Ghazal: mujhe zindagee peh apnee agar iKhtiyaar hotaa!
Posted: Sat Sep 22, 2007 5:56 pm
[align=center]yaaraan-e-meHfil: aadaab!
Haal hee meN yahaaN Mirza "Ghalib" kee Ghazal :
"yeh nah thee hamaaree qisamt keh wiSaal-e-yaar hotaa"
kee t^araH meN Mirza "Dagh" Dehlavi aur HaZ^rat "Amir" Minai kee GhazleN pesh kee gayee theeN.
isee zameen meN maiN ne bhee kuchh kehne kee jasaarat kee hai. yeh Ghazal in asaatiZah kee Khidmat meN Khiraaj-e-a'qeedat ke t^aur par aaj yahaaN HaaZ^ir kar rahaa hooN.
yeh ek :farmaa,ishee: Ghazal hai, so is kee Haqeeqat ma'loom! lekin meree yeh waZ^aaHat kisee qism kaa :taHaffuz^: (disclaimer) naheeN hai! maiN ba-har-kaif Ghazal ke Husn-o-qubH kaa Zimmehdaar hooN!
aap kee raaYe aur tabSireh kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
***********************
GHAZAL
mujhe zindagee peh apnee agar iKhtiyaar hotaa
to maiN raah-e-aarzoo meN yooN Kharaab-o-Khwaar hotaa?
tujhe meraa, mujh ko teraa agar e'tibaar hotaa
nah too sharmsaar kartaa, nah maiN sharmsaar hotaa!
kiyaa too ne yeh GhaZ^ab kyaa, diyaa khol raaz-e-hastee?
nah maiN aashkaar hotaa, nah too aashkaar hotaa!
Gham-e-aarzoo meN jaaN par miree yooN agar nah bantee
koyee aur teraa saathee, dil-e-beqaraar! hotaa?
sar-e-bazm meree jaanib jo too uThtee gaahe gaahe
mujhe tujh se shikwah phir kyoN ai nigaah-e-yaar! hotaa?
nah maiN tujh se aashnaa hooN, nah hee Khud se baa-Khabar hooN
yeh maze kahaaN se milte agar hoshiyaar hotaa?
miree fikr dil-kushaa hai, miree baat be-riyaa hai
tujhe phir bhee yeh gilaa hai, maiN wafaa-shi,a'ar hotaa!
hai Khat^aa yeh i'shq lekin, yeh gunaah to naheeN hai!
maiN Khat^aa se taubah kartaa to gunaahgaar hotaa!
Gham-e-a'ashiqee huwaa hai Gham-e-zindagee meN shaamil
:mujhe kyaa buraa thaa marnaa agar ek baar hotaa:!
tiree ik Ghazal bhee "Sarwar" kisee kaam kee jo hotee
to Z^aroor shaa,i'roN meN tiraa bhee shumaar hotaa!
************************ [/align]