Page 1 of 1

kahiN vaaiz walii na ho jaaye

Posted: Tue Feb 15, 2005 9:28 am
by fatimah
aslaam_u_alikam

urdudan per aik misra taraa diya gayaa thaa.
main ney bhi us per kuch likhney ki koshish ki hey.
ummed kerti hun aap sab apnii kimatii aara sey nawazein gey.


dard-e-dil daaimii na ho jaaye
hijr hi zindagii na ho jaaye

mujh ko her waqt ye gumaan raha
"kahiN vaaiz walii na ho jaaye "

tujh se mansoob ik ta’alluq hai
ye kahiN arzii na ho jaaye

naftratoN ney diloN ko baNTaa hai
door ham se khusii na ho jaaye

mere alfaaz kho gaye hain sahar
kahmushi zindagi na ho jaaye.


shukriya

Bahut khoob Fatimah waah waah

Posted: Tue Feb 15, 2005 10:06 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
FATIMAH Saahibah,


Purkhuloos Tasleemaat,

Waah waah Fatimah, kiyaa hii khoobsoorat ghazal paish kii hei aap ne.

dard-e-dil daaimii na ho jaaye
hijr hi zindagii na ho jaaye


Bahut khoob MaTlaH hei lekin maiN is khauf ko nazar meiN rakhte houe aapke liye duAaa karungaa ke aisaa kabhi nah hou.


mujh ko her waqt ye gumaan raha
"kahiN vaaiz walii na ho jaaye "


Girah meiN lafz "guman" bahut hii mani khez hei.

tujh se mansoob ik ta’alluq hai
ye kahiN arzii na ho jaaye


Yeh sheAr bhii bahut khoob hei waah waah lekin Fatimah is per bhii maiN duAaa karungaa ke aisaa kabhi nah hou.

naftratoN ney diloN ko baNTaa hai
door ham se khusii na ho jaaye


Waah Waah waah waah bahut hii khoob Fatimah, kiyaa kehne, yeh sheAr tou her liHaaz se Haasil-e-ghazal hei. Bahut hii khoob.

mere alfaaz kho gaye hain sahar
kahmushi zindagi na ho jaaye.


MaqTah bhii bahut achchaa hei. Zindagi meiN ba'z auqaat aisi bhii ghaRyaaN aajaati heiN jab aek maayoosi kaa saa Aalam houtaa hei aur shayer yaa shayerah uskaa izhaar karne per majboor houjaate heiN. Aise izhaar kii vajah se dil kaa boujh halkaa houjaataa hei. Yeh bahut hii achchi baat hei.

Aapki yeh ghazal bahut pasand aayi. Daad aur mubarakbad qubool keejiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]

Re: kahiN vaaiz walii na ho jaaye

Posted: Tue Feb 15, 2005 11:11 am
by Raji
fatimah wrote:aslaam_u_alikam

urdudan per aik misra taraa diya gayaa thaa.
main ney bhi us per kuch likhney ki koshish ki hey.
ummed kerti hun aap sab apnii kimatii aara sey nawazein gey.

Waliakum Assalam Jeeti raho, khush raho,
bilkul bilkul ham apnee aaraa naheiN deNge tu aur kaun de gaa :wink:


dard-e-dil daaimii na ho jaaye
hijr hi zindagii na ho jaaye
inshaAllah aisaa kabhi naheiN ho gaa hamaree dua^en tumhare saat hai :)

mujh ko her waqt ye gumaan raha
"kahiN vaaiz walii na ho jaaye "
hunmmm baat tu bohat kaam kee hai :)

tujh se mansoob ik ta’alluq hai
ye kahiN arzii na ho jaaye
wah sis :)

naftratoN ney diloN ko baNTaa hai
door ham se khusii na ho jaaye
jee bilkul teak farmaayaa aap ne I agree

mere alfaaz kho gaye hain sahar
kahmushi zindagi na ho jaaye.

wah wah wah kyaa baat hai :sahar: jee, ham ne tu pehle hee kaha thaa ke Fatimaa bohat tezi se aage baRhtee jaa rahi hai :)

Meree janib se dilee daad aur mubarakbaad qubool karo verna :wink:


shukriya

Walikum Shukriya

Posted: Tue Feb 15, 2005 12:53 pm
by Shummu
dard-e-dil daaimii na ho jaaye
hijr hi zindagii na ho jaaye

tujh se mansoob ik ta’alluq hai
ye kahiN arzii na ho jaaye

mere alfaaz kho gaye hain sahar
kahmushi zindagi na ho jaaye.
wah fatima..bahut khoob.. ! :)

Shumaila

Re: Bahut khoob Fatimah waah waah

Posted: Wed Feb 16, 2005 1:58 pm
by fatimah
WEBMASTER wrote:
MuHtaramah
FATIMAH Saahibah,


Purkhuloos Tasleemaat,

Waah waah Fatimah, kiyaa hii khoobsoorat ghazal paish kii hei aap ne.

dard-e-dil daaimii na ho jaaye
hijr hi zindagii na ho jaaye


Bahut khoob MaTlaH hei lekin maiN is khauf ko nazar meiN rakhte houe aapke liye duAaa karungaa ke aisaa kabhi nah hou.


mujh ko her waqt ye gumaan raha
"kahiN vaaiz walii na ho jaaye "


Girah meiN lafz "guman" bahut hii mani khez hei.

tujh se mansoob ik ta’alluq hai
ye kahiN arzii na ho jaaye


Yeh sheAr bhii bahut khoob hei waah waah lekin Fatimah is per bhii maiN duAaa karungaa ke aisaa kabhi nah hou.

naftratoN ney diloN ko baNTaa hai
door ham se khusii na ho jaaye


Waah Waah waah waah bahut hii khoob Fatimah, kiyaa kehne, yeh sheAr tou her liHaaz se Haasil-e-ghazal hei. Bahut hii khoob.

mere alfaaz kho gaye hain sahar
kahmushi zindagi na ho jaaye.


MaqTah bhii bahut achchaa hei. Zindagi meiN ba'z auqaat aisi bhii ghaRyaaN aajaati heiN jab aek maayoosi kaa saa Aalam houtaa hei aur shayer yaa shayerah uskaa izhaar karne per majboor houjaate heiN. Aise izhaar kii vajah se dil kaa boujh halkaa houjaataa hei. Yeh bahut hii achchi baat hei.

Aapki yeh ghazal bahut pasand aayi. Daad aur mubarakbad qubool keejiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]

aslaam_u_alikam

janab mohtaram nazir.

meri gazal per aap ka tabsirah yaqeenan merey liye kisii ezaaz sey kam nahin.
our us sey bhi zayada khushkismatii ki baat merey liye yeh hey keh meri yeh adna si koshish aap ko pasand aayii hey.

mian tah_e_dil sey aap ki mumnoon hun.
ese hi rehnumaai fermaatey rahiye.
ALLAH aap ko sehat sey bherpor zindagii dey
ameen

shukriya

Re: kahiN vaaiz walii na ho jaaye

Posted: Sat Feb 19, 2005 9:18 am
by fatimah
Raji wrote:
fatimah wrote:aslaam_u_alikam

urdudan per aik misra taraa diya gayaa thaa.
main ney bhi us per kuch likhney ki koshish ki hey.
ummed kerti hun aap sab apnii kimatii aara sey nawazein gey.

Waliakum Assalam Jeeti raho, khush raho,
bilkul bilkul ham apnee aaraa naheiN deNge tu aur kaun de gaa :wink:


dard-e-dil daaimii na ho jaaye
hijr hi zindagii na ho jaaye
inshaAllah aisaa kabhi naheiN ho gaa hamaree dua^en tumhare saat hai :)

mujh ko her waqt ye gumaan raha
"kahiN vaaiz walii na ho jaaye "
hunmmm baat tu bohat kaam kee hai :)

tujh se mansoob ik ta’alluq hai
ye kahiN arzii na ho jaaye
wah sis :)

naftratoN ney diloN ko baNTaa hai
door ham se khusii na ho jaaye
jee bilkul teak farmaayaa aap ne I agree

mere alfaaz kho gaye hain sahar
kahmushi zindagi na ho jaaye.

wah wah wah kyaa baat hai :sahar: jee, ham ne tu pehle hee kaha thaa ke Fatimaa bohat tezi se aage baRhtee jaa rahi hai :)

Meree janib se dilee daad aur mubarakbaad qubool karo verna :wink:


shukriya

Walikum Shukriya

aslaam_u_alikam

aslaam_u_alikam

bohat bohat shukriya raji sis gazal ko pasand kerney ka our apnii arra deney ka.
bas esey hi reply kerti rehna.

shukriya