Page 1 of 1

ek zameen aur teen shaa,i'r: "Ghalib", "Dagh&

Posted: Thu Sep 20, 2007 5:01 pm
by Sarwar A. Raz
[align=center]Ek Zameen,Teen Shaa,i'r: "Ghalib", "Dagh" aur "Amir" Minai

Sarwar A. Raz "Sarwar"

ham sab Mirza "Ghalib" kee mash,hoor Ghazal "yeh neh thee hamaaree qismat, keh wiSaal-e-yaar hotaa" se baKhoobee waaqif haiN. nah Sirf is ko saikRoN jagah paRh chuke haiN bal.k kitne hee guloo-kaaroN ne apnee aawaaz ke jaadoo se is ko jaawidaaN banaa diyaa hai. yeh Ghazal apne zamaaneh meN bhee nihaayat maqbool huyee thee. "Amir" Minai ke shaagird Mumtaz Ali "Aah" ne apnee kitaab :Seerat-e-Amir Ahmad "Amir" Minai: meN likhaa hai keh :go Mirza kaa kalaam jin anmol jawaahar se maalaamaal hai un ke saamne yeh Ghazal kuchh ziyaadah aab-o-taab naheeN rakhtee, magar is kaa bohat charcahaa aur shuhrat thee:. "Amir" Minai us zamaaneh meN (lag-bhag 1860 meN) Nawab Yousuf Ali Khan "Nazim" waalee-e-Rampur ke darbaar se munsalik the. Nawab SaaHeb kee farmaa,ish par is zameen meN unhoN ne bhee ek Ghazal kahee thee jo :Ghazal-1: le teHt neeche dee gayee hai. "Amir" Minai bohat bisyaar-go the (ya'nee ziyaadah kehne waale). unhoN ne isee zameen meN ek aur Ghazal bhee kahee thee jo yahaaN :Ghazal-2: ke naam se dee jaa rahee hai. Mirza "Dagh" Dehlavi ne bhee Nawab Rampur kee farmaa,ish par isee zameen meN Ghazal kahee thee. woh bhee pesh-e-Khidmat hai! ummeed hai keh yeh peshkash aap ko pasand aaYe gee.

**************************

Mirz Asadullah Khan "Ghalib"

yeh nah thee hamaaree qismat keh wiSaal-e-yaar hotaa
agar aur jeete rehte, yehee intiz^aar hotaa!

tir wa'deh par jiYe ham to yeh jaan jhooT jaanaa
keh Khushee se mar nah jaate agar e'tibaar hotaa?

tiree naazukee se jaanaa keh baNdhaa thaa e'hd boodaa
kabhee to nah toR saktaa agar ustawaar hotaa

koyee mere dil se poochhe tire teer-e-neemkash ko
yeh Khalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hotaa?

yeh kahaaN kee dostee hai keh bane haiN dost naaSeH
koyee chaarah-saaz hotaa, koyee Gham-gusaar hotaa!

rag-e-saNg se Tapaktaa woh lahoo keh phir nah thamtaa
jise Gham samajh rahe ho woh agar sharaar hotaa

Gham agar-cheh jaaN-gusil hai, peh kahaaN bacheN ke dil hai
Gham-e-i'shq gar nah hotaa, Gham-e-rozgaar hotaa!

kahooN kis se maiN keh kyaa hai, shab-e-Gham buree balaa hai
mujhe kyaa buraa thaa marnaa agar ek baar hotaa!

huwe mar ke ham jo ruswaa, huwe kyoN nah Gharq-e-daryaa
nah kabhee janaazah uThtaa, nah kaheeN mazaar hotaa!

use kaun dekh saktaa keh yagaanah hai woh yaktaa
jo du,ee kee boo bhee hotee to kaheeN do-chaar hotaa!

yeh masaa,il-e-taSawwuf, yeh tiraa bayaan "Ghalib"
tujhe ham walee samajhte jo nah baadah-Khwaar hotaa!

*************************

Nawab Mirza Khan "Dagh" Dehlavi

a'jab apnaa Haal hotaa jo wiSaal-e-yaar hotaa
kabhee jaan Sadqe hotee kabhee dil nicaar hotaa!

koyee fitnah taa-qiyaamat nah phir aashkaar hotaa
tire dil peh kaash z^aalim mujhe iKhtiyaar hotaa!

jo tumhaaree t^araH tum se koyee jhooTe wa'de kartaa
tumheeN munSifee se keh do, tumheN e'tibaar hotaa/

Gham-e-i'shq meN mazaa thaa jo use samajh ke khaate
yeh woh zehr hai keh aaKhir mai-e-Khushgawaar hotaa

nah mazaa hai dushmanee meN, nah hee lut^f dostee meN
koyee Ghair Ghair hotaa, koyee yaar yaar hotaa!

yeh mazaa thaa dil-lagee kaa keh baraabar aag lagtee
maj tujhe qaraar hotaa, nah mujhe qaraar hotaa

tire wa'deh par sitamgar! abhee aur Sabr karte
agar apnee zindagee kaa hameN e'tibaar hotaa

yeh woh dard-e-dil naheeN hai keh ho chaarah-saaz koyee
agar ek baar miTtaa to hazaar baar hotaa

gaYe hosh tere zaahid! jo woh chashm-e-mast dekhee
mujhe kyaa ulaT nah detaa jo nah baadah-Khwaar hotaa?

mujhe maante sab aisaa keh u'doo bhee sajdah karte
dar-e-yaar Ka'bah bantaa jo miraa mazaar hotaa

tumheN naaz ho nah kyoN kar keh liyaa hai "Dagh" kaa dil
yeh raqam nah haath lagtee, nah yeh iftiKhaar hotaa!

**************************

Amir Ahmad "Amir" Minai

Ghazal-1

mire bas meN yaa to yaa Rab! wo sitam-shi,a'ar hotaa
yeh nah thaa to kaash dil par mujhe iKhtiyaar hotaa!

pas-e-marg kaash yooN hee mujhe waSl-e-yaar hotaa
woh sar-e-mazaar hotaa, maiN tah-e-mazaar hotaa!

tiraa maikadah salaamat, tire Khum kee Khair saaqee!
mira nashshah kyoN utartaa mujhe kyoN Khumaar hotaa?

mire ittiqaa kaa baa,ic to hai meree naa-tawaanee
jo maiN taubah toR saktaa to sharaab-Khwaar hotaa!

maiN hooN naa-muraad aisaa keh bilak ke yaas rotee
kaheeN paa ke aasraa kuchh jo umeed-waar hotaa

naheeN poochhtaa hai mujh ko koyee phool is chaman meN
dil-e-daaGhdaar hotaa to gale kaa haar hotaa

woh mazaa diyaa taRap ne keh yeh aarzoo hai yaa Rab!
mire donoN pehlu,oN meN dil-e-beqaraar hotaa!

dam-e-naza' bhee jo woh but mujhe aa ke muNh dikhaataa
to Khudaa ke muNh se itnaa nah maiN sharmsaar hotaa

nah malak sawaal karte, nah laHad fishaar detee
sar-e-raah-e-koo-e-qaatil jo miraa mazaar hotaa

jo nigaah kee thee z^aalik to phir aaNkh kyoN churaayee?
wohee teer kyoN nah maaraa jo jigar ke paar hotaa

maiN zabaaN se tum ko sachchaa kaho laakh baar keh dooN
usy kyaa karooN keh dil ko naheeN e'tibaar hotaa

miree Khaak bhee laHad miN nah rahee "Amir" baaqee
unheN marne hee kaa ab tak naheeN e'tibaar hotaa!

************************
Ghazal-2

nayee choTeN chalteeN, qaatil jo kabhee do-chaar hotaa
keh udhar se waar hotaa to idhar se waar hotaa

tire a'ks kaa jo qaatil! kabhee tujh peh waar hotaa
to nicaar hone waalaa yehee jaaN-nicaar hotaa

rahee aarzoo keh do-do tire teer saath chalte
koyee dil ko pyaar kartaa, koyee dil ke paar hotaa

tire naawak-e-adaa se kabhee haartaa nah himmat
jigar us se aage hotaa jo jigar ke paar hotaa

mire dil ko yooN miTaayaa keh nishaan tak nah rakkhaa
maiN lipaT ke ro to letaa jo kaheeN mazaar hotaa!

tire teer kee Khat^aa kyaa, miree HasratoN ne rokaa
nah lipaTtee yeh balaaYeN to woh dil ke paar hotaa

maiN jiyooN to kis kaa ho kar naheeN koyee dost meraa
yeh jo dil hai dushman-e-jaaN yehee dostdaar hotaa

mire phooloN meN jo aate to naYe woh gul khilaate
keh kalaa,iyoN meN gajre to gale meN haar hotaa

tire nannhe dil ko kyoN kar miree jaan maiN dikhaataa
woh dhaRakne kyaa nah lagtaa jo maiN beqaraar hotaa?

miraa dil jigar jo dekhaa to adaa se naaz bolaa
yeh tiras shikaar hotaa, woh miraa shikaar hotaa

sar-e-qabr aate ho tum jo baRhaa ke apnaa gehnaa
koyee phool chheen letaa jo gale kaa haar hotaa

dam-e-ruKhSat un kaa kehnaa keh yeh kaahe kaa hai ronaa?
tumheN meree qasmoN kaa bhee naheeN e'tibaar hotaa?

maiN nicaar tujh peh hotaa to raqeeb jaan khotaa
maiN tiraa shikaar hotaa, woh miraa shikaar hotaa

shab-e-waSl too jo beKhudh no huwaa "Amir" chookaa
tire aane kaa kabhee to use intiz^aar hotaa

************************ [/align]

Posted: Thu Sep 20, 2007 5:14 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]moHtaram Sarwar A'lam Raz Sarwar SaaHib aadaab!

Aek zameen teen shaae'ir "Ghalib", "Dagh" aur "Amir" Minai khub rahe lekin kiyaa hee achchaa hotaa keh aap kee jaanib se bhee aek numunah-e-Ghazal a't^aa hotaa. aap a'Sr-e-HaaZ^ir ke jaane maane naabGhah-e-rooZGaar haiN. aor fan-e-shaae'iree meN "yad-e-t^olaa" rakhte haiN. agar aap ke asha'aar bhee shaamil ho jate to tab chaar shaae'ir ho jate aor tab ham kuch faeSlah karte keh kaon behtar raha.

GharZ^ yeh zameen bohot mashhoor hoee. aor chand Ghaer ma'aroof shua'raa ne bhee is zameen meN khoob GhooRe daorae haiN. Ghazliyaat ke yeh numune dekh kar chand she'er mujh se bhee ho gae haiN. inshAllah jald hee pesh karooN gaa. tab tak aap ke asha'aar kaa shiddat se intez^aar rahe gaa. maiN taqaabulee fiZ^aa naheeN paedah karnaa chahtaa. lekin "har Gul-e-raa ranG-o-bu-e-deegar ast" ka naqshah dekhne kaa mutamannee Z^aroor hooN. deegar dost bhee t^aba' aazmaa kar mamnoon farmaeeN.

baaqee Hadd-e-adab!
Muz^affar
[/align]