Na'at-e-rasool-e-maqbool (S)
Posted: Sat Oct 13, 2007 12:07 am
[align=center]
Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!
apne chand na'atiyah asha'aar pesh karne kee sa'adat HaaSil kar raha hooN. mulaHiZ^ah farmaiye.
Na'at-e-mubarkah
haath us ke raHmat-e-Haq kaa khazeenah aageya!
AastaaN par jis ko tere sar jhukana ageya!
paR gaee jis par tiree chashm-e-e'nayat aek baar
us kaa samjh~o bach ke t^ufaN se safeenah aageya!
aap ne jeene kaa aesa dars insaaN ko diya
jis ke baaeic aek "baddu" ko bhee jeena aageya!
midHat-e-Shah-e-umam (S) meN she'er kehte nah thakaa
jis kisee ko na'at goee kaa qareenah aageya!
saal bhar kee hai "Muzaffar" aap ne fikr-e-sukhan
"na'at kahiye ab keh reHmat kaa maheenah ageya"
Gadaa-e-dar-e-muSt^afa (S)
Muzaffar A Muzaffar[/align]