Page 1 of 1
GuZarish#33 hadiyah-e-na'at pesh-e-khidmat hai!
Posted: Wed Oct 03, 2007 3:41 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Yaaraan-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab-o-tasleemaat!
maah-e-rawaaN ke na'atiyah mushae'rah GuZarish#33 ke liye hadiyah-e-na'at pesh-e-khidmat hai. dua'aa hai keh Allah rabb-ul-e'zzat ise qubool-o-maqbool farmaae. Aameen!
Naa't shareef!
Jamaal-e-muSHaf-e-khaer-ul-waraa* kee baat karo
tajallee-e-rukh-e-Sham-sul-Z^uHaa* kee baat karo!
maiN choom looN jise taskeen-e-Qalb-o-jaaN keliye
rah-e-Hayaat meN us naQsh-e-paa kee baat karo!
barooZ-e-Hashr jo ho gaa Waseelah-e-bakhshish
us aek Shaafa'-e-roZ-e-jazaa* kee baat karo!
Kheyaal-e-sheher-e-Madeenah meN GharQ ho jao
Wujood-e-baae'iC-e-a'rZ^-o-samaa* kee baat karo!
raZ^aa-e-HaQ ke t^alabgaar ho to Yaad rakho
"namaaZ paRhte raho rehnuma* kee baat karo"
GhareeQ-e-fikr-e-jahaaN ko sukooN naSeeb naheeN
Qaraar-e-rehbar-e-raah-e-hudaa* kee baat karo!
kahaaN bisaat^ Muz^affar keh na'at kehh paao?
jo ho sake to faQat^ khaak-e-paa kee baat karo!
*SWWS
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar[/align]
Posted: Thu Oct 04, 2007 3:08 pm
by zmufti
Muzaffar bhai
Allah SWT aap ko is hadia-e-naat ke har sher per jaza-e-khair ata kare
wasalam
zmufti
Posted: Thu Oct 04, 2007 5:26 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Zarqa Baji aadaab!
aap kee daad hameshah haoSlah baRhaa deetee hai. aor aap ke khulooS-e-niyyat kaa pataa detee hai. mujhe aap ke khat^ kaa bohot intez^aar rehtaa hai. mujhe ummeed hai keh aap bandah kee himmat baRhate huwe kalam par Z^aroor apnee raaey detee raheeN gee. Allah aap ko khush rakhe!
aap kee na'at kaa sabhee ko intez^aar hai. ummeed hai mushae'rah kee raonaq baRhaaeeN gee.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar[/align]
Re: GuZarish#33 hadiyah-e-na'at pesh-e-khidmat hai!
Posted: Thu Oct 04, 2007 10:07 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaraan-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab-o-tasleemaat!
maah-e-rawaaN ke na'atiyah mushae'rah GuZarish#33 ke liye hadiyah-e-na'at pesh-e-khidmat hai. dua'aa hai keh Allah rabb-ul-e'zzat ise qubool-o-maqbool farmaae. Aameen!
Naa't shareef!
Jamaal-e-muSHaf-e-khaer-ul-waraa* kee baat karo
tajallee-e-rukh-e-Sham-sul-Z^uHaa* kee baat karo!
maiN choom looN jise taskeen-e-Qalb-o-jaaN keliye
rah-e-Hayaat meN us naQsh-e-paa kee baat karo!
barooZ-e-Hashr jo ho gaa Waseelah-e-makhshish
us aek Shaafa'-e-roZ-e-jazaa* kee baat karo!
Kheyaal-e-sheher-e-Madeenah meN GharQ ho jao
Wujood-e-baae'iC-e-a'rZ^-o-samaa* kee baat karo!
raZ^aa-e-HaQ ke t^alabgaar ho to Yaad rakho
"namaaZ paRhte raho rehnuma* kee baat karo"
GhareeQ-e-fikr-e-jahaaN ko sukooN naSeeb naheeN
Qaraar-e-rehbar-e-raah-e-hudaa* kee baat karo!
kahaaN bisaat^ Muz^affar keh na'at kehh paao?
jo ho sake to faQat^ khaak-e-paa kee baat karo!
*SWWS
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar[/align]
Azeezi wa MoHibbee muzaffar SaaHab
aadaab
SubHaan Allah, aap ne nihayat dilkush n'aat kahee hai. Aapki madH meN aap ki muwaddat ki mahak shamil hai. N'aat KhaliC naatiya andaz meN kahi gaii hai. Meri doa hai baargaah.e Sardar.e mursaleen meN aap ka yeh Haddiya maqbool ho aur Khaliq.e kaunain aap ko is mubarak mahine meN jazaaye Khair se nawaze.
Meri janib se daad aur dili mubarakbaad qubool farmaiye.
Ek muqaam per aap ne "Waseelah-e-makhshish" type kiya hai jo
"typo" hai aap ki murad yaqeenan "Waseelah.e buKhshish" se hai.
Thik kar lijiyega.
Khair talab,
Jawaid
Re: GuZarish#33 hadiyah-e-na'at pesh-e-khidmat hai!
Posted: Fri Oct 05, 2007 7:09 am
by muhammad_19k
Mohtaram Janab Muzaffar SaHeb
aap ki paishkarda n'aatl bohat umdaa khyaalaat se muzzayan aik dilkash n'aat hai. lehjaa aor andaaz bohat mutacir kun meHsoos huwaa. mairi taraf se daad o mubaarak qubool kijiaye.
MukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Re: GuZarish#33 hadiyah-e-na'at pesh-e-khidmat hai!
Posted: Sat Oct 06, 2007 4:40 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
muhammad_19k wrote:Mohtaram Janab Muzaffar SaHeb
aap ki paishkarda n'aatl bohat umdaa khyaalaat se muzzayan aik dilkash n'aat hai. lehjaa aor andaaz bohat mutacir kun meHsoos huwaa. mairi taraf se daad o mubaarak qubool kijiaye.
MukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
moHtaram Khawar SaaHib aadaab-o-tasleemaat!
na'at kee pasandeedagee aor himmat afzaee ke liye aap kaa teh-e-dil se mamnoon hooN. mujhe ummeed hai keh aap isee khuloS-o-iradat se pesh aate raheeN ge. aor bandah kee hammat baRhaa kar dua'aeeN leeN ge.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Sat Oct 06, 2007 4:52 pm
by munir-armaan-nasimi
BERADARAM MUZAFFAR SAAHEB,
MASHA'ALLAH BEHAD PYARI NAAT KAHI HAI AAP NE. ALLAH AAPKE SOCH-O-FIRK MAIN BARKAT ATA FARMAYE AUR HUM AAP SE AISI NOORANI TAKHLEEQUAT PADHTE RAHEIN AUR APNE IMAAN KO TAZAA KAR LEIN.
NAAT KEHTE WAQT KUCH LOG.... HAMDIYA SHER BHI KAH JAATE HAIN.... AAP NE BEHAD UMDA "BALANCE" MAINTAIN KIYA HAI.... NAAT SHARIF KO KHAALIS NAAT-E-RASOOL-E-MAQBOOL (SAS) HI REHNE DIYA.... BADI BAAT HAI......!!
Andheri Raat Hai Shamsu-Zuhaa kii Baat Karo
Sitaaro Aaoo Rukh-e-Mustafa Kii Baat Karo
Nishaat o Aiyesh kii Baaton main Zindagi hai magar
Hayaat Paana Hai to Karbala Kii Baat Karo
Ek Anmol Naatiya Kalaam se aap ne Nawaza..... Shukriya !!
aap ka bhai,
Munir Armaan
Re: GuZarish#33 hadiyah-e-na'at pesh-e-khidmat hai!
Posted: Sat Oct 06, 2007 5:33 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawaid badauni wrote:Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaraan-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab-o-tasleemaat!
maah-e-rawaaN ke na'atiyah mushae'rah GuZarish#33 ke liye hadiyah-e-na'at pesh-e-khidmat hai. dua'aa hai keh Allah rabb-ul-e'zzat ise qubool-o-maqbool farmaae. Aameen!
Naa't shareef!
Jamaal-e-muSHaf-e-khaer-ul-waraa* kee baat karo
tajallee-e-rukh-e-Sham-sul-Z^uHaa* kee baat karo!
maiN choom looN jise taskeen-e-Qalb-o-jaaN keliye
rah-e-Hayaat meN us naQsh-e-paa kee baat karo!
barooZ-e-Hashr jo ho gaa Waseelah-e-makhshish
us aek Shaafa'-e-roZ-e-jazaa* kee baat karo!
Kheyaal-e-sheher-e-Madeenah meN GharQ ho jao
Wujood-e-baae'iC-e-a'rZ^-o-samaa* kee baat karo!
raZ^aa-e-HaQ ke t^alabgaar ho to Yaad rakho
"namaaZ paRhte raho rehnuma* kee baat karo"
GhareeQ-e-fikr-e-jahaaN ko sukooN naSeeb naheeN
Qaraar-e-rehbar-e-raah-e-hudaa* kee baat karo!
kahaaN bisaat^ Muz^affar keh na'at kehh paao?
jo ho sake to faQat^ khaak-e-paa kee baat karo!
*SWWS
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar[/align]
Azeezi wa MoHibbee muzaffar SaaHab
aadaab
SubHaan Allah, aap ne nihayat dilkush n'aat kahee hai. Aapki madH meN aap ki muwaddat ki mahak shamil hai. N'aat KhaliC naatiya andaz meN kahi gaii hai. Meri doa hai baargaah.e Sardar.e mursaleen meN aap ka yeh Haddiya maqbool ho aur Khaliq.e kaunain aap ko is mubarak mahine meN jazaaye Khair se nawaze.
Meri janib se daad aur dili mubarakbaad qubool farmaiye.
Ek muqaam per aap ne "Waseelah-e-makhshish" type kiya hai jo
"typo" hai aap ki murad yaqeenan "Waseelah.e buKhshish" se hai.
Thik kar lijiyega.
Khair talab,
Jawaid
Biradaram Jawaid SaaHib aadaab!
Aap ne bandah kee jis khubSurat abdaaZ meN himmat baRhaee aor aek Typo kee janib isharah bhee kiya is ke liye aap kaa teh-e-dil se shukrGuzaar hooN. Allah aap ko salamat rakhe. aor har saal yooN hee ramaZ^an-ul-mubarak meN na'atiyah mushae'rah meN shaamil ho kar ham sab dostooN kee himmat afzaee aor rehnumaee farmaate raheeN.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
bahut khoob
Posted: Fri Oct 12, 2007 4:11 pm
by haamidbaaqri
muzaffar bhai saahib
behtareen naat hai yeh aapki
wohi andaaza bayaaN
dil per naqsh karte hue aapke alfaaz
wohi mithaas lahje meiN
masha allah........allah(sbhnwt) mohammed(s) aur aale mohammed(s) ke sadqe meiN aapki is purnoor naat ko qubool farmaaye.aameen
hamaari dilee daad aur mubaarakbaad aisee khoobsoorat naat kehne per. :rose :rose :rose
allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari