hai keh jo aaiNah dikhata tha
yeh kya huwa ke wo karta hai badgumaan abhi

HuSool e naan o namak maiN hon isqadar maSroof
keh apne aap pe daita nahi maiN dhyaan abhi

Ajab nahiN woh kabhi HaaSil e suKhan tha SAMEER
woh jis ka naam bhi laiti nahi zubaan abhi

Taalib e duaa

M.Naeem SAMEER

Posted: Thu Sep 27, 2007 6:07 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]moHtaram M,N, sameer SaaHib aadaab!

Aap kee Ghazal dekhee. har miSra'h-o-she'er rooH parwar aor jaandaar hai. takhaiyuul baland hai. Zaor-e-kalam bhee khoob hai. asha'aar ko dekh kar aap kee khud aa'temadee kaa pataa miltaa hai. Allah kare Zaor-e-qalam aor zeyadah!

safar maiN dhoop nah rastoN maiN saaybaan abhi
toh hum ney Theek se dekha nahi jahaan abhi

Bohot khoob! Waah!

nigaah e naaz e takallum maiN koi baat nahiN
ye baat jaan gaya hai ye badgumaan abhi

Kiyaa kehne!

abhi maiN kya? keh abhi aik Tifle maktab hoN
suKhan ka shoaq hai puKhtah kahaN bayaan abhi

Bohot khoob! Waah!

tamaam raat sitaray thay aur nah chaand koi
so meri subha ka suraj hai badgumaan abhi

Waah Waah!

maiN apne aap se nikla nahiN kabhi baahir
HadeiN Uboor toh karta hai par gumaan abhi

Waah Waah!

falak ko ChoR diya tha kabhi zameeN keh liye
so mujh ko dekhta rehta hai aasmaan abhi

Waah waah!

sitam toh ye hai keh jo aaiNah dikhata tha
yeh kya huwa ke wo karta hai badgumaan abhi

Waah! Waah Waah!

HuSool e naan o namak maiN hon isqadar maSroof
keh apne aap pe daita nahi maiN dhyaan abhi

Kiyaa kehne!

Ajab nahiN woh kabhi HaaSil e suKhan tha SAMEER
woh jis ka naam bhi laiti nahi zubaan abhi

Kiyaa kehne waah!

meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

bazm meN Aap kee maojudagee dil khush kun hai. tashreef late rahiye aor apne khubSurat kalam se mustafeed hone kaa maoqa'h faraham karte raheeN.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

[/align]

Re: Aik Ghazal

Posted: Sat Sep 29, 2007 11:26 am
by m.naeem.sameer
m.naeem.sameer wrote:Haazreen e meHfil

aadaab.

aik kaavish aapki khidmat maiN paish kar raha hoN. aaraa se navazye gaa.

safar maiN dhoop nah rastoN maiN saaybaan abhi
toh hum ney Theek se dekha nahi jahaan abhi

nigaah e naaz e takallum maiN koi baat nahiN
ye baat jaan gaya hai ye badgumaan abhi

abhi maiN kya? keh abhi aik Tifle maktab hoN
suKhan ka shoaq hai puKhtah kahaN bayaan abhi

tamaam raat sitaray thay aur nah chaand koi
so meri subha ka suraj hai badgumaan abhi

maiN apne aap se nikla nahiN kabhi baahir
HadeiN Uboor toh karta hai par gumaan abhi

falak ko ChoR diya tha kabhi zameeN keh liye
so mujh ko dekhta rehta hai aasmaan abhi

sitam toh ye hai keh jo aaiNah dikhata tha
yeh kya huwa ke wo karta hai badgumaan abhi

HuSool e naan o namak maiN hon isqadar maSroof
keh apne aap pe daita nahi maiN dhyaan abhi

Ajab nahiN woh kabhi HaaSil e suKhan tha SAMEER
woh jis ka naam bhi laiti nahi zubaan abhi

Taalib e duaa

M.Naeem SAMEER
================================================

moHtaram muZaffer Ahmed muZaffer SaaHib,

aadaab.

naa cheez ki Ghazal ko sarahnay ka bohat bohat shukriah! taQreeban 10 din say maiN aur meri Ghazal is bazm ka hiSSa hain lekin koi bhi reply nah aaney per bayHad mayuusii thi so aap nay woh kaCar puuri kar di, is keh liye banda bayHad mamnoon hail.

Tifl e maktab

M.Naeem Sameer

Posted: Wed Oct 03, 2007 10:54 am
by sonu
MNS SAHEB
aap ki ghazal bahut pasand aai

Ajab nahiN woh kabhi HaaSil e suKhan tha SAMEER

woh jis ka naam bhi laiti nahi zubaan abhi
daad hazir hai sirf soun

Posted: Wed Oct 03, 2007 10:55 am
by sonu
MNS SAHEB
aap ki ghazal bahut pasand aai

Ajab nahiN woh kabhi HaaSil e suKhan tha SAMEER

woh jis ka naam bhi laiti nahi zubaan abhi
daad hazir hai sirf soun

Posted: Wed Oct 03, 2007 8:47 pm
by m.naeem.sameer
sonu wrote:MNS SAHEB
aap ki ghazal bahut pasand aai

Ajab nahiN woh kabhi HaaSil e suKhan tha SAMEER

woh jis ka naam bhi laiti nahi zubaan abhi
daad hazir hai sirf soun
=========================================================
Janab Sonu SaaHib.

aadaab.

Ghazal ki pazeeraaii keh liye bayHad mamnoon hoN. shukriyah.

mamnoon

Sameer

Posted: Wed Oct 03, 2007 9:12 pm