Page 1 of 1

My Favorite Ghazal ###004

Posted: Wed Oct 10, 2007 7:55 am
by syed bilal armaan
Mausam-e-gul bhi qayamat ki hawa deta hai
Aur deewane ko deewana bana deta hai

Yoon toh ek ashk-e-nidamat nahi kuch bhi lekin
Baher-e-rehmat mein ye toofan uttha deta hai

Sakht ho jayein agar raah toh mayoos na ho
Ye bhi nazdeeki-e-manzil ka pata deta hai

Naqun-e-gham teri is seena kharashi ke nisar
Zakham khul jane pe kuch aur maaza deta hai

Kis qadr gahera asar karti hai woh masoomi
Jab nidamat se koi ankh jhuka deta hai.