Page 1 of 1

Woh Faasiloon Men Kammi

Posted: Tue Oct 02, 2007 7:32 am
by muzafarmohsin
Woh Faasiloon Men Kammi Khud Hi Kar Giaa Hottaa...!
Khushi Khshi Woh Khushi Se Hi Mar Giaa Hottaa...

Jo Us Ki Raah Men Bethhe The Le Ke Moon Pay Naqaab..
Unhen Samaajh Ke Woh Khud Un Se Lar Giaa Hottaa..

Woh Subhoo Uth Ke Galli Men Kaheen Se Apnni Giaa..
Haaey Kaash..!Woh Bolaa Men GHAR Giaa Hottaa...!?

---===Hafiz Muzaffar Mohsin===---

Posted: Thu Oct 04, 2007 5:21 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]moHtaram Hafiz^ Muzaffar MoHsin SaaHib aadaab-o-tasleemat!

Bazm-e-urdubandhan meN aap kee tashreef aawaree khushee kaa maojib hoee. Aap ko urdubandhan ke sabhee dostooN aor khaadim kee janib se khush aam deed kaha jataa hai. aor ummeed kee jatee hai. keh aap yeh rishtah ustuwaar rakheeN ge. aor inshAllah baaqaae'idagee se meHfil meN raonaq afrooz ho kar kuch seekhne kaa maoqa' faraham kareeN ge.

Woh Faasiloon Men Kammi Khud Hi Kar Giaa Hottaa...!
Khushi Khshi Woh Khushi Se Hi Mar Giaa Hottaa...

Kiyaa kehne Waah!

Jo Us Ki Raah Men Bethhe The Le Ke Moon Pay Naqaab..
Unhen Samaajh Ke Woh Khud Un Se Lar Giaa Hottaa..

Waah!

Woh Subhoo Uth Ke Galli Men Kaheen Se Apnni Giaa..
Haaey Kaash..!Woh Bolaa Men GHAR Giaa Hottaa...!?

Bohot khoob Qiblah mashAllah!

aap ke asha'aar khubSurat haiN. jazbah aor barjastagee ke i'lawah raastgaoee aap kee shakhSiyat kee a'kkaas hai.
mujhe ummeed hai keh aap hamare mahanah musha'rah jo is baar ramaZ^aan -ul-mubarak kee wajah se na'atiyah hai. us meN shirkat farmaeeN ge. aor apne na'tiyah kalam kaa laohaa bhee manwaaeeN ge.

Allah aap kaa HaafiZ^-o-naaSir ho. tashreef aawaree kaa be Had shukriyah!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

[/align]

Posted: Fri Oct 05, 2007 10:17 am
by muzafarmohsin
Dear Merre haam Naam Sahib..Bohat shukriyaa....aap ne is qaddar khaloos se wellcome kahaa.....aur merri poem bhi pasaand ki...bohat bohat shukarguzaar hoon janb kaa,thanks a lot