Page 1 of 1
Muhammad Azam Chishti RA
Posted: Thu Sep 20, 2007 12:04 pm
by muhammad_19k
Dosto,
is meN kyaa shak hai ke urdu adab ke ufaq par bohat se gumnam sitaray apni roshni nichaawar karte rahay heN. un hi meN se aik naam janab Muahmmad Azam Chishti RA ka hai. meN khud ko is qaabil naheeN paata ke un ka t'aaruf karwaa-sakooN. is leeaye un ki takhleeqat gaahay bigaghay pesh karta rahooN ga ke un fan kaa aap ko andaza ho sake.
Regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Posted: Thu Sep 20, 2007 12:07 pm
by muhammad_19k
ye aarzoo naheeN hai ke qaaim ye sir rahay.
mairi dua to hai ke tairaa saNg e dar rahay
aye saaqi tairi khair, taire maikaday ki khair,
aisi pilaa ke jis ka nashaa umr bhar rahay
furqat ki sakhtiaN mujhe manzoor heN magar
itnaa zaroor ho ke tujhe bhi khabar rahay.
aye jaan e jaaN tu hi to hai maqSood kaainat
maira nishaaN rahay na rahay, tu magar rahay
AZAM ye aarzo hai ke marne ke waqt bhi
Soorat Huzoor ki miray pesh e nazar rahay.
Posted: Thu Sep 20, 2007 12:16 pm
by muhammad_19k
aaj phir dard ki shiddat hai khudaa khair karay
josh par phir mairi weHshat hai khudaa khair karay
phir tairi yaad ne cheRa maire armaanoaN ka
phir taire milne ki Hasrat hai khudaa khair karay
mairi faryaad bhi sun-nay ki jisay taab naheeN
aise bay dard se ulfat hai khudaa khair karay
aakhiri waqt meN aa-aye to lagay yooN kehna
maire aazam ki ye haalat hai khudaa khair karay.
Posted: Thu Sep 20, 2007 6:44 pm
by muhammad_19k
nigaah hi se mujhe kuch pilaa ke chhoR diyaa.
khudi ke putlay ko bay khud banaa ke chhoR diyaa
na uTh sake ga qiyaamat talak khudaa ki qasam
k jis ko tu ne nazar se giraa ke chhoR diyaa
hamaari aankhoN ne zarray bhi chun leeaye us ke
tumhaaray jalway ne jis ko jalaa ke chhoR diyaa
tiri nigaah ki sar masteeyoN ka kyaa kehnaa
ko mujh ghareeb ko weHshi banaa kar chhoR diyaa
khudaa ke waastay 'aazam ko dar se door na kar
kahay gi khalq ke apnaa banaa ke chhoR diyaa.
Posted: Fri Sep 21, 2007 6:03 am
by muhammad_19k
bulaa ke paas kissi fitna gar ne looT leeyaa
mareez e dard ko khud chaara gar ne looT leeyaa
na pooch qiSSa e shab haaye intzaar na pooch
kissi Haseen ki shaam o seHar ne looT leeyaa.
kahaaN mujaal ke phir aarzoo-aye deed kareN
hameN to aap ki pehli nazar ne looT leeyaa
hai phir talaash ussi sang e dar ki ay :azam:
hamray sajdoN ko jis sang e dar ne looT leeyae
Posted: Mon Sep 24, 2007 7:36 am
by muhammad_19k
kis t^arH kahooN, kaise kahooN, kyaa daikh rahaa hooN
har Husn ke parday meN khudaa daikh rahaa hooN.
Hairan hooN kis qism ki ye jalwaa gari hai.
hay sab meN magar sab se judaa daikh rahaa hooN.
naSeH ki nazar maire gunaahoN pe hai laikin
meN reHmat baari ki adaa daikh rahaa hooN.
kis shokh ne ulTa hai niqaab e rukh e zaibaa
kyooN wajd meN aaj arz o samaa daikh rahaa hooN
daikh a dil e naadaN kissi dhookay meN na aanaa
badli hoee duniyaa ki hawaa daikh rahaa hooN
AZAM yehi takhleeq e tamanna ka sabab hai.
us Husn meiN meN noor khudaa daikh rahaa hooN.