Page 1 of 1
taraHee N'aat Shareef (Guzarish 33)
Posted: Mon Oct 01, 2007 9:02 am
by jawaid badauni
Dosto! aadab
N'aat dar madH Sarwar.e kaaiynaat* Haazir.e Khidmat hai. MiSra aasaan hai jismeN qawafee ki bohtaat hai. Mujhe ummid hai achchee achchee nateN paRhne ko mileNge, "Insha Allah."
Agar koii naujawan saathee apni n'aat ke silsiley meN mujh nacheez se koii madad chaaheN tou maiN is nek kaam ke liye hamesha HaZir hooN.
Meri n'aat ka koii sher achcha lage tou doa dijiyega.
Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
N'aat Shareef
adab ke saath Shah.e Anbia* ki baat karo
wozoo' ke bAAd Habeeb.e Khuda ki baat karo
na bhoolo kisne dikhaai thee tumko raah.e namaz
"namaz paRhte raho raihnuma ki baat karo"
faza bhi mahke gee ho jayegii zubaan bhi paak
durud paRhke Rasool.e Khuda* ki baat karo
sajee hai bazm.e mAi-e Hubb.e Mustafa* aao
uThaao jam sharaab.e vilaa ki baat karo
agar Talab hai tumhaari keh nafs Taahir ho
Khuda** ka zikr karo Mustafa* ki baat karo
farishto! aashiq.e Mursal* se kya sawal-jawab
saza ka naam na lo bus jaza ki baat karo
Madeene hoke tum aaye tumheN mubarak ho
Zara wahaN ki mahaktee faza ki baat karo
khood apne ghar ko hi jannat agar banana hai
saja ke bazm, Nabee.e Khuda ki baat karo
main ik Sanaagar.e Mursal* hooN mujh se ai :Jawaid:
bus unki madH bus unki Sana ki baat karo
* SAWW
** SWT
---------------------------------------------------------------
Re: taraHee N'aat Shareef (Guzarish 33)
Posted: Tue Oct 02, 2007 7:56 am
by muhammad_19k
Mohtaram Jawaid SaHeb,
aap likhte heN.
jawaid badauni wrote:Dosto! aadab
N'aat dar madH Sarwar.e kaaiynaat* Haazir.e Khidmat hai. MiSra aasaan hai jismeN qawafee ki bohtaat hai. Mujhe ummid hai achchee achchee nateN paRhne ko mileNge, "Insha Allah."
Agar koii naujawan saathee apni n'aat ke silsiley meN mujh nacheez se koii madad chaaheN tou maiN is nek kaam ke liye hamesha HaZir hooN.
Meri n'aat ka koii sher achcha lage tou doa dijiyega.
Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
sab se pehlay to mairi t^araf se aik shaandaar n'aat kehne par daad o mubarak baad qubool kijiaye. ye baRi s'aadat ki baat hai. aap ki n'aat ke tamaam hi ashaar bohat achhay heN. mujhe khasan is sher ne bohat mutaacir kiyaa.
sajee hai bazm.e mAi-e Hubb.e Mustafa* aao
uThaao jam sharaab.e vilaa ki baat karo
aor mujh jaise nayee shoraa ke leeaye aap ka jazbaa e madad bhi qaabil e teHseen hai.
Allah t'aalaa aap ko khush rakhay, 'aameen.
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Re: taraHee N'aat Shareef (Guzarish 33)
Posted: Tue Oct 02, 2007 9:01 am
by jawaid badauni
muhammad_19k wrote:Mohtaram Jawaid SaHeb,
aap likhte heN.
jawaid badauni wrote:Dosto! aadab
N'aat dar madH Sarwar.e kaaiynaat* Haazir.e Khidmat hai. MiSra aasaan hai jismeN qawafee ki bohtaat hai. Mujhe ummid hai achchee achchee nateN paRhne ko mileNge, "Insha Allah."
Agar koii naujawan saathee apni n'aat ke silsiley meN mujh nacheez se koii madad chaaheN tou maiN is nek kaam ke liye hamesha HaZir hooN.
Meri n'aat ka koii sher achcha lage tou doa dijiyega.
Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
sab se pehlay to mairi t^araf se aik shaandaar n'aat kehne par daad o mubarak baad qubool kijiaye. ye baRi s'aadat ki baat hai. aap ki n'aat ke tamaam hi ashaar bohat achhay heN. mujhe khasan is sher ne bohat mutaacir kiyaa.
sajee hai bazm.e mAi-e Hubb.e Mustafa* aao
uThaao jam sharaab.e vilaa ki baat karo
aor mujh jaise nayee shoraa ke leeaye aap ka jazbaa e madad bhi qaabil e teHseen hai.
Allah t'aalaa aap ko khush rakhay, 'aameen.
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Azeezi Khawar SaaHab
N'aat shareef ki pazeeraayee ke liye behud mamnoon hooN.
Allah SWT aap ko jazaaye Khair se nawaze.Aap ko mundarja bala sher iss liye pasaNd aaya kyuuNkeh woh Ghazal ke rung meN hai aur Ghazal ka shayar har cheez usee rung meN dekhna chaahta hai. Shukriya.
Aapke ashAAr ka intezaar hai.
MuKhliS
Jawaid
Posted: Tue Oct 02, 2007 3:36 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Biradaram jawaid Badauni SaaHib tasleem! :rose
RamaZ^aan-ul-mubarak ke tawassut^ se is mah na'tiyah mushae'rah kaa iltizaam kiyaa geyaa hai. jo baae'ic-e-cawaab hone ke saath saath tazkiyah-e-nafs ka bhee saamaan rakhtaa hai. Allah kaa baRaa karam hai keh hameeN yeh taofeeq milee. keh ham ne is meHfil-e-khaaS kaa ehtemaam kiyaa.
Aap ke na'tiyah asha'aar qaabil-e-daad haiN. na'at gaoee mushkil tareen Sinf-e-iz^haar hai. jis meN qadam qadam par puree t^arH moHtaat^ hone kee Z^arurat pesh aatee hai. keh koee baat naok-e-qalam se aesee nah nikal jae jo nabee-e-akram (swws) ke shaayaan-e-shaan nah ho aor koee miSra'h-o-kheyaal aesaa bhee nah shaamil na'at ho jae keh jis se khuda nakhuwaastah shirk yaa khud nabee-e-paak (swws) kee naaraZ^gee kaa khat^rah ho.
Aap ko fan-e-na'at Gaoee meN khaaSee dastaras HaaSil hai. yeh na'at-e-mubarakah bhee isee baat kee nishaan dahee kar rahee hai. Gharz^ na'at kaa mua'amelah hai is liye Zeyaadah likhne kaa meHel naheeN. so bandah kee janib se subHaanAllah ba Surat-e-daad qubool keejiye. Allah ta'alaa aap ko jazaa-e-khaer se nawaze! Aameen yaa rabb-ul-e'zzat Aameen!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar[/align]
Posted: Tue Oct 02, 2007 5:42 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Biradaram jawaid Badauni SaaHib tasleem! :rose
RamaZ^aan-ul-mubarak ke tawassut^ se is mah na'tiyah mushae'rah kaa iltizaam kiyaa geyaa hai. jo baae'ic-e-cawaab hone ke saath saath tazkiyah-e-nafs ka bhee saamaan rakhtaa hai. Allah kaa baRaa karam hai keh hameeN yeh taofeeq milee. keh ham ne is meHfil-e-khaaS kaa ehtemaam kiyaa.
Aap ke na'tiyah asha'aar qaabil-e-daad haiN. na'at gaoee mushkil tareen Sinf-e-iz^haar hai. jis meN qadam qadam par puree t^arH moHtaat^ hone kee Z^arurat pesh aatee hai. keh koee baat naok-e-qalam se aesee nah nikal jae jo nabee-e-akram (swws) ke shaayaan-e-shaan nah ho aor koee miSra'h-o-kheyaal aesaa bhee nah shaamil na'at ho jae keh jis se khuda nakhuwaastah shirk yaa khud nabee-e-paak (swws) kee naaraZ^gee kaa khat^rah ho.
Aap ko fan-e-na'at Gaoee meN khaaSee dastaras HaaSil hai. yeh na'at-e-mubarakah bhee isee baat kee nishaan dahee kar rahee hai. Gharz^ na'at kaa mua'amelah hai is liye Zeyaadah likhne kaa meHel naheeN. so bandah kee janib se subHaanAllah ba Surat-e-daad qubool keejiye. Allah ta'alaa aap ko jazaa-e-khaer se nawaze! Aameen yaa rabb-ul-e'zzat Aameen!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar[/align]
Muzaffar Saahab
Bohat bohat shukriya.
MaiN bunniyaadee taur per shayar.e Ahl.e Bait ASW hooN. Mere donoN mojomoye (kitabN) isee qism ki shairee per mushtamil haiN. Allah qubool karle tou mera baRa naSeeb maiN ne Huzoor aur unki aal ki madH meN bohat sher kahe haiN. Mera aSl maidan wohee hai. Ghazal tou bus yuuN hi dil bahlane ko kah leta hooN.
Aaap ki nAAt shareef ka intezar hai.
Ek baar phir aap ka shukriya.
Jawaid
Posted: Thu Oct 04, 2007 3:11 pm
by zmufti
Jazak Allah
Jawaid bhai
aap ne buhat khoob naat kahi hai
daad qabool kijye
wasalaam
zmufti
Posted: Thu Oct 04, 2007 4:01 pm
by jawaid badauni
zmufti wrote:Jazak Allah
Jawaid bhai
aap ne buhat khoob naat kahi hai
daad qabool kijye
wasalaam
zmufti
Zarqa Bahna
Bohat bohat shukriya. Allah jazaye Khair se nawazy.
Aapki n'aat kahaN hai? Intezaar rahega.
MuKhliS
Jawaid
masha allah
Posted: Thu Oct 11, 2007 7:50 am
by haamidbaaqri
Assalam o alaikum
jawaid bhai saahib
hasbe maamool aapne bahut umda naat kahee hai.
har sher laajawaab hai.......masha allah.
hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN.
allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari
Re: masha allah
Posted: Fri Oct 12, 2007 8:52 pm
by jawaid badauni
haamidbaaqri wrote:Assalam o alaikum
jawaid bhai saahib
hasbe maamool aapne bahut umda naat kahee hai.
har sher laajawaab hai.......masha allah.
hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN.
allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari
Hamid Saahab
Bohat bohat shukriya. Jazak Allah Khair.
muKhliS
Jawaid
Posted: Sun Oct 21, 2007 6:09 pm
by tahira Masood
waah waah waah bohat hi a'alaa janaab dil khush ho gayaa
Allah miyaan aapko iskaa ajr-e-Azeem Ataa fermaaey
matla'a paRhte hi dil-o-dimaagh aur rooH muattir ho ga'ee
khush rehiyaa
Posted: Sun Oct 21, 2007 6:51 pm
by jawaid badauni
tahira Masood wrote:waah waah waah bohat hi a'alaa janaab dil khush ho gayaa
Allah miyaan aapko iskaa ajr-e-Azeem Ataa fermaaey
matla'a paRhte hi dil-o-dimaagh aur rooH muattir ho ga'ee
khush rehiyaa
Mohtarma Tahira masood SaaHibah,
Bohat KhulooS se daad dee hai aap ne. Daad se bhi ziyadah doa ke liye aap ka mamnoon hooN. Bohat bohat shukriya.
MuKhliS
Jawaid Badauni