Page 1 of 1
ghazal -- yeh rahnawardi
Posted: Wed Sep 26, 2007 8:25 pm
by Sohail Malik
azeezan e bazm assalam o alaekum
aaj aik aisi ghazal pesh ker raha hun jo apnay amumi rujhaan say kuch haT ker kehi hay. guzarish hay keh is per apni baylaag raey zrur dijiay ga
faqet
sohail malik
Posted: Wed Sep 26, 2007 10:42 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Sohail Malik SaaHib aadaab!
Aap ne baRee khubSurat Ghazal se nawazah hai. sabhee she'er khubSurat aor dilkash haiN. aor aap kee musalsal meHnat aor zaor-e-qalam kaa kaa pataa de rahe haiN. meree janib dilee mubaral baad aor daad qubool keejiye.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar
Posted: Thu Sep 27, 2007 4:10 pm
by munir-armaan-nasimi
Main kya kahoon Sohail bhai saaheb.... Alfaaz nahin mil rahe hain... puri ghazal yon keh lein ke ek hi saans main padh li..... badi bahr main itni pur-kashish ghazal kabhi kabhar hi padhne ko milti hai.... mera yaqeen karein mujhe aap ki ghazal padhte hoye Hakeem Moumin Khan Moumin saaheb ki wohh ghazal yaad aayi jo mujhe behad pasand hai.....
Wo jo hum main tum mein Qaraar tha, tumhein yaad ho ke na yaad ho
Wahi yani waada nibaah ka, tumhein yaad ho ke na yaad ho
Alla'h kare zor-e-qalam aur ziyaada !!
Munir Armaan
Re: ghazal -- yeh rahnawardi
Posted: Sun Oct 07, 2007 1:15 pm
by tahira Masood
Sohail Malik wrote:azeezan e bazm assalam o alaekum
aaj aik aisi ghazal pesh ker raha hun jo apnay amumi rujhaan say kuch haT ker kehi hay. guzarish hay keh is per apni baylaag raey zrur dijiay ga
faqet
sohail malik
=D> =D> =D>
maire Khudaa!!!!!!!!!!! itneee khubSurat Ghazal aur mairee naZrtoN se ojhal rehi?
aik aik saher ghaZab kaa hai
laa jawaab!!! janaab
taair-e-takhyyul aap kaa kaafee buland perwaaz per maail hai
dlee daad HaaZir hai
qar qabul ...
Re: ghazal -- yeh rahnawardi
Posted: Wed Oct 10, 2007 2:04 pm
by m.naeem.sameer
Sohail Malik wrote:azeezan e bazm assalam o alaekum
aaj aik aisi ghazal pesh ker raha hun jo apnay amumi rujhaan say kuch haT ker kehi hay. guzarish hay keh is per apni baylaag raey zrur dijiay ga
faqet
sohail malik
sohail malik SaaHib, aadaab.
janab GhaZab ki rawangi aur bala ka tasalsul hai aap ki Ghazal maiN.
meri jaanib se itni behtareen Ghazal par bohat mubarkbaab aur daad HaaZir hai Qabool kijiye.
Taalib e duaa
Sameer