Page 1 of 1

GuZarish#33 ke liye miSra'h pesh-e-khidmat hai.

Posted: Sun Sep 30, 2007 11:36 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Yaaraan-e-meHfil-e-Urdubandhan :salaam2: ! :rose

RamaZ^aan-ul-Mubarak kee faZ^eelat aor afadiyat ko pesh-e-naz^ar rakhte huwe is maah na'tiyah mushaa'rah kaa iltizaam kiya Geya hai. aor is ke liye jo miSra'h muntakhib kiyaa geyaa hai. woh "taar-e-infaas-e-Ghazal" kee aek khubSurat na'at kaa hai. jo keh moHtaram A'bdullah Naz^ir SaaHib kaa dusraa majmoa'ah-e-kalam hai. lehaZah GuZarish#33 mah-e-rawaN ke liye miSra'h-e-t^arH pesh-e-khidmat hai.

!!~~~~~~~~"namaaZ paRhte raho rehnumaa kee baat karo"~~~~~~~~!!

Sadr-e-mushaa'irah: Janab A'bdullah Naz^ir SaaHib
Mehmaan-e-khuSuSee: Janab Hamid BaaQri SaaHib qaraar pae haiN.

BeHer kee is shakl kaa naam hai: beHer-e-MujtaC Makhboon MeHzoof.
Wazan: mu faa e' lun......fa e' laa tun.......mu faa e' lun.......fa e' lun
1212........1122........1212........112
slsl............ssll.........slsl...........ssl
//o//o......///o/o......//o//o........///o

Quwafi: rehnumaa, khuda, naQsh-e-paa, samaa, hawa, jzaa, jaZaa, saZaa, wafaa waGhaerah.
radeef: kee baat karo.

ijazut: Qaafiyah band miSra'h kaa aik hee qism ke vazn aur aik hee t^araH ke vazn per ikhtitaam hounaa chaahiye ya'nee(fa e' lun)

Ghair qaafiyah band miSra'h ke aakhiree rukn ko aSli vazn (fa'ilun) ke e'laawah (fe'lun, fe'Alaat, yaa fa'l'laat) ke vazn per isteAmaal karne ki ijaazut hei.

Ummeed hai keh sab dost apnee roHanee e'qeedat aor jazbah-e-eemanee kaa bharpoor andaaZ meN Cuboot faraham kareeN ge. jo dunyaa aor aakhirat meN baa barkat ho gaa. kiyaa khabar hamare do chaar she'er neekee ke palRe meN kitne bhaaree hooN. Allah kare keh woh ham sab kaa hadiyah-e-na'at apne HuZ^oor qubool-o-maqbool farmae :ameen: !

:allah_hafiz:
mutamannee-e-shirkat
intez^aamiyah Urdubandhan.[/align]

Posted: Tue Oct 02, 2007 8:03 am
by muhammad_19k
Mohtaram Janab Muzaffar SaHeb!

Allah t'aalaa aap ko khush o khurram rakhay aor aap par apni reHmateN aor nai'mteN barsaa-aye.

maah e ramzaan ki munasibat se "taraH miSra" aor phir us par n'aatoN ki darkhaast aap ki taraf se aik khoobSoorat khyaal aor aik aHsan 'amal hai. Allah t'aalaa aap ko aap ko moHabbatoN ka ajar day.

is khoobSoorat bazm e mushaaira ke in'aqaad par mairi taraf se daad o mubarakbaad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Tue Oct 02, 2007 3:13 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
muhammad_19k wrote:Mohtaram Janab Muzaffar SaHeb!

Allah t'aalaa aap ko khush o khurram rakhay aor aap par apni reHmateN aor nai'mteN barsaa-aye.

maah e ramzaan ki munasibat se "taraH miSra" aor phir us par n'aatoN ki darkhaast aap ki taraf se aik khoobSoorat khyaal aor aik aHsan 'amal hai. Allah t'aalaa aap ko aap ko moHabbatoN ka ajar day.

is khoobSoorat bazm e mushaaira ke in'aqaad par mairi taraf se daad o mubarakbaad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
[align=center]
Qiblah MuHammad K. Siddiqi SaaHib aadaab!

Aap kee himmat afzaee se barpoor khat^ dekh kar bohot khushee hoee. aor HaoSlah baRh geyaa. aap aese mukhliS dostoon kee badaolat yeh meHfil aabaad hai. Allah aap ko khush rakhe.

aap kee na'at kaa be chenee se intez^aar hai. ummeed hai zeyadah der sitam kash-e-intez^aar nah rehne deN ge. :-)

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar
[/align]