Page 1 of 1

My Favorite Ghazal ###005

Posted: Wed Oct 10, 2007 8:10 am
by syed bilal armaan
Tera uljha hua daaman, meri uljhan, toh nahi
Jo mere dil mein hai, shayed teri dhadkan, toh nahi

Yoon Yakayak mujhe barsaat ki kyoun yaad aayi
Jo Ghera hai teri ankh'oun mein woh, sawaan toh nahi

Oos ke lehrane se hasti ke qadam kanp gaye
Jis ko kahete hain kafan, woh tera, daaman toh nahi

Apne mukhde ki tujhe in mein bhala kyoun hai taalash
Meri ankhein hain tere samne, darpan toh nahi.